Hmara Behtareen Madagaar Kaun HAi?
Balke Allah hi tumhara Maula hai aur wo behtareen madadgar hai.
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم
Kya tujhe nahi maloom ke zameen-o-aasman ka mulk Allah hi ke liye hai
Aur Allah ke siwa tumhara koi wali aur madadgar nahi
Al Quran Surah Baqrah 2. Aayat 107,
Us din se daro jis din koi nafs kisi nafs ko kuch faeeda na pahoncha sakega
Na kisi shaks se koi fidya qabool kiya jayega na usse koi shifaat nafa degi na un ki madad ki jayegi
Al Quran Surah Baqrah 2. Aayat 123,
Ye wo log hai jinhon ne dunya ki zindagi ko Aakhirat ke badle khareed liya hai
In ke na to azab halke honge aur na in ki madad ki jaye gi
Al Quran Surah Baqrah 2. Aayat 86,
In ke Aamaal dunya-o-aakhirat me ghaarat hain aur in ka koi madadgar nahi
Al Quran Surah Al imran 3. Aayat 22,
Agar Allah Ta"ala tumhari madad kare to tum par koi ghalib nahi aa sakta
Aur agar wo tumhen chodh de to us ke baad kaun hai jo tumhari madad kare ?
Imaan walon ko Allah Ta"ala par hi bharosa rakhan chahiye
Al Quran Surah Al imran 3. Aayat 160,
No comments:
Post a Comment