find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Islam Ne Auraton Ko Kis Tarah ka Maqam Diya hai?

Islam Me Auraton KA Maqam

Yaqeenan tumharay liye rasool Allah mein umdah namoona ( mojood ) hai her uss shaks kay liye jo Allah Taalaa ki aur qayamat kay din ki tawakka rakhta hai aur ba-kasrat Allah Taalaa ki yaad kerta hai. ( **Quran 33:21*)
Aur be-shak tu (Rasulallahﷺ ) bohut
baray ( umda ) ikhlaq per hai. ( *Quran 68:4* )



Islam me aurat ke uske martabe aur rutbe ke hisaab se fazilat bayan ki gayi hai.
*1) Aurat ka martaba aam taur pe*
*2) Maa ka martaba*
*3) Khala/Fuffi (Aunt)*
*4) Behn*
*5) Biwi*
*6) Beti
1) .....Aurat ka martaba
Rasulallahﷺ ne farmaya " imaan me sabse kamil momin woh hai jo sabe behtreen akhlaq wala ho Aur tum me se behtar woh hai *jo apni aurto ke haq me sabse behatr ho.
Rasulallahﷺ ne farmaya *Koi Momin mard kisi Momina Aurat se bughz nafrat na rakhe* agar unki kisi ek adat napasndida hai to dusri pasnd hogi.
*2)...Ma ka martaba*
Rasulallahﷺ ne farmaya *Maa ke qadmo ke neeche jannat hai.
*3) ...Khala (Aunt)*
Rasulallahﷺ ne farmaya *Khala ka rutba maqaam Maa ke barabar ka hai*(4)
*4)... Behan*
Rasulallahﷺ kisi shaqs ke 3 betiya ho ya 3 behn ho aur *unke sath acha saluq kare to woh jannat me jayga.
*5).. Biwi*
Rasulallahﷺ ne farmaya *Tum me se behtar woh hai jo apni biwiyo ke sath behatar ho.
*6) ..Beti*
Rasulallahﷺ ne farmaya jis shaqs ke sath 2 betiyan ho aur woh unke sath husn saluq kare aur unki parwarish kare jb tk bulugat ko pohchjaye *to woh 2 ladkiya usse jannat me le jaygi.
(1)Ibn Majah 1978
(2)Muslim 3545
(3)Sunan Nisai 3106
(4)Sunan Tirmizi 1904
(5)Adab Al Mufrad 79
(6)Ibn Majah 1977
(7)Ibn Majah 3670
-------------------
Nazar e bad se bachne ki Dua
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ
A'oodhu bikalimatIllahi-tammatti min kulli shaytaanin wa hammatin wamin kulli 'aynin lammatin
 (Main Panaah maangta hun Allah ki pure purey kalamat ke jariye, har shaitan se aur har zahreeley janwar se aur har nuksan pahunchaney wali nazar-e-bad se.)
Sahih Bukhari,Vol4,3371

Share:

3 comments:

  1. please open your copy option it is not allow to restrict any content of hadith. it is for all of humanity please open it for sharing purpose and please provide references of hadith where you copy it.

    ReplyDelete
    Replies
    1. i have allready given Reference of Hadeeth, you can see.
      if you want to share This Post you can share any other social media platforms like facebook, WhatsApp. jazakallah khair

      Delete
  2. if want to read other articles related to this topic, you can search or you can click on this category (Nikah) they will come.
    share this article

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS