find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Apne Aap Ko Pahle Dekhe Saudi Arabia Ko Nahi.

Apne aapko pahle dekhe Saudia ko nahi.
Allama Iqbal ne kaha.
Apne qiradar pe daal kar parda Iqbal,
Har shaksh kah raha hai zamana kharab hai.
Naujwano ko Saudia ki bahas (argument) me fasa kar Faraiz  or sunnat masail se door kiya jata hai.
Naujawan *Saudia or foreign policy ko janne me lage huye hain lekin ye bhool gye hain, ki hme apne aapko pahle janna chahiye Jo hamare upar Faraiz hain or jo sunnat hain.*

👉kya hamari Ebadat ka tariqa  Rasoolullah ﷺ ki trah hai bhi ya nhi?
👉Hamare akhlaq kaise hain or kaise hone chahiye?
👉ham jis amal ko kar rahe hn wo gunah to nahi hai?
wagaira wagaira..

Aaj kal *Naujwano ko Saudia ki bahas (argument) me fasa kar Faraiz  or sunnat masail se door kiya jata hai.*
👉kyi baar aisa kuch *Aalim bhi karte hain taaki log esi bahas me fas kar apne Faraiz ko jane hi na, kyuki agr Hadees ka Tahqeeq krne lga to hm se daleel mangega, or fir hamari bezzati hogi un masail ko batane me, jiski daleel Rasoolullah ﷺ se sabit hi nhi hai, ya jisme Fiqhi masail me uljha kr rakha hua hai.*

👉 *Hamare liye Allah ne Rasoolullah ﷺ ko Namoona bna ke bheja hai, na ki kisi country ko,
hme achaai dekhni hoto kisi country se achaa hai ham Rasoolullah ﷺ or sahaba (r) ki achaai ko dekhe.*

👉 *Allah ki baat mano or Allah ke ke Rasool ﷺ ki baat mano*
📚 [Surah An-Nisa', Ayah 59]

👉Ham *Naujawano ko chahiye ki ham pahle apne Faraiz or gunah ko jane or uspe Amal kre Foreign policy ko baad me jane.

👉🔴kyuki *Qayamat ke din ham se Foreign policy baad me poochi jayegi pahle hamare Faraiz or sunnat ki pooch hogi.*
Bahhut sare log *Saudia ki baat karte hain or bura bhala kahte hain, kyi baar esme kuch Aalim bhi shamil hote hain jo Saudia ko bura bhala kahte hain,

Sabse pahli baat ye hai ki kisi ko bura bhala kahne se pahle hme apne aapko dekhna chahiye ki hum apne level pe (jitni hamari hasiyat hai) us level pe ham kya kr rahe hain, Deen-islam ke liye ,apne liye, Ebadat ka sahi tareeqa janne ke liye ham kya kar rahe hain, ham apne parosi ke sath kisa sulook kar rahe hain ,hamare akhlaq kaise hain*. wagaira wagira.....

Yaad Rahe agar hamari Ebadat Rasoolallah ﷺ ki tarh na hui to qubool hi nhi hogi to koi fayda nhi aisi ebadat ka.

Allah ham sab Naujawano ko Deen ke sahi ilm or Uspe amal ki taufeeq de *(Aameen).

Khamosh Mizaji Tumhe Jeene Nahi Degi.
*Is Daur Mein Jeena Hai To ISLAM Batado.
Jazakallahu-khairan-kaseere

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS