🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃
*السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ*
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Hadith : Jumma ke din jannati log Jannat ke Baazar mein jaynegey aur.
Urdu Translation:
Anas bin malik Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollalah Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya jannat mein ek bazar hai jismein jannati log har jumaa ke din jama hongey phir shumali hawa(North wind) chalegi aur wahan ka gubar (jo mushk aur zafran hai) unkey chehron aur kapdon par padega jis sey unka husn aur jamaal ziyada ho jayega phir palat aayngey apney gharwalon ki taraf aur gharwalon ka bhi husn aur jamal badh gaya hoga so unsey unkey gharwaley kahnegy ki tumhara husn aur jamal hamare baad to bahut badh gaya hai phir wo jawab dengey ki Allah ki kasam tumhara bhi husn aur jamaal hamarey baad bad gaya hai
{Sahih Muslim , 7146 }
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
🌹JazakAllah Khaira Kaseera🌹
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
No comments:
Post a Comment