find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Agar koi Shakhs 9-10 ko Roza Na Rakh Saka to kya wo 10-11 Ka Roza Rakh Sakta Hai?

*📮AGAR KOI SHAKS 9-10 KA ROZA NA RAKH SAKA TO KYA WO 10-11 KA ROZA RAKH SAKTA HAI❓*

_________________________________

        *🍃بسم اللہ الرحمن الرحیم🍃*

Mahe moharram bahut hi azeem aur ba-barkat mahina hai Ye mahina hijri saal (yani islamic saal) ka pahla aur hurmat (sacred) wale mahino me se ek hai, jinke baare me Allah Ta’ala ka farman hai:

“Mahino ki ginti Allah ke nazdik kitabullah mein 12 ki hai, usi din se jab se asmaan aur zameen ko us ne paida kiya hai, un mein se 4 hurmat wa adab ke hai, yahi durust deen hai, tum un mahino mein apni jaano par zulm na karo"

*📘(Surat-ut-Tauba 9 : 36)*

Aur Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam se ye bhi sabit hai ke Ramzan ul Mubarak ke baad moharram ke mahine me roze afzal hai. Jaisa ke hadees me bataya gaya

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya : Ramzan ul Mubarak ke baad sabse afzal tareen roze moharram ke mahine ke roze Hain, aur farz namaz ke baad afzal tareen namaz raat ki namaz hai.

*📚Sahih Muslim, 1163*

🔍Ek bat to ye sabit hoti hai ke Moharram hurmat (sacred) wale mahino me se ek hai jaise ke tafseer ibn kaseer me bayan hai ke in mahino me kiye gaye gunah Aam din ke gunaho se zada sangeen hote hai aur in mahino me kee Gayi neki Aam dino ki neki se ziyada ahmiyat rakhti hai. Yani ke is mahine agar roze rakhe jaye to unka bahut sawab hoga jaisa ke upar di gayi hadees se ye sabit hota hai ke Moharram ke roze bahut hi afzal hai.

To koi shaks is mahine me roze rakhne ko kisi bhi tarah se biddat ya galat sabit nahi kar sakta basharte roze ki niyat khalis Allah waste ho kyunki beshak tamam ibadato ke layeq sirf aur sirf Allah Ta’ala hi hai.

Fuqha kiram ki ek jamat ne ashura aur usse ek din pahle aur ek din baad roza rakhne ko mustahab qarar diya hai, balki is andaz se teen roze rakhne ko sabse aala tareen tareeqa qarar diya hai. Chunanche isliye

*🛑Ibn Qayyim Rahimahullah kahte hain:*

Ashura ka roza rakhne ke teen maraatib hai:

*1⃣Sabse Aala martabah ye hai ke :* Ashura ka roza rakhne ke sath sath ek din pahle aur ek din baad me bhi roza rakha jaaye.

*2⃣Dusra martabah ye hai ke :* 9 aur 10 moharram ka roza rakhe, aksar ahadees me yahi amal mazkoor hai.

*▫▪▫Iske baad teesra martabah ye hai ke*

3⃣Sirf 10 tareekh ka roza rakha jaaye.

*📔Zaa’d al Maa’d (2/76)*

➖Lehaza malum ye chala  ke koi shaks agar 9-10 ka roza na rakh paye to wo 10 -11 ka roza bhi rakh sakta hai. Ashure ke bad 11 ka roza rakhne se ek faida to ye hoga ke yahudiyo ki mukhalifat ho jayegi aur dusra ye ke Mahe Moharram  me roze rakhna afzal hai to uska sawab. Lekin ye yaad rakhe ke 9-10 ko roza rakhna zyada afzal hai Kyunki Yehi Sunnat hai aur sabit shuda bhi hai isliye janbujh ke aisa na kare ke khaskar 9-10 ka roza chhod kar 10-11 ka rakhe aisa karna durust nahi hoga.

*Wallahualam sawab*

*🍃▫Is topic ko aur zada achhe se samjhne ke liye  in links pe click kare.*

▫https://islamqa.info/ur/128423

_________________________________

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS