find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Shab-E-Barat ki Sharai Haqeeqat (Part 2)

SHAB-E-BARAAT" manana Sunnat ya Biddat❓

 Part-2
   "SHAB-e-BARAT" ki SHARAI HAQIQAT:


1⃣ Sabse pahle "Shab-e-Baraat" ek Parsi alfaaz hai. Isliye ye SHARAI naam nahi hai. Hanafi Fiqh ke zariye "Parsi Culture" ne Musalmano ke andar naye naye Falsafe aur Biddatein dakhil huye hai jaisa ke ham Islami Shariyat ke alfaaz ko chhodkar Khuda, Paigambar, Namaz, Roza, Darood, Shab ye saare Parsi alfaaz istemaal karte hai jo hamko haqiqi Shariyat se dur kar rahe hai.
2⃣ Arabic mai is Raat ko "Layl-tul-Nusf min Sha’baan" kaha jata hai yaani "Aadhe (Mid) SHABAAN KI RAAT".
*Islami Shariyat me "Layl-tul Qadr" ke alaawaa "Layl-tul-Nusf min Sha’baan" wali koi Raat nahi hai jise manaya jaaye.*
3⃣Is Raat ki Fazilaat to ek Sahih Hadees aati hai lekin is Raat me Raat bhar sawab ki niyyat se ibaadatein karna jis andaz se aaj log kar rahe hai kisi Sahih Hadees se sabit nahi hai.
*Aaye dekhte hai wo fazilat wali Hadees:*
_Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) ne farmaya:_
"15 Shaban ke Raat Allah apne MAKHLUQ ko RAHMAT ki nazar se dekhta hai aur saare Insaano ki magfirat kar deta hai siway Mushrik (Mushrik me Kafir bhi Shamil hote hai) aur Dilo me keena-kapat rakhne walon ke".
*(Ibn Ma’aja Silsila Saheeh 1652)*
*Yhe Rewayet Daief hai*
⤴Lekin Is Hadees me Is Raat Ke Liye Makhsoos Ibadat Karne Ki Na Koi Daleel Hai Aur na hi Kisi Ibadat Ka Hukum Diya Gaya Hai. Sirf Fazilat batayi gayi.
Yaani: Allah is raat 2 tarah ke Insaano ko nahi baqshata
1. Allah ke sath na-insaafi karne walo ko
2. Insano ke sath na-insaafi karne walo
(Shirk Wa Kufr Allah ke sath na-insaafi hai)
4⃣Aap kahenge ke jab Allah is Raat me Apne Makhluq ko Rahmat ki nazar se dekhta hai to kyun na ham Allah ke nazar me is Raat Ibadaat karte huye nazar aaye❓
Ham kahenge aap aisa bhi nahi kar sakte kyunke ye Fazilat wali Raat sirf aaj hi apki zindagi me pahli baar nahi aarahi hai,
*balke..
*ye Raat Muhammadur Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) aur Sahaba ki zindagiyo me bhi har saal aaya karti thi lekin lekin unone apke jaisa apne logic ke hisaab se apna man-maana amal nahi kiya karte the balke Islam ko apse zyada samaja karte the aur wo to Allah ki Wahee ki mutabik amal kiya karte the aur waise bhi dusri koi Sahih Hadees se ye baat saabit nahi hai ke Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) ya Sahaba is Raat  me koi Khaas Ibaadatein kiya karte the.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS