find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ramdhan-Ul-Mubarak ke kuchh Ahkaam O Masail (Part 5)

          Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaailꙮ*

         

                *Part-⑤*


    Wo cheezein jin se Roza baatil ho jaata hai✫*

*➤* Jaan boojh kar kha pi lene se Roza toot jaata hai. Aise logon ko qaza ke saath tauba bhi karni chahiye.

*➤* Roze ki halat mein jimaa’ (hambistri, sex) karna. Is ki qaza aur kaffara dono hai.
Kaffara: Ek ghulam azaad karna ya do maheene musalsal (continuously) Roze rakhna ya saath (60) miskeeno ko khaana khilana.

*➤* Haiz o Nifaas ka aana.

*➤* Jaan boojh kar qay karna.

*➤* Bos o Kinar ya Mushtzani (masturbation) se mani (sperm) kharij karna. Is par sirf qaza hai.

*➤* Jo cheezein khaane peene ke muqabil hon un se bhi Roza fasid ho jayega. Jaise: Taqat waala injection.

*➤* Jaan boojh kar khoon nikaalna. Jaise: Hijama (Cupping). (Kuch logon ke nazdeek Hijama se roza nahi toot-ta hai).

*✪Roze ke jaaiz or mustahab umoor:✪*
Is mein do baatein hain.
*Pehli Baat: Un umoor se mutalliq hai jin se Roza nahi tot-ta aur woh umoor neeche zikr kiye jaa rahe hain:*
*➤* Bhool kar khaana peena.

*➤* Ghalati se qay karna.

*➤* Apne aap par control rakhne waalon ka biwi se bos o kinar karna.

*➤* Khud bakhud khoon aana jaise: Nakseer, zakhm ya medical check up ki gharz se thora sa khoon nikalna.

*➤* Bina taqat waale injection lagaana.

*➤* Surma lagana.

*➤* Kulli karna, naak mein paani daalna, sir par pani daalna aur nahaana.

*➤* Zaroorat ke waqt khaane ka zaaiqa chakhna lekin khayal rahe ke pait mein na jaaye.

*➤* Ehtelaam (wet dream) ho jaana, haalat e janabat mein subah ho jaana.

*➤* Naak kaan aur aankh mein qatre (drops) daalna (yeh amal raat mein kare to behtar hai).

*➤* Toothpaste karna waghera.

*Doosri Baat: Un umoor se mutalliq hai jin ka karna Roze ki halat mein mustahab aur pasandeedah hai:*
*➤* Ibadat par mehnat: Har qism ki bhalaayi ka kaam karna. For example: Quran ki tilawat, us mein tadabbur (gaur o fikr), sadqa, dua, zikr or faraiz ke saath deegar nafli ibadaat par mehnat karna.

*➤* Faraiz ke alawah ibadaat mein taraweeh, shab e qadr ki ibadat, umrah aur aitekaaf bade ajr (sawaab) waala amal hai.

*➤* Miswaak karna: Hazrat Aisha Radhiallahu Anha farmaati hain ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
السِّوَاكُ مَطْهَرَةٌ لِلْفَمِ مَرْضَاةٌ لِلرَّبِّ​
*◈Tarjumah:◈* Miswaak se mun saaf hota hai aur Allah ki razamandi haasil hoti hai.
*(Sunan Nasai: 5)*
❗Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko *Sahih* kaha hai

*➤* Iftaar o sehri mein khujoor ya paani ka istemaal masnoon hai, sehri mein takheer (late) aur iftaar mein jaldi karen, iftaar ke waqt dua karna aur Rozedaaron ko iftaar karana bhi mehboob amal hai.

*➤* Yahan yeh bhi dhiyaan rahe ke jahan Roze ki halat mein bhalaayi ka kaam karne se ajr badh jaata hai wahein is maheene mein khusoosan Roze ki haalat mein gunah karne se buraayi ka darja bhi badh jaata hai is liye zabaan, haath, pair or poore dil o dimagh ko Roze ke dauraan aise umoor se bachaaye.
-------------------

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS