find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Zakkum kya hai?

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌹قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏    لَوْ أَنَّ قَطْرَةً مِنَ الزَّقُّومِ قُطِرَتْ فِي دَارِ الدُّنْيَا لَأَفْسَدَتْ عَلَى أَهْلِ الدُّنْيَا مَعَايِشَهُمْ، ‏‏‏‏‏‏فَكَيْفَ بِمَنْ يَكُونُ طَعَامَهُ  

🌺नबी करीम ﷺ ने फरमाया: अगर ज़क़्क़ूम (जहन्नम का दरख्त) का एक क़तरा भी दुनिया की ज़मीन में टपका दिया जाये तो दुनिया वालों का रहन सहन बिगड़ (बरबाद) हो जाये, भला उस आदमी का क्या होगा जिसकी ग़िज़ा ही _ज़क़्क़ूम_ हो।

🌹Nabi kareem ﷺ ne farmaya: agar zakkum (jahannum ka darakht) ka ek qatra bhi duniya ki zameen mein tapka diya jaye to duniya walon ka rahen sahen bigad (barbaad) ho jaye, bhala is aadmi ka kya ho ga jis ki ghiza hi _zakkum_ ho.

🌺نبی کریم ﷺ نے فر مایا: اگر «زقوم» تھوہڑ کا ایک قطرہ بھی دنیا کی زمین میں ٹپکا دیا جائے تو دنیا والوں کی معیشت بگڑ جائے، بھلا اس آدمی کا کیا ہو گا جس کی غذا ہی «زقوم» ہو۔

🌹Prophet ﷺ said: If only a drop of Az-Zaqqum were to drip into the abode of the world, it would spoil the peoples' livelihood, so how about the person for whom it is his food?

📜 *wazahat:* zakkum ek qisam ka jahannam ka ped🌵hai jiska maane urdu lughaat mein ek qisam ka khardaar darakht jiska phal dozakhiyon ko khane ko milega. Zakkum ka darakht jo khardaar aur karva aur zahreela hota hai. Dozakh ka ek darakht jis se dozakhi apni khoraak haasil karenge. Zara sochne ki baat hai ek darakht jiska qatra agar duniya mein gir jaye to duniya waalo ka rehna aur zindagi guzarna dushwar ho jaye, jahannamiyon ko iss darakht ko khane ke elawa aur koi chara nahi hoga, iske talluk se Allah swt ne Quran mein farmaya~ _Phir tum aey gumraho jhutlanay walon! Albatta khanay walay ho thoher ka darakht (zakkum). Aur ussi say pet bharnay walay ho. Phir uss per garum kholta paani peenay walay ho._[📖Quran 56: 51-54]
Allah swt hame jahannum ki aag aur uski holnakiyon se bachaye. Ameen

📚 _*Jamiat Tirmidhi: jild 4, kitab ul sifat jahannam 39, hadith no. 2585*_
*Grade sahih*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS