find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Shab-E-Barat Ek Bidaah (Part 1)

SHABE BARAAT EK BIDAAH PART 1

Shabe Baraat ki Haqeeqat kya hai Aayiye hum Quran se jaante hain
Is raat ki koi fazilat nahi hai par kuch log isko sabith karne ke liye Quran ki aayaton se chedkaani karte hain```
```Aur Is raat ko saabith karne ke liye Surah Ad dukhan 44 Aayat No 1-4
Bayaan ki jaati hain
*SURAH AD DUKHAN
```1⃣ حٰمٓ```
Ha, Meem
```2⃣ وَ الۡکِتٰبِ الۡمُبِیۡنِ ۙ```
Wal kitabil mubeen
TARJUMAH
Qasam hai is Roshan kitab ki
```3⃣ اِنَّاۤ اَنۡزَلۡنٰہُ فِیۡ لَیۡلَۃٍ  مُّبٰرَکَۃٍ اِنَّا کُنَّا مُنۡذِرِیۡنَ```
*Inna Anzalallahu fee Lailatim Mubarakatin*
*Inna kunna Munzireen*
*TARJUMAH*
*Ke hum ne isko ek Mubarak raat me Naazil farmaya*
*Hum to Khabardaar karne wale hain
```4⃣ فِیۡہَا یُفۡرَقُ کُلُّ اَمۡرٍ  حَکِیۡمٍ ۙ```
Feeha Yufraqu kullu Amreen hakeem
TARJUMAH
Usi Raat me tamam hiqmat wale faisle kiye jate hain
Lailatim Mubaraka Shabe Qadr ka hi naam hai
Agar Adna se Adna Talibe ilm se aap* *poochoge ki Quran Kis Mahine me Naazil hua to wo kahenge Ramadan me
*Aayiye iska jawab bhi Quran se lete hain
*Allah Ta'ala ne khud gawahi di Surah Al Baqarah Aayat Number 185
```شَہۡرُ رَمَضَانَ الَّذِیۡۤ اُنۡزِلَ فِیۡہِ الۡقُرۡاٰنُ ہُدًی لِّلنَّاسِ وَ بَیِّنٰتٍ مِّنَ الۡہُدٰی وَ الۡفُرۡقَانِ ۚ ```
*Shehru Ramadanal lazi Unzila fee hil Quran* *hudalin naasi wa baiyinati minal huda wa furqan
TARJUMAH.
Maah-e-ramzan wo hai jis me quran utara gaya jo logon ko hidayat karne wala hai aur jis me hidayat ki aur haq-o-baatil ki tameez ki nishaniyan hain aur humne isko furqan[Farq karne wali kitab] bana ke bheja hai.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS