find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Muharram ke Fazail O Masail (Part 01)

 Muharram-ul-Haraam Ki Haqeeqat.

Sabse pehle baat yaha'n se chalti hai ke yeh Mahina muazzam aur mohatram hai ya Manhoos ?
 Baaz log is mahine ko manhoos samajhte hai aur iski vajah yeh hai ke inke nazdeek shahadat bahut buri aur manhoos cheez hai aur chuki Hazrat Husain Rd. Ki shahadat isme huyi hai isliye isme koi takreeb aur khushi ka kaam shadi, nikah vagerah nahi karte,
 iske bar-aks musalmano ke yaha'n yeh mahina mohatram, muazzam aur fazilat wala hai,
 Moharram ke ma’ani hi mohatram, muazzam aur muqaddas ke hai, Aam tor par yeh khayal kiya jata hai ke is mahine ko isliye fazilat mili k e Hazrat Husain Rd ki shahadat is me hui, yeh galat hai, is mahine ki fazilat islaam se bhi pehle se hai,
 Bani israa’il ko Hazrat Musa Alayhissalam ke saath Fir’on se isi din me nijaat hui, is nemat ko shukr ke tor par is din ke Roza ka hukm hua, aur bhi bahut si fazilat ki cheeze isme hui hai, Albatta yu kahenge ke Hazrat Husain Rd ki shahadat me zyada fazilat isliye hui ke aise fazilat wale maah me waqa’i hui,
Jab se yeh sabit hua ke yeh mahina aur din afzal hai to is me nek kaam bahut zyada karne chahiye, Nikah vagerah, Khushi ki taqribaat bhi isme zyada karni chahiye.
_*Shahadate Husain Rd
_*( Majmua ifadaat), 26*_
━━━━━━━••●❀●••━━━━━━━
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS