find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Aurat Ghar Me Aitekaaf Kar Sakti Hai?

KYA AURAT GHAR ME AITEKAAF KAR SAKTI HAI?

Transliteration By : Bint e Iqbal
Ulama kiraam is par muttafiq hain ke mard ka masjid ke ilawa kahin aur itekaaf sahih nahi, is liye ke Allah taala ka farmaan hai :_
"Aur tum aurton se us waqt mubashrat na karo jab tum masjidon mein itekaaf ki haalat mein ho."
Al-Baqara:187 .
_Upar batai gayi ayaat mein itekaaf ko masjid ke sath khaas kiya gaya hai lehaza yeh saabit hua ke masjid ke ilawa kahin bhi itekaaf karna sahih nahi hoga ._
Dekhen Al Mughni Ibn Qudamah ( 4 / 461 )_.
Aurat ke baare mein jamhoor ulemaa kiraam ka kehna hai mard ki tarah aurat ka itekaaf bhi masjid ke ilawa kisi jagah sahih nahi, jis ki Daleel bhi yehi ayat hai :_
_"Auraton se us waqt mubashrat na karo jab tum masjid mein itekaaf ki haalat mein ho."
Al - Baqara :187
Aur iss liye bhi ke Nabi sallallaho alaihi wasallam ki azwaaj mutahraat(wives) Raziallahu anha ne Nabi sallallaho alaihi wasallam se masjid me itekaaf karne ki ijazat talab ki to Nabi sallallaho alaihi wasallam ne unhen ijazat de di, aur Nabi sallallaho alaihi wasallam ki wafaat ke baad bhi woh masjid mein hi itekaaf kiya karti theen .*_
_Aur agar aurat ka apne ghar mein itekaaf karna jayez hota to Nabi sallallaho alaihi wasallam unki rahnumaai farmate kyunki masjid me jaane se uske apne ghar me parda ziyada hai, is ke bawajood Aapne masjid mein hi aitekaf ki ijazat di ._
_*Baaz ulama kiraam ka kehna hai ke : Aurat ghar me apni namaz wali jagah par itekaaf kar sakti hai, lekin jamhoor ulama kiraam ne aisa karne se mana karte hue kaha hai :*_
_*Uske ghar me namaz wali jagah ko masjid nahi kaha ja sakta sirf majazi taur par usey masjid ka naam diya ja sakta hai, haqeeqatan woh masjid ka naam haasil nahi kar sakti is liye uske ehkaam bhi masjid wale nahi honge, isi liye wahan yani ghar me namaz wali jagah par Junubi aur haiza aurat daakhil ho sakti hai .*_
Dekhen Ibn Qudamah Al-Miqdasi  4/464.
______________________________________
Imam Navwi Rahimahullah apni kitaab" Al-Majmua" mein kehte hain :*_
_Aurat aur mard ka masjid ke baghair itekaaf sahih nahi, nah to aurat ka ghar ki masjid mein aur nah hi mard ka apne ghar me namaz wali jagah par itekaaf karna sahih hai, yani us jagah jo ghar ke ek kone mein namaz ke liye tayyar ki gayi ho usey ghar ki masjid kaha jata hai ._
Dekhen Al-Majmua( 6 / 505 ) .
______________________________________
Sheikh Ibn Usaimeen Rahimahullah se mundarja zel sawal poocha gaya.
Agar aurat itekaaf karna chahe to woh kis jagah itekaaf keregi?
To Shaykh Rahimahullah ka jawab tha :_
Jab koi aurat itekaaf karna chahe to agar usme koi sharai mahzoor(anything that's forbidden in shari'a) nah paya jaye to woh masjid mein itekaaf karegi, aur agar usme koi sharai mahzoor hoto phir aurat itekaaf nahi karegi.*_
Dekhen Majmua Al- Fataawa Ibn Usaimeen Rahimahullah ( 20 / 264 )
Wallahu Alam
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS