find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Deobandi,Barailwi Aur Ahlehadees Me Kya Fark Hai? (Part 3)

​DEOBANDI, BARELI aur AHLE HADEES me kya buniyadi FARK hai?
BismillahirRahmanNirRaheem
Part - 3
AHLE HADEES 4 Imamo  ko mante hi hai lekin sath sath me Ahle Sunnat wal Jamaat ke saare Imamo ke khidmat ko taslim karte hai aur usne fayda uthate hai. 
AHLE HADEES kabhi bhi Ahle Sunnat wal Jamaat ke Imamo ke darmiyaan un-nich ka bartaav nahi kiya karte.
Jabke …
HANAFI Bhai 4 Imamo ko man-ne ka dawa karte hai lekin,
zindagi bhar
Aqeede me Imam Maturidi ko
Tariqe me Sufiyo ko
Fiqh me sirf Imam Hanifa
ke usoolo ko mante hai baaki 3 Imamo ke khidmaat (services) ko  zindagi bhar nazarandaaz karte hai.
Ek Hanafi ke samne aap sar bhi fod liye to wo kabhi Imam Shafi’i ke sahih fatwo par amal nahi karega.
Kahte hai ham HANAFI hai isliye hamko sirf Fiqh me Imam Hanifa ke Fiqh par chalna chahiye isliye ham  Imam Malik, Imam Shafi’i aur Imam Ahmed bin Hanbal ke Fiqh par nahi chalenge chahe ye 3 Imam kisi masle sahih kyun Na ho.
Assal ye HANAFI bhai MATURIDI aur SUFI hai lekin PUBLIC ko bewkhoob banate aur kahte hai ke ham ne  Imam Abu Hanifa sr pura ka pura Islam liya hai.
Unone Imam Abu Hanifa ko Fiqh ke had tak rakha  Aqeede ke department me Abu Hanifa ko chhod kar Imam Maturidi ka Aqeeda apnaya hai.
Sawal ye hai ke Imam Abu Hanifa ke Aqeede me aisa kya bigad thi jo apne unse Aqeeda nahi liya ❓
Ye post jo apko mila hai aap kisi bhi HANAFI MUFTI se in saare bato ko conform kijiye.
AHLE HADEES saare duniya me mukhtalif naamo se jaane jate hai Jaisa ka …
AHLE SUNNAT WAL JAMAAT
AS’HAABUL HADEES 
SALAFI
MUHAMMADI
FIRKE NAJIYA
ANSARUL SUNNAH
TAYFA MANSOORA
AHLE ASAR.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS