TEEN (3) QISM KE LOGON PAR JANNAT KO HARAAM QARAAR DIYA GAYA HAI.
-
Raavi-e-Hadees Abdullaah Ibn Umar (RaziyAllaahu Anhu),
-
Nabi (Sallallaahu Alaihi Wa Sallam) ne farmaaya :
"Teen (3 qism ke) afraad hai, Allaah Ta'aalaa ne un par Jannat ko Haraam Qaraar Diya hai :
(1) Sharaab par hameshgi ikhtiyaar karne waala (Ya'ni hamesha Sharaab peene waala),
(2) Waalidain ka Naafarmaan aur
(3) Woh Dayyoos jo apne ghar ke andar buraayi ko barqaraar rakhta hai."
-
[Musnad Ahmad, Volume–9, Hadees (Saheeh) : 9975 or 5372 ; An-Nasaai : 2562]
-
VAZAAHAT: Apne ghar waale afraad ke baarey mein ghairat na rakhne waale shakhs ko Dayyoos kehte hain, doosre alfaaz mein Dayyoos ka Matlab Bey ghairat hai.
Ya'ni Apne ghar waalon mein behaayi aur fahaashi dekhne ke baavajood chup rehta hai aur unko woh Amal Karne deta hai tou aisa shakhs Jannat mein daakhil Nahi Hoga. Allaahul Musta'aan !
No comments:
Post a Comment