find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kisi Momeen Bhai Ki Izzat Ki Hifajat Karna.

*✮┣ l  ﺑِﺴْــــــــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ   l ┫✮*
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔         
_*⭕ KISI MUSALMAN BHAI KI IZZAT KA DIFAA KARNA*_

🔆Kisi bhi musalman bhai ya behan ki izzat-o-laaj ka difaa (defend) karna us cheez par, jise log ilzaam lagate ho, aur woh cheez usme maujood na ho jaise, zina, sharaabi, lawatat (sodomy), nifaq (hypocrisy) , kufr, shirk waghaira.

🔆Aap _*Ʀαşσσʟαʟʟαн ﷺ​*_ ki hadees ki rooh se durust aur jahannum se nijaat ka zariya hai.

🔆 Abu Darda Raziallahu anhu Nabi riwayat karte hai ke Aap _*Ʀαşσσʟαʟʟαн ﷺ​*_ farmaya: jo shakhs apne bhai ki izzat se us cheez ko door kerega, jo use aib daar karti hai, Allah qayamat ke din uske chehre se jahannum ki Aag door kar dega.
_*📗Sunan Tirmizi, 1931- Sahih.*_

🔆Isi tarha sahaba karaam, tabaeen, taba tabaeen, ulmaaye haq par jhoothe ilzamaat ka difa karna ziyada zaroori hai kyunke unhi ke waste se deen ham tak pahucha hai, agar unki izzat ko nuqsaan pahuchta hai to Qur'an-o-Sunnat ka farmaan dono hi mashkook (shak ke ghere me) ho jate hai.

🔆 is hadees me badi fazeelat warid hui hai ke kisi musalman bhai ki izzat ka difaa kiya jaye balke is hadees me Aap  _*Ʀαşσσʟαʟʟαн ﷺ​*_ ne is muqaddas amal ko jahannum se nijaat ka zariya bataya hai.

🔆Kisi musalman bhai ki izzat ka difaa karna ek mustaheb aur behad pasandida kaam hai is hadees par amal karte huye agar aisi shaksiyat ki izzato ka difaa kiya jaye jo saheb-e-fazeelat ho, to is amal ki ahmiyat aur badh jati hai maslan agar kisi sahabi ki shaan me gustakhi ki jati hai aur un par ghalat aur jhoote ilzamaat lagaye jate hai to aise sahabi-e-Rasool ki izzat ka difaa karna bohat badi ibadat aur bohat bade ajr-o-sawab ka baais hai,

🔆 Isi tarha sahaba ke baad tabaeen ki jamaat ummat-e-Muslimah ki afzal tareen jamaat hai agar is jamaat ke kisi fard ki izzat par hamla kiya jaye aur uspar jhoote ilzamaat lagaye jaye to unka difaa karna bhi bohat bade sawab ka kaam aur jahannum se nijaat ka zariya hai.
*┅┅┅━━══•••¤((۞))¤•••══━━┅┅┅*

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS