find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Quran Padhker Murdon pe Dm Karna kya Jayez Hai?

Quran Quani Murdo par Quran Bakhshna

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم​
اِنَّاۤ اَنۡزَلۡنٰہُ  قُرۡءٰنًا عَرَبِیًّا لَّعَلَّکُمۡ تَعۡقِلُوۡنَ
Yaqeenan hum ne is Quran ko arabi nazil farmaya hai ke tum samajh sako
Al Quran Surah Yousuf 12 .Aayat 2,
اِنۡ ہُوَ   اِلَّا  ذِکۡرٌ   وَّ  قُرۡاٰنٌ  مُّبِیۡنٌ
Woh to sirf naseehat aur wazeh quran hai
*لِّیُنۡذِرَ مَنۡ کَانَ حَیًّا وَّ یَحِقَّ الۡقَوۡلُ عَلَی الۡکٰفِرِیۡنَ
Taake woh har us shaks ko aagah karde jo zinda hai
Aur kafiron par hujjat sabit hojaye
Al Quran Surah Yaaseen 36. Aayate 69-70,
*ہٰذَا بَیَانٌ لِّلنَّاسِ وَ ہُدًی وَّ مَوۡعِظَۃٌ لِّلۡمُتَّقِیۡنَ
Aam logon ke liye to yeh Quran bayan hai aur parhezgaro ke liye hidayat-o-naseehat hai
Al Quran Surah Al Imran 3. Aayat 138,
*ہٰذَا بَلٰغٌ  لِّلنَّاسِ وَ لِیُنۡذَرُوۡا بِہٖ وَ لِیَعۡلَمُوۡۤا اَنَّمَا ہُوَ  اِلٰہٌ  وَّاحِدٌ  وَّ لِیَذَّکَّرَ اُولُوا  الۡاَلۡبَابِ*
Yeh Quran tamam logon ke liye ittelaa naama hai ke is ke zarye se woh hoshiyaar kar diye jayen
 Aur bakhoobhi maloom karlen ke Allah ek hi mabood hai aur taake aqal mand log sonch samajh len
Al Quran Surah Ibrahim 14 Aayat 52,
اِنَّ ہٰذَا  الۡقُرۡاٰنَ  یَہۡدِیۡ  لِلَّتِیۡ ہِیَ اَقۡوَمُ وَ یُبَشِّرُ الۡمُؤۡمِنِیۡنَ الَّذِیۡنَ یَعۡمَلُوۡنَ الصّٰلِحٰتِ اَنَّ لَہُمۡ اَجۡرًا کَبِیۡرًا
Yaqeenan yeh Quran woh raasta dikhata hai jo bahot hi seedha hai
Aur eman walon ko jo nek aamaal karte hain is baat ki khushkhabri deta hai ke un ke liye bahot bada ajar hai
Al Quran Surah Bani israeel 17 ,Aayat 9.*
وَ لَقَدۡ صَرَّفۡنَا لِلنَّاسِ فِیۡ ہٰذَا الۡقُرۡاٰنِ مِنۡ کُلِّ مَثَلٍ ۫ فَاَبٰۤی اَکۡثَرُ النَّاسِ اِلَّا کُفُوۡرًا
Hum ne toh is Quran me logon ke samajhne ke liye har tarah se tamam misaalen bayan kar di hain
Magar aksar log inkaar se baaz nahi aate
Al Quran Surah Bani israeel 17.Aayat 89,
اَفَلَا یَتَدَبَّرُوۡنَ الۡقُرۡاٰنَ  اَمۡ عَلٰی قُلُوۡبٍ اَقۡفَالُہَا
Kya yeh Quran me ghor-o-fikar nahi karte ?
Ya in ke dilon par un ke taale lag gaye hain
Al Quran Surah Mohammed 47.Aayat 24,*
کَلَّاۤ  اِنَّہٗ  تَذۡکِرَۃٌ
Sacchi baat to yeh hai ke yeh Quran ek naseehat hai
Al Quran Surah Mudassir 74. Aayat 54,
*Comments
*Surah yaseen ki aayat 69 aur 70 se saaf saaf pata chalta hai ki ye Quran zinda logo ke liye Hidayat hai Naseehat Hai
*Poore Quran me ya saari ahadeeso me kahi par bhi nahi milta hai ki murdo ke liye Quran Quani Karo Quran Padhkar Bakhsho
Ye molviyo ke Pet ka dhanda hai Biddat hai Zinda Insan Quran Se naseehat Hasil kare magar ye Quran is liye Nahi aya ki Murdo par Bakhsha jaye
________________________
*Syed Naushad
________________________
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS