SHAB-E-BARAAT" manana Sunnat ya Biddat❓
Part-3
Ek Zaeef Hadees ka Sahara:
Is Raat me Ibadaatein karne aur Qabrstan jaakar dua karne ke liye ye Zaeef Hadees pesh ki jaati hai.
"Ayesha Razi Allahu Anha kehati hai ke ek Raat Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) Ayesha ke waha the, Rasolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) achanak waha se nikle, Ayesha unke ke piche nikli to kya dekhti hai ke Aap Baqee Qabristaan me tashreef le gaye, Rasolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) ne unhe (Ayesha ko) dekha to farmaya "kya tumhe is baat ka andaza tha ke Allah aur Uske Rasool tum par zulm karenge" (Yaani aaj raat apke paas meri baari hote huye apko chhod kar mai dusre Biwi ke paas jaauga), Ayesha ne kaha ke "Aye Allah ke Rasool ! Mujhe ye shak hua tha ke shayad aap kisi aur beewi k yaha chale gaye", tab aap ne farmaya: "Beshak Allah tabarak o ta'ala shabaan ki pandarvi (15th) raat ko aasmaani dunya par nuzool hota hai phir is se zayada wo utne loogo ki magfirat karta hai jitne banu Kalb ki bakriyo ke baal hai".
*(Sunan Tirmizi Hadees 739)
*(Sunan Ibne Maaja Hadees 1389)
*(Sunan Ibne Maaja Hadees 1389)
*❌❌Is hadees ko Imam Tirmiz, Imam Bukhari, Imam Daarul Qutni, Allama Ibn Jauzi, Allama ibn Baaz aur Muhaddis Sheikh Nasiruddin Albaani Rahimahullah wagaira ne ZAEEF qaraar diya hai.
_is HAdees se Malum hota hai ke :_
1. Jab Hadees sahih nahi hai to phir is se Shab-e-Baraat mai qabro ki khasoosi ziyart ki mashruiyat ka saboot kaise hasil hoga❓
2. Agar is Raat me ibaadatein karna sawab ka kaam hota to Aisha (R) ko bataye bina Rasoolullah chupke se ekele Qabarstan na jaate.
3. Ham sab jante hai ke Rasoolullah Ramadhan me "Layl-tul Qadr" ko paane ke liye apne Biwiyo ko pure 10 raatein jagaate aur ibadaatein karne ka hukm dete lekin "15 Shaaban" ki raat ko apne aisa nahi kiya. Samajdaar ko ishara kaafi hai.
4. Haan agar aap ko har Raat Tawajjud adaa karne ki aadat ho to aap apke ma-a-mul (daily routine) ke mutabik is raat bhi aap Tahajjud adaa kariye isme harj nahi lekin khaas isi Raat Zyada Sawab ki niyyat se koi khaas amal karna ye BIDDAT kahelaayega.
5. Fir bhi koi Shakhs is Raat jaagkar zyada amal karne ki koshish karta hai to samaj lijiye ke aisa shakhs RASOOLULLAH (SallallahuA'laihiWaSallam) ko OVERTAKE karte huye boundary cross karna chah raha hai aur apni aakhirat barbaad kar lena chah raha hai.
No comments:
Post a Comment