*ꙮUlama-e-Kiraam se tanfeer (Nafrat dilaane) ka fitnah—Asbaab-o-ilaajꙮ*
*Part- ⓵*
*🖋 Tehreer: Umar Asari bin Ashiq Ali Asari
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Tareekh gawaah hai ke Islam ke dushmano ne Islam ko mitaane ki har daur mein har mumkin koshish ki hai aur is maqsad ke husool ke liye unhon ne mukhtalif tarah ki chaalon ko ikhtiyaar kiya hai. Kabhi woh Quran-o-Hadees ki khidmat ke naam par Quran-o-Hadees mein dakhl andaazi karte hain to kabhi musalmaano ke afkaar-o-nazariyaat ko daqyanoosi (puraane zamaane ka) qaraar dete huwe apne afkaar-o-nazariyaat ko apnaane ki hidayat aur naseehat karte hain aur kabhi musalmaano ke ta’leemi nizaam ke saath chhed chhaad karte hain aur un ke zehno mein yeh fikr aur soch bithaane ki koshish karte hain ke agar aage badhna aur taraqqi karna hai to hamaare jadeed nizaam-e-ta’leem ko ikhtiyaar karo aur kabhi woh Islam mukhalif munazzam tahreekaat chalaate hain jo ke ba-zaahir (zaahiri taur par) Islam ke faide aur haqq mein ma’loom hoti hain lekin dar-haqeeqat woh tahreekaat Islam ke bilkul mukhalif hoti hain. Isi tarah musalmaano ko Islam ke mutalliq shukuk-o-shubhaat mein mubtala karte hain aur ukhuwwat-e-Islaami ki muqaddas rooh ko napaak karne ki koshish karte hain. Afsos to us waqt hota hai jab un ke fareb aur behkaawe mein aa kar khud musalmaan Islam ke mukhalif amal karte hain aur is khush-fehmi mein mubtala rehte hain ke woh deen ki badi khidmat kar rahe hain. Islami ta’leemaat par hamla karne waale chaahe musalmaan hon aur Muslim khaandaan se talluq rakhte hon ya ghair Muslim hon aur ghair Muslim khaandaan se talluq rakhte hon sab ki khatarnaaki aur zeharnaaki qareeb qareeb ek jaisi hi nazar aati hai balki kabhi kabhaar Muslim naam ke logon ki khatarnaaki kuch ziyadah hi sangeen hoti hai.
Yeh tamaam koshishein Islam ke dushmano ko na-kaafi lagein kiunki unhein ulama-e-Islam ke maqam-o-martabe ka aitraaf tha aur unhein yeh ma’loom tha ke jab tak musalmaano ka talluq ulama-e-haqq aur ulama-e-rabbaniyyeen se bana rahega woh Islam par baaqi rahenge. Lehaza unhon ne apne bure maqaasid ko poora karne ki khaatir aam musalmaano ko waariseen-e-Ambiya yani ulama-e-haqq se door karne ki sazishein shuru kar dien aur ulama ke talluq se logon ke dilon mein is qadar nafrat aur doori paida ki ke woh sahih Islam se door ho gaye. Nateeja yeh huwa ki har kisi ne deen mein dakhal dena shuru kar diya aur deen ki aisi aisi tashreehaat ki ke Islam ki shabeeh (shakl) bigad kar reh gayi. Deen mu’aashre, ma’eeshat aur baazaaron se nikal gaya aur dheere dheere gharon se bhi nikal kar Masajid-o-madaaris mein khasta haali ki zindagi ji raha hai. Kabhi kabhaar deeni ijlaas-o-conferences mein apni rahi sahi shaan ke saath kisi shahar mein ya Social Media par kahein nazar aa jaata hai. Warna aisa lagta hai ke ab rukhsat huwa ke tab rukhsat huwa.
Saada lauh (bhole bhaale) awaam shu’oori aur ghair shu’oori taur par Islaami ta’leemaat se door hone lage, ilhaad-o-zindiqiyyat waghera apna sar uthaane lage aur apni tamaam quwwaton ke saath musalmaano par hamla karne lage. Esaayi missionaries aur angrezon ki paidawaar aur unki parwardah (pali hui) qaadyaniyyat bhi apne jaame se bahar aa gayi aur musalmaano ko ghurbat, be-rozgaari aur zindagi ke deegar masaail ki aad le kar deen se pherna shuru kar diya. *Shayar ne sach hi kaha hai:*
Ek do zakhm nahi saara badan hai chhalni
Dard be-chaarah pareshan hai kahan se uthe
Mukhtasar yeh ke logon ne ulama ko nakaarah tasawwur kar liya aur tamaam ulama ko ek hi laathi se haankte huwe unko ulama-e-bani Israel ke mushabeh qaraar de diya balki kuch na-aaqibat andeshon ne to ulama ko firqa parast, buzdil, jahannami aur na jaane kaise kaise alqaab se nawaazna shuru kar diya. Ulama ki ahmiyat khatm hone lagi aur juhalaa aur muta’alimeen ka bol baala hone laga aur unhien ko haqeeqi du’aat aur muballigheen samajh liya gaya. Halaanki ulama-e-kiraam ki jama’at is duniya mein Ambiya-e-Kiraam ke baad sab se afzal jama’at hai. Wahi to is ummat ke muhafiz hain, deen ki hifaazat, tafseer-o-tashreeh aur da’wat-o-tableegh unhien ki zimmedaari hai. Unhien ki wajah se hi to kitaab-o-sunnat ka ilm is khatm hone waali duniya mein baaqi hai. Chunanche Nabi-e-Akram ﷺ ka farmaan hai:
إِنَّ اللَّهَ لَا يَقْبِضُ الْعِلْمَ انْتِزَاعًا يَنْتَزِعُهُ مِنَ الْعِبَادِ، وَلَكِنْ يَقْبِضُ الْعِلْمَ بِقَبْضِ الْعُلَمَاءِ، حَتَّى إِذَا لَمْ يُبْقِ عَالِمًا اتَّخَذَ النَّاسُ رُءُوسًا جُهَّالًا، فَسُئِلُوا فَأَفْتَوْا بِغَيْرِ عِلْمٍ فَضَلُّوا وَأَضَلُّوا
*Tarjumah:* Allah ﷻ ilm ko is tarah nahi uthaayega ke us ko bandon se cheen le. Balki woh ilm ulama ko maut de kar uthaayega. Yahan tak ke jab koi alim baaqi nahi rahega to log jaahilon ko sardaar bana lenge, phir un se sawaalaat kiye jaayenge to woh baghair ilm ke fatwa denge. Lehaza woh khud bhi gumraah honge aur logon ko bhi gumraah karenge.
*(Sahih Bukhari, Hadees No: 100)*
*Gaur farmaayen! Nabi-e-Akram ﷺ ne ulama-e-rabbaniyyeen ki wafaat ko ilm ka khaatma bataya hai.* Aur aisa kiun na ho jab ke ulama-e-kiraam hi woh sitaare hain jin ke zariye jihaalat ki tareeki ko ilm ki roshni mein badla jaa sakta hai. Allah ﷻ ka farman hai:
فَاسْأَلُوا أَهْلَ الذِّكْرِ إِن كُنتُمْ لَا تَعْلَمُونَ
*Tarjumah:* Agar tum nahi jaante to ahl-e-ilm se poocho.
*(Surah An-Nahl: 43)*
*Yahi wajah hai ke khud Nabi-e-Akram ﷺ ne ulama-e-haqq ko waariseen-e-Ambiya qaraar dete huwe irshaad farmaaya:*
إِنَّ الْعُلَمَاءَ وَرَثَةُ الْأَنْبِيَاءِ
*Tarjumah:* Ulama Ambiya ke waaris hain.
*(Sunan Abi Dawood, Hadees No: 3641, Sunan Tirmizi, Hadees No: 2682, Sunan Ibn-e-Majah, Hadees No: 223. Allama Albani Rahimahullah ne Sahih kaha hai)*
*To be Continued In sha Allah..........*
*🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹*
-------------------
No comments:
Post a Comment