find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Haiz (Periods) Kitne Din Ka Hota Hai?

HAIZ(Periods/Menses) KITNE DINO KA HOTA HAI?


Jawab


Bismillahhirrahmanirraheem
Hamare Muashare me deen ki kam ilmi ki wajah se Aurato me ek bat kasrat se phaili hui hai ke *haiz/mensturation* ki napaki 7 din ki hoti hai,Jabki haiz ki koi ek muddat islamic sharia me nahi batai gayi hai.Kisi aurat ko zada din haiz ata hai to kisi ko kam din.To aaiye is masle ko *Quran aur Hadees* ki roshni me samjha jaye.

✔Jab aurat ko haiz aye, chahe zyada ho ya kam to uski muddat tab khatam hoti hai jab wo khun ruk jaye,Aur bahut se fuqaha ka kahna hai ki haiz ki kamaskam muddat, ek raat aur ek din, aur zyada se zyada 15 din hai.

Sheikh ul islam ibn Taymiyah (r) ne kaha
Haiz ki koi muddat muqarrar nahi,balki jab bhi haiz ki mukammal sifaat ke sath khun aaye to wo haiz shumar hoga,chahe kam din ho ya zyada.


*✔Sheik ul islam kahte hain.
Kitab ullah aur sunnat e Rasool Allah me Allah Ta’ala ne haiz ke kai ehkaam
bataye hain.Aur uski kamaskam aur zyada se zyada muddat muqarrar nahi ki hai.
(Majmoo’ al-Fataawaa, 19/237)

HADEES no.1


حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ يُونُسَ، عَنْ زُهَيْرٍ، قَالَ حَدَّثَنَا هِشَامٌ، عَنْ عُرْوَةَ، عَنْ عَائِشَةَ، قَالَتْ قَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏ “‏ إِذَا أَقْبَلَتِ الْحَيْضَةُ فَدَعِي الصَّلاَةَ، وَإِذَا أَدْبَرَتْ فَاغْسِلِي عَنْكِ الدَّمَ وَصَلِّي ‏”‏‏.‏
✔Aisha (r.a) riwayat karti hain
*Rasool(saw)*ne farmaya,
“jab tumhe haiz shuru ho jaye to namaz chhod do aur jab khatam ho jaye to ghusl karo aur namaz shuru kardo.”
*Sahih al-Bukhari 331
HADEES no.2


حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ بْنُ سَعِيدٍ، قَالَ حَدَّثَنَا إِسْمَاعِيلُ، عَنْ أَيُّوبَ، عَنْ مُحَمَّدٍ، عَنْ أُمِّ عَطِيَّةَ، قَالَتْ كُنَّا لاَ نَعُدُّ الْكُدْرَةَ وَالصُّفْرَةَ شَيْئًا‏.‏

✔Umm ‘Atiya (r.a) farmati hai”ham log gande pani ko (yellow aur brownish discharge) ko haiz me shumar nahi karte the .
*Bukhari 326,Abu Dawood,307

lekin ye paani najis hai to iska dhona aur fir wazu karna wajib hai.
Upar di gayi hadeeso se ye sabit hota hai k hame janbujh kar 7 din ka intezar nahi karna hai,jo ke ham aamtaur par dekhte hain ke auratein 7 din tak paak hone ka intezar kiya karti hai.Balki jaise hi haiz khatam ho hme Rasool(saw) ke hukm ke mutabiq ghusl karke namaz aur Roza shuru kar dena hai.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS