find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts sorted by relevance for query Mohabbat. Sort by date Show all posts
Showing posts sorted by relevance for query Mohabbat. Sort by date Show all posts

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Se Sab Se Jyada Muhabbat Kyu? Part 3.

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se sab se ziyadah mohabbat kyu?

Part-③
Tehreer: Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah
Romanised By: Umar Asari

Husn o Jamaal:
Teesra sabab jis ki wajah se duniya waale kisi se mohabbat karte hain woh husn o jamaal hai yeh khoobi bhi Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke andar mukammal taur par maujood hai, dus (10) saal Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat karne waale Anas bin Maalik Radhiallahu Anhu farmate hain:
كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَحْسَنَ النَّاسِ
*Tarjumah:* Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam tamam logon mein sab se ziyadah khoobsoorat they.
*[Sahih Bukhari: 2820]
Husn o jamaal ko bayan karne mein sab se ziyadah mahaarat shu’aaraa (poets) hazraat ko hoti hai, Sahaba e Kiraam mein bhi ek shayar (poet) Hassan bin Saabit Radhiallahu Anhu they unhon ne apne ash’aar mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki khoobsoorti ka hairat-angaiz naqsha kheencha hai, farmate hain:
وأَحسنُ منكَ لم ترَ قطُّ عيني
وَأجْمَلُ مِنْكَ لَمْ تَلِدِ النّسَاءُ
خلقتَ مبرأً منْ كلّ عيبٍ
كأنكَ قدْ خلقتَ كما تشاءُ
Tarjumah:* Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se ziyadah haseen meri aankh ne na dekha
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se ziyadah Jameel kisi khatoon ne nahi jana
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki paidaish har qism ke aib se is tarah paak hai
Ke lagta hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam apni khwahish ke mutabiq paida kiye gaye hain.
*[Ad-dewaan Al-Mansoob ilaa Hassan bin Saabit, Page No: 2. Hassan bin Saabit Radhiallahu Anhu ki taraf in ash’aar ki nisbat par mazboot suboot maujood nahi hai is liye yeh un ke ash’aar ho bhi sakte hain aur nahi bhi lekin behar-haal yeh ash’aar kisi na kisi mo'min hi ke hain, Wallahu A’lam Bis-Sawaab]
Agar duniya waale kisi ke husn o jamaal ki wajah se mohabbat karna chahte hain to unhein sab se ziyadah Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se mohabbat karni chahiye.
Wazeh rahe ke mohabbat ke yeh tamam asbaab Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki zaat mein ek saath kamaal ke darje mein maujood hain, jis zaat ke andar yeh kamalaat hon usay yeh kehne ka haq haasil hai:
لَا يُؤْمِنُ أَحَدُكُمْ حَتَّى أَكُونَ أَحَبَّ إِلَيْهِ مِنْ وَالِدِهِ وَوَلَدِهِ وَالنَّاسِ أَجْمَعِينَ
*Tarjumah:* Tum mein se koi bhi shakhs us waqt tak momin nahi ho sakta jab tak ke main us ke nazdeek us ke baap, us ke bete aur tamam logon se ziyadah mehboob na ban jaaun.
*[Sahih Bukhari: 15]
Is Hadees mein Sallallahu Alaihi Wasallam se sab se ziyadah mohabbat ka jo mutalba hai woh bila-wajah nahi hai, jab mohabbat ke jitne bhi asbaab hote hain sab ek saath Aala darjaa mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki zaat mein paaye jaate hain to is soorat e haal ka fitri taqaza hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se sab se ziyadah mohabbat ki jaaye.
Asbaab e mohabbat yeh mohabbat e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ka sirf ek pehlu hai is ke saath saath mohabbat e Rasool ke deegar pehluon par nazar rakhni chahiye.
Allah se dua hai ke Allah hum tamam musalmanon ko Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se sab se ziyadah mohabbat aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki pairwi ki taufeeq ata farmaaye, Aameeen.
Please Share with Our Muslims Brother and Sister.
-------------------
Share:

Kaisi Ladki Se Shadi kare Jisse Shadi ke Bad Zindagi Mohabbat Se Gujre?

Kaisi Ladki Se Shadi karne bad O Mohabbat  Karegi?

Kaisi Ladki Se Shadi ki jaaye jo Bahut Mohabbat karegi? Kaun Si Ladki Shadi ke Bad Mohabbat Karegi?
Kaisi Larki Se Shadi Karna chahiye?
  Hazrat Maaqal bin Yasar (rz) se rivayat hai ke aik aadmi rasool Allah ke paas aaya kaha aye Allah ke rasool aik aurat se mein nikah karna chahta hon jo bade khandan ki hai aur khobsorat hai lekin banjh hai kya mein nikah kar lon? to Aap ney nahi, dosray din bhi yahi sawal kiya to Aap ne kaha nahi, teesray din bhi kaha nahi, phir kaha tum ziyada mohabbat karne wali aur ziyada bachay dainay wali Aurat se Nikah karo, mein kal qayamat ke din tamam ummton par badi ummat hone par fakhr karoon ga (Abudaod).
is hadees mein Rasoolullah ne banjh aurat se sahabi ko mana farmaya to ye hokum sab ke liye bilkul mana nahi hai balkay is Sahabi ke liye Aap ka mahswara tha, warna totally mana nahi hai banjh aurat se bhi nikah bilkul kya ja sakta hai. Yahan par Nabi ney aik aisi aurat se nikah karne ki targheeb dilaai jis me 2 khoobiyan hon, ziyada bachay dainay wali aur ziyada mohabbat karne wali. ab yeh kaisay pata chalay ke kon ziyada bachay dainay wali hai? ziyada bachay dainay wali ko pehchanney ka tareeqa yeh hai ke is ke khandan mein dekha jaayegaa, is ki maan, is ki behan, khaala, phopi un ko dekh kar maloom kya ja sakta hai, ya agar shadi shuda hoto maloom hoga. ab doosra masla yeh hai ke ziyada mohabbat karne wali hai yeh kaisay pata chalega?
is ka jawab yeh hai ke jo bhi ziyada bacche dene wali ladaki hogi fitri tour par ziyada mohabbat bhi kere gi. Allah taala ney jis aurat mein ziyada aulaad ki salahiyat rakhi hai us mein ziyada mohabbat bhi rakhi hai .
ladki ke mohabbat karne ki doosri alamat larki ki maan hai agar wo apne shohar ki izzat karti hai is ki tareef karti hai itaa’at guzaar hai to is bachi mein bhi woh sifat ajati hai, us ladaki ka baap apni biwi ki bohat izzat karta hai mohabbat karta hai ehtram karta hai to bhi bachi mein mohabbat ki sifat hoti hai, agar biwi shohar ko gaali day shohar biwi ko gaali day dono aik dosray ki shikayat karte hain dono mein mohabbat nahi payi jati hai to aisay maan baap ki ladaki mein bhi muhabbat mushkil hai, lekin mukammal namumkin nahi hai, mushkil to zaroor hai.
Agar baap bohat zulm karne wala hai to aisay aadmi ki ladaki ke dil mein mardon se nafrat hoti hai nafsiati aitbaar se aisi bachi sab mardon ko zalim hi samjhti hai, aik ajeeb tarah ki nafrat ki kaifiyat chhai hui rehti hai .
kuch mawaqah par Rasoolullah ney kunwari ladki se nikah par ubhara hai is ki bunyadi wajah yeh ke woh ziyada mrodn se waaqif nahi hoti hai, is ki shohar se paheli mohabbat hoti hai, jab aik martaba mohabbat hojati hai to phir zindagi bhar chalti hai, mardon se nawaqif honay ki wajah ziyada dheyaan apane hi shohar par lagati hai, choti cheez par bhi raazi hojati hai, dosaron se muhabbat rakhnay ke bajaye apne hi shohar se ziyada muhabbat rakhati hai. in tamam khoobiyon ki wajah aap ney targheeb dilae ke kunwari se karna behtar hai lekin is ka hargiz matlab nahi ke shohar deedaa yaani bewa ya muatallaqa mean khoobiyan nahi hoti hain, balkay bewa ya mutallqa men bhi bohat saari khoobiyan hoti hain.
Agar bewa ya mutallqa deendar hai to is mein mamala fehmi hoti hai, shohar kin cheezon se khush hota hai aur kin se naraaz hota hai is ka ilm is ko pehlay hi se rehta hai, is ko samjhane ki zaroorat nahi hai, bohat saaray mamlaat jahan shohar ko samajh mein nahi aata wahan yeh shohar deedaa biwi rahnumai karti hai, yeh kanwari larki ko gharelo kamon mein pakwaan mein umoor khanah daari mein aik lambi tarbiyat aur sabr ki zaroorat rehti hai yahan aisa nahi hota hai balkay umoor khanah daari se mukammal waaqif hoti hai. aik shohar umdah khaano ka shoqeen hota hai jis ko yeh khatoon bakhoobi injaam deti hai.
Bewa ya mutallaqa se nikah karna koi ghalat baat nahi hai kyun ke Nabi ki saari biwiyan mutallqa ya bewa hi theen siwaye amma aisha Sadiqa (rz)ke. yaqeenan aulaad dainay wali aurat se nikah ki targheeb di gayi hai agar Allah ney muqaddar mein aulaad nahi rakhi hai to is par sabr bhi karna hoga. jaisay ibrahim (alahissalam)aur zakaria (alahissalam) ney sabr kya, un dono nabiyo ko lambi muddat taq aulaad nahi hui unhon ney nah un ko tana diya nah zulm kya nah Talaq diya. balkay Allah se dua karte rahay .
1 Arabi dehati se poocha gaya ke kis taraha ki aurat se nikah kya jaye to us ney kaha sab se behtareen aurat wo hai jo qad mein onchi ho, jab baithy to Muazzaz lagey, jab baat kere to sach bolay, jab gussa aeye to burdbaari se kaam le, yani gussa ka foran izhaar nah kare, jab hanse to muskuraye, agar koi cheez pakaye to lazeez wa mazedar banaye, shohar ki itaat kere, ghar se bahar intehaai zaroorat par hi niklay, takabbur se pak ho, ziyada mohabbat karne wali aur ziyada bachay dainay wali ho .
Share:

Kaisi Larki Se Shadi Kare take Jyada Mohabbat Kare?

KaunsI LADAKI NIKAH KE BAAD BAHUT MUHABBAT KAREGi?
Hazrat Maaqal bin Yasar (rz) se rivayat hai ke Ek Aadmi Rasool Allah ke paas aaya kaha aye Allah ke rasool Ek aurat se mein Nikah karna chahta hoon jo bade khandan ki hai aur khubsurat hai lekin banjh hai kya mein nikah kar loon? to Aap ney nahi, dosray din bhi yahi sawal kiya to Aap ne kaha nahi, teesray din bhi kaha nahi, phir kaha tum ziyada Mohabbat karne wali aur Jyada bachay dainay wali Aurat se Nikah karo, mein kal Qayamat ke din tamam ummton par badi ummat hone par fakhr karoon ga (Abudaod).
is hadees mein Rasoolullah ne banjh Aurat se sahabi ko mana farmaya to ye Hukum sab ke liye bilkul mana nahi hai balkay is Sahabi ke liye Aap ka Mahswara tha, warna totally mana nahi hai banjh Aurat se bhi nikah bilkul kiya ja sakta hai. Yahan par Nabi ney aik aisi aurat se nikah karne ki targheeb dilaai jis me 2 khoobiyan hon, ziyada bachay dainay wali aur ziyada Mohabbat karne wali. ab yeh kaisay pata chalay ke kaun zyada bachay dainay wali hai? ziyada bachay dainay wali ko pehchanney ka tareeqa yeh hai ke is ke khandan mein dekha jayega, is ki Ammi, is ki Behan, khaala Ammi, un ko dekh kar Maloom kiya ja sakta hai, ya agar shadi shuda hoto maloom hoga. ab doosra Masla yeh hai ke ziyada Mohabbat karne wali hai yeh kaise Pata chalega?
is ka jawab ye hai ke jo Bhi Jyada Bache dene wali ladki hogi fitri tour par Jyada Mohabbat bhi keregi. Allah taala ney jis Aurat mein Jyada aulaad ki salahiyat rakhi hai us mein ziyada Mohabbat bhi rakhi hai .
Ladki ke Mohabbat karne ki Dusri Alamat larki ki Maan (Mother أمي) Hai Agar wo apne shauhar ki izzat karti hai is ki tareef karti hai itaa’at guzaar hai to is Bachi Mein bhi woh sifat ajati hai, us Ladki ka BAAP Apni Biwi ki Bahut izzat karta hai Mohabbat karta hai Ehtram karta hai to Bachi mein Bhi Mohabbat ki sifat hoti hai, Agar Biwi Shauhar ko Gaali de ya Shauhar Biwi ko gaali day dono aik dusrey ki shikayat karte hain dono mein Mohabbat nahi payi jati hai to Aeisey Maan-Baap ki Ladaki mein bhi Muhabbat Mushkil hai, lekin Mukammal namumkin nahi hai, mushkil to zaroor hai.
Agar Baap Bahut zulm karne wala hai to aisay aadmi ki Ladaki ke dil mein Mardon se nafrat hoti hai Nafsiyati Aeitebaar se Aeisi Bachi sab Mardon ko zalim hi samjhti hai, aik ajeeb tarah ki Nafrat ki kaifiyat chhai hui rehti Hai.
kuchh Mawaqah par Rasoolullah ney kunwari Ladki se Nikah par ubhara hai is ki Bunyadi wajah yeh ke wo Jyada Mardon se waaqif nahi hoti hai, is ki Shauhar se Pahli Mohabbat hoti hai, jab Ek Martaba Mohabbat ho jati hai to phir Zindagi bhar chalti hai, Mardon se Nawaqif honey ki wajah Se Jyada Dhyan Apne hi Shauhar par lagati hai, Chhoti Cheez par bhi raazi ho jati hai, Dusron se Muhabbat Rakhney ke bajaye apne hi Shauhar se ziyada Muhabbat rakhati hai. in tamam khoobiyon ki wajah aap ney targheeb Dilayi ke kunwari se karna Behtar hai Lekin is ka hargiz Matlab nahi ke shauhar deedaa yaani Bewa ya Muatallaqa Me Yah khoobiyan nahi hoti hain, Balkay Bewa ya Muatallaqa men bhi bahut saari khoobiyan hoti hain.
Agar bewa ya mutallqa Deendar hai to is mein Mamala fehmi hoti hai, Shauhar kin cheezon se khush hota hai aur kin se naraaz hota hai is ka ilm is ko pehlay hi se rehta hai, is ko samjhane ki zaroorat nahi hai,Bahut saaray Mamlaat jahan Shauhar ko samajh mein nahi aata wahan yeh Shauhar deedaa biwi Rahnumai karti hai, yeh kanwari Larki ko Gharelu kamon mein Pakwaan mein umoor khanah daari mein Ek lambi tarbiyat aur sabr ki zaroorat rehti hai yahan aisa nahi hota hai balkay umoor khanah daari se mukammal waaqif hoti hai.Ek Shauhar umdah khaano ka Shauqin hota hai jis ko yeh khatoon bakhoobi Anjaam deti hai.
Bewa ya Muatallaqa se Nikah karna koi Galat baat nahi hai kyun ke Nabi ki saari Biwiyan Muatallaqa ya Bewa (widow) hi theen siwaye Ammi Aayesha Saddiqa (rz)ke. yaqeenan Aulaad dainay wali Aurat se Nikah ki targheeb di gayi hai agar Allah ney muqaddar mein Aulaad nahi rakhi hai to is par sabr bhi karna hoga. jaisay ibrahim (Alahissalam)aur zakaria (Alahissalam) ney sabr kiya, un dono Nabiyo ko lambi Muddat taq aulaad nahi hui unhon ney nah un ko tana diya nahi zulm kya nahi Talaq diya. balkay Allah se dua karte rahay .
1 Arabi Dehati se poocha gaya ke kis taraha ki aurat se nikah kiya jaye to us ney kaha sab se behtareen Aurat wo hai jo qad mein onchi ho, jab baithy to Muazzaz lagey, jab baat kere to sach bolay, jab gussa aeye to burdbaari se kaam le, yani gussa ka foran izhaar nah kare, jab hanse to muskuraye, agar koi cheez pakaye to lazeez wa mazedar banaye, Shauhar ki itaat kere, ghar se bahar intehaai zaroorat par hi Nikley, Takabbur se pak ho, Jyada Mohabbat karne wali aur Jyada Bache Dene wali ho .

Share:

Jayez Aur Halal Mohabbat ka Izhaar..

 Jayez aur Halal Mohabbat ka Izhar.



Insani Mua’ashre mein Mohabbat o Mawaddat, Ijtimaiyat aur Ham Aaahangi ki Targheeb Jitni Deen-e-Islam aur Paighambare Islam ﷺ ne di hai Dunya ke kisi aur Deen ne Nahin di.
✿ Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jab Tum Mein Se Koi Apne Bhai se Mohabbat kare to Use Chahiye ke Wo Apne Bhai ko Batade (Yani Mohabbat ke Talluq ka izhar Kare).” (Jami` at-Tirmidhi: 2392)
The Messenger of Allah ﷺ said: "When one of you loves his brother, then let him inform him of it." (Jami` at-Tirmidhi: 2392)
●◗► Izhare Mohabbat se Islam Mana Nahin karta Albatta Na’Mahram Mard o Aurat ke Darmiyan Na Jayez Mohabbat, Ikhtelat aur Be Hayayi ko Haram Qarar deta hai, Insan ko Chahiye ke Wo Biwi Bacchon, Waldain aur Bahen Bhaiyyon se Toot kar Mohabbat kare aur is ka Munasib Andaz mein izhar bhi Kare, Izhare Mohabbat ka khaas Tariqah ya Tareekh tai Karna Jaise 14 February ko Valentines day Manana Bhi Yahood o Nasara ki Naqqali aur Mushabihat ki Wajah se Mamnoo hai.
*●♧●---------☆---■---☆--
*لَآ اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ مُحَمَّدٌ رَّسُوْلُ اللّٰهِؕ*
*"Main Gawahi deyta ho Allah k siwa koi Mabood nahi Aur Hazrat Muhammad Mustafa (ﷺ)  Allah k Rasool hain"
*"lā ilaha illa Allahu, Muhammad ur-rasul Ullah"
*There is none worthy of worship but Allah, Muhammad [peace be upon him] is the messenger of Allah.
❤JazakAllahu Khair'n



Share:

Allah Se Mohabbat Ke Sacche Dawe-Daar Kaun Hai?

Allah se Mohabbat K Suche Dawe-daar Kon Hai

           True Love From Allah 

فَإِنَّ خَيْرَ الْحَدِيثِ كِتَابُ اللَّهِ وَخَيْرُ الْهُدَى هُدَى مُحَمَّدٍ ﷺ

Hamare Muslim mu'ashre m aisa koi nahe jo ye dawa na kare k wo Allah se Mohabbat karta hai, Lekin jab Aamal, Aqayad ki baat aate h aur inhe Nabi ﷺ ki Saheh Hadees bataye jate h to inhe apna maslq, apne imam, apne buzrug, apne peer ki bate he Azeez hote h...
Allah tala Quran e Pak m irshad faramata hai...
 Keh dijiye! Kay agar tum Allah Taalaa say mohabbat rakhtay ho to meri tabeydari kero khud Allah Taalaa tum say mohabbat keray ga aur tumharay gunah moaf farma dey ga aur Allah Taalaa bada bakshney wala meharban hai.*
  *Keh dijiye! Kay Allah Taalaa aur rasool ki ita’at kero agar yeh mun pher len to be-shak Allah Taalaa kafiron say mohabbat nahi kerta.*
* Qur'an: 3: 31,32*
 *Tafseer Ibne Kaseer :-*
Tafseer ibne kaseer m Imam ibne kaseer rahemullah ne is aayat ki tafseer k talluq se kehte hai...
* Is aayat ne faisla kar diya jo shakhs Allah ki mohabbat ka dawa kare, aur iske Aamal Af'aal Aqayad Farman nabi ﷺ k mutabeeq na ho, tareeqa Mohammadiya par wo kar banad na ho, to wo apne is dawe m jhoota hai,‼*
* Shahe Hadees m h Rasool ﷺ faramate hai :- jo shakhs aisa amal kare jis par Hamara amal na ho wo mardood hai. Isliye yaha bhe irshad hota h k agr tum Allah se mohabbat rakhne k dawe m suche ho to meri sunnato par Amal karo, is waqt tumhari chahat se zeyda Allah tumhe dega, yaani wo khud tunhara chahne wala ban jayega. Jaise k baaz Hakeem ulma ne kaha h k tera chahna koi cheez nahe lutf to is waqt h k Allah tujhe chahne lag jaye garz allah ki mohabbat ki yahe nishani yahe hai k har kaam m itteba e Sunnat madde nazar ho. Deen sirf Allah se mohabbat aur Allah k liye dushmani ka naam hai.*
 *Hadees par chalne ki waja se Allah tumhare tamam gunaho ko maaf farma dega,  phir har khas wa aam ko hukm milta hai k sab Allah wa Rasool ko farma bradaar ban jaye. Jo na-farman ho jaye yaani Allah aur Rasool ﷺ ki itaaat se hat jaye to wo kafir hai Allah in se mohabbat nahe rakhta.*
* Is se wazeh ho gaya k Rasool ﷺ ki k tareeqe ki mukhalefat kufr hai aise log Allah k dost nahe ho sakte go inka dawa he kun na ho. Lekin jab tak Allah k suche nabi umme khateemur-Rasool jin wa bashar  ﷺ ki tabedari pairwe aur itteba sunnat na kare wo apne is dawe m jhoote hai.

Hazrat Rasool ﷺ to wo hai k agr aaj Ambiya A.S aur Rasool balke bhtreen aur ulul-azm paigambar bhe zinda hote to bhe Aap  ﷺ ki mane bagair aur Aap  ﷺ ki Shriyat par kar-band huwe bagair chara he na tha.*
 Tafseer Ibne Kaseer: 3:31,32
Allah tala se duwa hai k ham Sab ko apne masayeele ikhtelafat m Quran wa Saheh Hadees* ki Daleel aa jane k baad use tasleem karne ki tofeeq de, beshq yahe log Allah aur Rasool ﷺ se mohabbat k sache Dawe-daar hai ...
*آميــــــــــــــــــــن يَارَبَّ الْعَالَمِين*
____________________________________
Share:

Allah Taala ke Ziker Aur Nabi SWS Se Mohabbat

Allah taa'ala ka ziqr aur NABI SWS se mohabbat

Hazrat anas (ra.) Se revayat hai ki NABI SWS ne irshad farmaya ki tumme se koi shakhs poora momin nahi ho sakta, jab tak ki woh mere sath itni mohabbat na rakhe ki apne walid se bhi zyada aur apni aulad se bhi zyada aur sab aadmiyon se bhi zyada
BUKHARI WA MUSLIM SAFHA-2
Hazrat anas (ra.) Se revayat hai ki RASOOL ALLAH SWS ne irshad farmaya ki teen chize aisi hai ki wo jis shakhs me hongi unki wajah se eman ki halawat (mithas aur lazzat) naseeb hongi,ek woh shakhs ki jiske nazdeeq Allah aur unke RASOOL SWS sab masiwa se zyada mehboob ho(yani jitni mohabbat usko Allah aur Rasool se ho utni kisi se na ho) aur ek woh shakhs jisko kisi bandey se mohabbat ho aur mahez Allah hi ke liye mohabbat ho yani kisi dunyavi garz se na ho mahez isi wajah se mohabbat ki woh shakhs Allah wala hai aur ek woh shakhs jisko Allah taa'ala ne qufr se bacha liya ho(khwah pehle se bachaye rakha ho)
Khawah kufr se tauba kar li aur bach gaya) aur uske baad woh kufr ki taraf aane ko is kadar na-pasand karta hai jaise aag me dale jane ko na-pasand karta hai
BUKHARI WA MUSLIM SHARIF SAFHA 12
Hazrat anas (ra.) Se revayat hai ki ek shakhs ne arz kiya ki Ae Allah ke Rasool, Qayamat kab ayegi?? Aapne farmaya tera bura ho tune uske liye kya saman wakar rakha hai, jo iske aane ka shauk aur intezar hai usne arz kiya ki maine uske liye kuch saman to kiya nahi magar yeh ki mai Allah aur uske Rasool se mohabbat rakhta hu to aapne farmaya ki tu uske sath hoga jisse tune mohabbat ki Hazarat anas (ra.) Farmate hai ki maine musalmano ko islam lane ki khushi ke bad kisi baat par itna khush hota nhi dekha jitna us par khush hue
BUKHARI WA MUSLIM SAFHA 426!

Share:

Allah ke khatir mohabbat karne ke fawaid. ( Part 1 )

ALLAH KI KHATIR MOHABBAT KARNE KE FAWAID

Transliteration by : Bint Iqbal
PArt 1
  Imaan ke mukammal hone ka asbaab(zariya) hai : :
Abi Umamah RaziAllahu anhu se rivayet hai ke Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne irshaad farmaya "jisne Allah ki khatir mohabbat kee, aur Allah ki khatir nafrat kee, aur Allah ki khatir hi( kisi ko kuch ) diِya, aur Allah hi ki khatir ( kisi ko kuch ) dene se ruka raha, to yaqeenan usne apna imaan mukammal kar liya."
Sunan abu Dawood Hadees : 4681 , Allamah Albani Rahimahullah ne isey sahih qarar dِiya hai.
__________________________________
: Imaan ki mazbooti ka asbaab hai : :
Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne abu Zar Al Ghaffari RaziAllah anhu se farmaya : Ai abu Zar kya tum jante ho ke imaan ki sab se ziyada mazboot girah kaun si hai❓
Abu Zar RaziAllah anhu ne arz kiya :-"Allah aur uske Rasool hi sab se ziyada ilm rakhte hain",to Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne irshad farmaya "Allah ke liye dosti rakhna, aur Allah ke liye dushmani rakhna, aur Allah ke liye mohabbat karna, aur Allah ke liye nafrat karna.
Sahih Al Jame As Sagheer wa Ziyaadatuh Hadees 2539 .
__________________________________
 Allah Sub'hana o Ta'ala ki mohabbat pane ka asbaab hai
Muaz Ibn Jabal RaziAllah anhu ka kehna hai ke maine Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ko irshad farmate hue suna " Allah Tabarak o Ta'ala ka farman hai ke mere liye aapas mein mohabbat karne walon, ek doosre ke sath mil baithne walon, aur ek doosre ko ja kar milne walon, aur (ek doosre ki khair ke liye ) apni quwatein sarf karne walon ke liye meri mohabbat wajib ho gayi."
Sahih Ibn Habban Hadees: 575,
Muwatta maalik Hadees 1748, Musnad Ahmad, hadees 22680,
Sahih Al Jame As Sagheer wa Ziyaadatuh hadees 4331.
 
Qayamat wale din bhi yeh muhabbaten qayem rahegi 
Allah Ta'ala quran me farmata h :-
Us din (gahre) dost bhi ek dusre ke dushman ban jayenge siwaye parhezgaron ke."
Surah Zukhruf, Ayah :67
Taqwe walon ki dostiyan sirf Allah ke liye hoti hain, kisi Duniyawi maqsad ke liye nahi, pas yeh log jo ek doosre se sirf Allah ke liye mohabbat aur dosti karne wale honge qayamat wale din bhi unki dosti barqarar rahegi, aur jo log Duniyawi maqasid ke liye, Allah ke ilawa kisi aur ke liye dostiyan rakhne wale honge woh ek doosre ke dushman ban jayen ge .
Share:

Allah ki khatir Mohabbat karne ke fawaid. (Part 2 last)

ALLAH KI KHATIR MOHABBAT KARNE KE FAWAID

Transliteration by:Bint e Iqbal
           Part-2 (Last)
 Ambiyah aur shohda unke rutbe ki tareef karenge:
Ameer- ul - Mumineen Umar faruq Razi Allahu  anhu ka farmaan hai ke Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne irshad farmaya" Beshak Allah ke bandon mein kuch aise log bhi honge, jo ambiyah mein se nahi aur na hi shaheedon mein se honge lekin qayamat wale din Allah ke paas unki rutbe ki ambiyah aur shaheed bhi tareef karenge.
Sahaba RaziAllahu anhu ajmaeen ne arz kiya " Ai Allah ke Rasool hamein bataiye ke woh log kaun hain ❓
to irshad farmaya "woh ( sirf ) Allah ki khatir mohabbat karne wale log honge, ( kyunke ) unke darmiyan na to ( imaan ke ilawa ) koi rishtedaari hogi aur na hi koi maal lene dene ka muaamla, pas Allah ki qasam unke chehre roshni hi roshni honge aur woh roshni par honge, jab ( qayamat wale din ) log dar rahe honge aur ghamzada honge to woh nahi darenge, aur na hi ghamzada honge aur phir Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne yeh aayat mubarikah tilawat farmaee  "Beshak Allah ke waliyon ( doston ) par na koi dar hoga aur na hi woh ghamzada honge.
Sunan Abu dawood  hadees 3527
______________________________ Qayamat wale din Allah ke arsh ka saaya pane ka asbaab hai : 
Abu Hurairah RaziAllahu anhu ne farmaya ke, Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne irshad farmaya : Beshak qayamat wale din Allah kahega ke mere jalal ki wajah ( ek doosre se ) mohabbat karne wale ( imaan wale ) kahan hain❓aaj, iss din mein jab ke mere ( arsh ke ) saaye ke ilawa koi aur saaya nahi, mein inhen apne ( arsh ) ke saaye mein jagah dunga.
Sahih Muslim hadees 2566
Abu Hurairah RaziAllahu anhu ki rivayat kardah saat qism ke logon ko arsh ke saaye mein jagah milne wali hadees mein hai ke " jis din Allah ke ( arsh ke ) saaye ke ilawa koi saya na hoga usdin Allah saat logon ko apne ( arsh ke ) saaye mein jagah dega ( 1 ) insaaf karne wala hukmaran, aur ( 2 ) woh naujawan jo Allah ki ibadat mein mashgool rehte hue bada ho, aur ( 3 ) woh shakhs jiss ka dil masjidon mein hi laga rahe, aur ( 4 ) woh do shakhs jo sirf Allah ke liye mohabbat karte hon isi mohabbat mein woh milte hon aur isi mohabbat mein woh Alag hote hon, aur ( 5) woh shakhs jِise kisi rutbey aur husn wali aurat ne ( buraiee ke liye ) dawat di ho aur woh shakhs ( uss aurat ki dawat thukrate hue ) kahe, "mein Allah se darta hun" , aur ( 6 ) woh shakhs jo is qadar chupaa kar sadqa karta ho ke uss ke baayein haath ko bhi pata na ho ke uske daayen haath ne kya sadqa kiya hai, aur ( 7 ) woh shakhs jiss ne tanhai mein Allah ko yaad kiya aur uski aankhon se ansoo rawan ho gaye.
Sahih Bukhari hadees 6806
Sahih Muslim, hadees 1031

Share:

Mirza Galib aur Alama Iqbal Shayeri, Urdu Two line Poetry, Bewafa Shayeri. Urdu ishq Shayeri.

Mirza Galib, Allama Iqbal, Daag Dehalavee, Meer Taqee Meer, Firaq Jaise Shayero ki Shayeri Padhe. 

Hindi, Urdu Best Shayeri Collection, Sad Shayeri, Alama Iqbal and Mirza Galibaja Shayeri. 


 Aatish-E-Ishq Woh Jahannum Hai, Jis Mein Firdaus Ke Nazzaare Hain.  --------------------------------- 


Ishq Ne, ‘Ghalib’, Nikamma Kar Diya, Warna Hum Bhi Aadmi The Kaam Ke. [Mirza Ghalib] ------------

Ishq Par Zor Nahin Hai Yeh Woh Aatish, ‘Ghalib’, Jo Lagaaey Na Lage, Aur Bujhaaey Na Bane. [Mirza Ghalib] --------------------------

Aaye Hai Be-Kasi-E-Ishq Pe Rona, ‘Ghalib’, Kis Ke Ghar Jaayega, Sailaab-E-Bala Mere Baad. [Mirza Ghalib] --------------------------------
- Mohabbat Mein Nahin Hai Farq Jeene Aur Marne Ka, Usi Ko Dekh Kar Jeete Hain, Jis Kaafir Pe Dam Nikle. [Mirza Ghalib] ----------------

Aashiqi Sabar-Talab Aur Tamanna Betaab, Dil Ka Kya Rang Karoon, Khoon-E-Jigar Hone Tak. [Mirza Ghalib] ---------------------------------
Ishq Se Tabiyat Ne Zeest Ka Maza Paaya, Dard Ki Dawa se Psai, Dard-E- La-Dawa Paya. [Mirza Ghalib] ---------------------------------
Kahta Hai Kaun Naala-E- Bulbul Ko Be-Asar, Parde Mein Gali Ke Laakh Jigar Chaak Ho Gaye, [Mirza Ghalib] -------------------------

Bulbul Ke Kaarobaar Pe Hain Khandahaaye Gul, Kahte Hain Ishq Jis Ko Khalal Hai Dimaagh Ka. [Mirza Ghalib] ---------------------------------
Ishq Mein Jee Ko Sabr-O- Taab Kahaan Us Se Aankhen Lagin To Khwaab Kahaan [Mirza Ghalib] -------------------------------
Ham Koi Tark-E-Vafaa Karte Hain Na Sahi Ishq Museebat Hi Sahi Ishq Tujh Ko Nahin Wahshat Hi Sahi Meri Wahshat Teri Shohrat Hi Sahi [Mirza Ghalib] -------------------------------
Ishq Ne Pakda Na Tha ‘Ghalib’ Abhi Wahshat Ka Rang Rah Gaya Tha Dil Mein Jo Kuchh Zauq-E-Khwaari Haay-Haay [Mirza Ghalib] -------------------------------
Bedaad-E-Ishq Se Nahin Darta Magar 'Asad' Jis Dil Pe Naaz Tha Mujhe Woh Dil Nahin Raha [Mirza Ghalib] -------------------------------
Arz-E-Niyaaz-E-Ishq Ke Qaabil Nahin Raha Jis Dil Pe Naaz Tha Mujhe Woh Dil Nahin Raha [Mirza Ghalib] -------------------------------
Ik Lafz-E-Mohabbat Ka Itna Sa Fasana Hai, Simte To Dil-E-Aashiq, Phaile To Zamaana Hai. [Jigar Moradabai] ---------------------------------
Ishq Hai Peyaare, Khel Nahin Hai, Ishq Hai Kaare-Sheesha-O- Aahan. [Jigar Moradabai ---------------------------------
Un Ka Jo Aqeeda Hai Woh Ahl-E-Sayaasat Jaanen, Mera Paigham Mohabbat Hai, Jahan Tak Pahunche. [Jigar Moradabai] ---------------------------------
Ishq-E-La-Mahdood Jab Tak Rahnuma Hota Nahin, Zindagi Se Zindagi Ka Haq Adaa Hota Nahin. [Jigar Moradabai] ---------------------------------
Allah Allah, Yeh Kamaal-E- Irtabaat-E-Husn-O-Ishq, Faasle Hon Laakh, Dil Se Dil Juda Hota Nahin. [Jigar Moradabai] ---------------------------------
Ye Ishq Nahin Aasaan Bas Itna Samajh Leeje Ik Aag Ka Darya Hai, Aur Doob Ke Jaana Hai [Jigar Moradabadi] -------------------------------
Is Ishq Ke Haathon Se Hargiz Na Mafar Dekha Utni Hi Barhi Hasrat Jitna Hi Udhar Dekha [Jigar Moradabadi] -------------------------------
Ham Ishq Ke Maaron Ka Itanaa Hi Fasana Hai Rone Ko Nahin Koi Hansne Ko Zamaana Hai [Jigar Moradabadi] -------------------------------
Jab Tak Shabaab-E-Ishq Mukammal Shabaab Hai Paani Bhi Hai Sharaab, Hawa Bhi Sharaab Hai [Jigar Moradabadi] -------------------------------
Ishq Laa-Mahdood Jab Tak Rah-Numa Hota Nahin Zindagi Se Zindagi Ka Haq Ada Hota Nahin [Jigar Moradabadi] -------------------------------
Duniya Ki Fikr, Deen Ki Baaten, Khuda Ki Yaad, Sab Kuchh Bhula Diya Tere Do Din Ke Payaar Ne. [Akhtar Sheerani] ---------------------------------
Zauq-E-Naadeed Mein Lazzat To Hai Magar Naaz Nahin Aa Mere Ishq Ko Maghroor Bana De Aa Kar [Akhtar Shirani] -------------------------------
Ishq Hi Ishq Hai Duniya Meri Fitna-E-Aql Sey Bezaar Hoon Mein [Majaz] -------------------------------
Ye Mere Ishq Ki Majbooriyaan Ma’az-Allah Tumhara Raaz Tumhin Se Chupa Raha Hun Main [Majaz] -------------------------------
Uthen Ge Abhi Aur Bhi Toofaan Mere Dil Se Dekhoon Ga Abhi Ishq Ke Khwaab Aur Zyaada [Majaz] -------------------------------
Umr To Saari Kati Ishq-E- Butaan Mein, ‘Momin’, Aakhri Waqt Mein Kya Khaak Musalmaan Honge. [Momin] ---------------------------------
Mareez-E-Ishq Par Rahmat Khuda Ki Marz Barhta Gaya Joon-Joon Dawa Ki [Momin] -------------------------------
Maktab-E-Ishq Ka Dekha Yeh Nirala Dastoor Us Ko Chhutti Na Mili Jis Ne Sabaq Yaad Kiya [Momin] -------------------------------
Ibtedaa-E-Ishq Hai, Rota Hai Kya, Aage Aage Dekhiye Hota Hai Kya. [Mir Taqi Mir] ---------------------------------
Sakht Kafir Tha Jis Ne Pahle ‘Mir’, Mazhab-E-Ishq Ikhtiyaar Kiya [Mir Taqi Mir] ---------------------------------
Hoga Kaso Deewar Ke Saaya Mein Para ‘Meer’, Kya Kaam Mohabbat Se Us Aaraam Talab Ko. [Mir Taqi Mir] ---------------------------------
Kya Kahun Tum Se Main Ke Kya Hai Ishq, Jaan Ka Rog Hai, Bala Hai Ishq. [Mir Taqi Mir] ---------------------------------
Yeh Zard Zard Chehra, Yeh Laaghri Badan Mein, Kya Ishq Mein Hua Hai, Ai ‘Meer’ Haal Tera. [Mir Taqi Mir] ---------------------------------
Laga Na Dil Ko Kahin, Ke Suna Nahin Tu Ne Jo Kuchh Ke ‘Meer’ Ka Is Aashiqi Ne Haal Kiya. [Mir Taqi Mir] ---------------------------------
Ishq, ‘Meer’, Ek Bhaari Pathhar Hai, Kab Yeh Tujh Naa-Tawaan Se Uthta Hai. [Mir Taqi Mir] ---------------------------------
Mere Saleeqe Se Meri Nibhi Mohabbat Mein, Tamaam Umr Mein Naa- Kaamiyon Se Kaam Liya. [Mir Taqi Mir] ---------------------------------
Aawaargaan-E-Ishq Ka Poochha Jo Main Nishaan, Musht-E-Ghubaar Saba Ne Le Kar Udaa Diya. [Mir Taqi Mir] ---------------------------------
Har Chand Main Ne Shauq Ko Pinhaan Kiya, Wale, Ek Aadh Harf Payaar Ka, Munh Se Nikal Gaya. [Mir Taqi Mir] ---------------------------------
Jin Jin Ko Tha Yeh Ishq Ka Aazaar, Mar Gaye, Aksar Hamaare Saath Ke Beemaar Mar Gaye. [Mir Taqi Mir] -------------------------------
Kaun Maqsad Ko Ishq Bin Pahuncha Aarzoo Ishq Wa Mudda’a Hai Ishq [Mir Taqi Mir] -------------------------------
Aashiq Sa To Saada Koi Aur Na Hoga Duniya Mein Ji Ke Zyaan Ko Ishq Mein Us Ke Apna Waara Jaaney Hai [Mir Taqi Mir] -------------------------------
Ishq Hamaare Khayal Pada Hai, Khwaab Gaya, Aaraam Gaya Ji Ka Jaana Thahar Raha Hai, Subha Gaya, Ya Shaam Gaya [Mir Taqi Mir] -------------------------------
Kabho Wo Tawajja Idhar Kar Rahe Ga Hamein Ishq Hai To Asar Kar Rahe Ga [Mir Taqi Mir] -------------------------------
Aalam-Aalam Ishq Junoon Hai Duniya-Duniya Tohmat Hai Dariya-Dariya Rota Hoon Main Sahra-Sahra Vahshat Hai [Mir Taqi Mir] -------------------------------
Sakht Kafir Tha Jis Ne Pehlay Meer Mazhab-E-Ishq Ikhtiyaar Kiya [Mir Taqi Mir] -------------------------------
Mohabbat Tark Ki Main Ne, Garebaan See Liya Main Ne, Zamaane Khush Ho Ab To, Zahr Yeh Bhi Pee Liya Main Ne. [Sahir Ludhianvi] ---------------------------------
Dil-Ke Mu'aamle Mein Nateeje-Ki Fikr Kya? Aage Hai Ishq Jurm-O- Sazaa-Ke Maqaam Se. [Sahir Ludhianvi] ---------------------------------
Takht Kya Cheez Hai Aur Laal-O-Jawaahar Kya Hai Ishq Waale To Khudaayi Bhi Lutaa Detey Hain [Sahir Ludhianvi] ------------------------------
Zindagi Sirf Muhabbat Nahin Kuchh Aur Bhi Hai Zulf-O-Rukhsaar Ki Jannat Nahin Kuchh Aur Bhi Hai Bhookh Aur Pyaas Ki Maari Huyi Is Duniya Mein Ishq Hi Ek Haqeeqat Nahin Kuchh Aur Bhi Hai [Sahir Ludhianvi] -------------------------------
'Faraz' Hum-Bhi Ajab Bastiyon Mein Baste Hain, Kahaan Ka Ishq? , Rah-O- Rasm Ko Taraste Hain. [Ahmad Faraz] ---------------------------------
Ishq Tanha Hai Sir-E Manzil- E-Ghum Kaun Yeh Bojh Uthaane Aaye [Ahmad Faraz] -------------------------------
Pehley Pehal Ka Ishq Abhi Yaad Hai ‘Faraz’ Dil Khud Yeh Chaahta Tha Ke Ruswaaiyaan Bhi Hon [Ahmad Faraz] -------------------------------
Har Eik Ishq Ke Ba’d Aur Uss Ke Ishq Ke Ba’d ‘Faraz’ Itna Bhi Aasaan Na Tha Sambhal Jaana [Ahmad Faraz] -------------------------------
Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa Donon Insaan Hain To Kyon Itne Hijaabon Mein Milein [Ahmad Faraz] ------------------------------
- Ashiqi Be-Dili Se Mushkil Hai Phir Muhabbat Usi Se Mushkil Hai Ishq Asghaaz Hi Se Mushkil Hai Sabr Karna Abhi Se Mushkil Hai [Faiz Ahmad Faiz] ---------------------------------
Kaam Ishq Ke Aare Aataa Raha Aur Ishq Se Kaam Ulajhtaa Raha Phir Aakhir Tang Aa Kar Hum Ne Donon Ko Adhoora Chhor Diya [Faiz Ahmed Faiz] -------------------------------
Ishq Ki Darya-Dili Darkaar Hai Doobne Waale Ka Beda Paar Hai [Hashr Sahsarami] ---------------------------------
Aashiq Ki Bhi Katati Hain, Kya Khoob Tarah Raaten, Do-Chaar Ghari Rona, Do- Char Ghari Baaten. [Mirza Sauda] -------------------------------
Jab Ishq Sikhata Hai Aadaab -E-Khud-Aagaahi, Khulte Hain Ghulamon Par, Asraar-E-Shahanshahi. [Allama Iqbal] ---------------------------------
Mohabbat Se Shifa Paai Hai Beemaar Qaumon Ne, Kiya Hai Apne Bakht-E- Khufta Ko Bedaar Qaumon Ne. [Allama Iqbal] ---------------------------------
Mohabbat Ke Lieye Dil Dhoond Koi Tootne Wala, Yeh Woh Mai Hai Jise Rakhte Hain Naazuk Aab-Geenon Mein. [Allama Iqbal] ---------------------------------
Pukhta Hoti Hai Agar Maslahat-Andesh Ho Aql, Ishq Ho Maslahat-Andesh To Hai Khaam Abhi. [Allama Iqbal] ---------------------------------
Anokhi Waza’ Hai Saare Zamaane Se Niraale Hain, Yeh Aashiq Kaun Si Basti Ke Yaa-Rab Rahne Waale Hain. [Allama Iqbal] ---------------------------------
Bayabaan-E-Mohabbat Dasht-E-Ghurbat Bhi, Watan Bhi Hai, Yeh Weerana Qafas Bhi, Aashiyana Bhi, Chaman Bhi Hai. [Allama Iqbal] ---------------------------------
Terey Ishq Ki Intahaa Chaahta Hoon Meri Saadgi Dekh Kya Chaahta Hoon [Allama Iqbal] -------------------------------
Ishq Dam-E-Jibraeel, Ishq Dil-E-Mustafa Ishq Khuda Ka Rasool, Ishq Khuda Ka Kalaam [Allama Iqbal] -------------------------------
Ishq Bhi Ho Hijaab Mein Husn Bhi Ho Hijaab Mein Yaa Tu Khud Aashkaar Ho Yaa Mujh Ko Aashkaar Kar [Allama Iqbal] -------------------------------
Sitaaron Se Aage Jahaan Aur Bhi Hain Abhi Ishq Ke Imtihaan Aur Bhi Hain [Allama Iqbal] -------------------------------
Koh-Kan-O-Majnoon Ki Khaatir Dasht-O-Koh Mein Hum Na Gaye Ishq Mein Hum Ko ‘Meer’ Nehaayat Paas-E-Izzat Daaraan Hai [Allama Iqbal -------------------------------
Be-Khatar Kood Para Aatish- E-Namrood Mein Ishq Aqal Thi Mehv-E-Tamasha Lab-E-Baam Abhi [Allama Iqbal] -------------------------------
Nahin Ishq Mein Is Ka To Ranj Hamen Ke Qarar-O- Shakeb Zara Na Raha, Ghum-E-Ishq To Apna Rafeeq Raha, Koi Sur Bala Se Raha Na Raha. [Bahadurshah Zafar] ---------------------------------
Shaayad Isi Ka Naam Mohabbat Hai, ‘Shefta’ Ik Aag Hai Jo Seene Ke Andar Lagi Hui. [Shefta] ---------------------------------
Shughl Behtar Hai Ishq-Baazi Ka, Kya Haqeeqi Wa Kya Majaazi Ka. [Wali] ---------------------------------
Mohabbat Ko Samajhna Hai To Naseh Khud Mohabbat Kar, Kinaare Se Kabhi Andaaza- E-Toofaan Nahin Hota. [Wali] ---------------------------------
Ishq Ne Dil Mein Jagah Ki To Qaza Bhi Aai, Dard Duniya Mein Jab Aaya To Dawa Bhi Aai. [Fani Badayuni] ---------------------------------
Yeh Ishq Ne Dekha Hai, Yeh Aql Se Pinhaan Hai, Qatra Mein Samunder Hai, Zarra Mein Beyaabaan Hai. [Asghar Gondvi] ---------------------------------
‘Asghar’ Hareem-E-Ishq Mein Hasti Hi Jurm Hai, Rakhna Kabhi Na Paaon Yahaan Sar Lieye Huey [Asghar Gondvi] ---------------------------------
Hoti Nahin Dua Qabool Dard- E-Ishq Ki, Dil Chahta Na Ho To Zabaan Mein Asar Kahaan [Altaf Hussain Hali] ---------------------------------
Ik Umr Chahiye Ke Gavarah Ho Naish-E-Ishq Rakhi Hai Aaj Lazzat-E- Zakhm-E-Jigar Kahan [Altaf Hussain Hali] -------------------------------
Jo Rah-E-Ishq Mein Qadam Rakhkhen, Woh Nasheb-O-Faraaz Kya Jaanen. [Daagh Dehlvi] ---------------------------------
‘Daagh’ Tha Dard Tha Gham Tha Ke Alam Tha Kuch Tha Ley Liya Ishq Mein Jo Hum Ko Mayassar Aaya [Daagh Dehlvi] -------------------------------
Mu’amala Hai Aaj Husn-O- Ishq Ka Dekhiye Woh Kya Karen Ham Kya Karen [Daagh Dehlvi] -------------------------------
Khabr-E-Tahayyur-E-Ishq Sun, Na Janoon Raha, Na Pari Rahi, Na To Tu Raha, Na To Main Raha, Jo Rahi So Be-Khabri Rahi. [Siraj Aurangabadi] ---------------------------------
Woh Ajab Ghari Thi Jis Ghari Liya Dars Nuskha-E-Ishq Ka, Ke Kitab Aql Ki Taaq Mein, Jeon Dhari Thi Teon Hi Dhari Rahi. [Siraj Aurangabadi] ---------------------------------
Kuchh Aag Di Hawas Mein To Taameer-E-Ishq Ki, Jo Khaak Kar Diya Ise Irfaan Banaa Diya. [Asghar Gondvi] ---------------------------------
Main Kya Kahun Kahan Hai Mohabbat, Kahan Nahin, Rag Rag Mein Daudi Phirti Hai, Nashtar Lieye Huey [Asghar Gondvi] ---------------------------------
Sunte Hain Ishq Naam Ke Guzre Hain Ik Buzurg, Hum Log Bhi Faqeer Usi Silsile Ke Hain. [Firaq Gorakhpuri] ---------------------------------
Tarke-E-Mohabbat Karne Walo, Kaun Aisa Jag Jeet Liya, Ishq Se Pahle Ke Din Socho, Kaun Bada Sukh Hota Tha. [Firaq Gorakhpuri] ---------------------------------
Husn Parasti Paak Mohabbat Ban Jaati Hai, Jab Koi, Vasl Ki Jismaani Lazzat Se Roohaani Kaifiyat Le. [Firaq Gorakhpuri] ---------------------------------
Wohi Ishq Rahmat, Wohi Ishq Shaamat, Wohi Zinda Kar De, Wohi Maar Daale. [Firaq Gorakhpuri] ---------------------------------
Hayat-E-Be-Mohabbat Sar- Ba-Sar-Maut, Mohabbat Zindagi Ka Doosra Naam [Firaq Gorakhpuri] ---------------------------------
Khuloos-E-Dil Se Pukaare Jo Ek Baar Mujhe, Us Aadmi Ka Abhi Tak Hai Intezaar Mujhe. [Firaq Gorakhpuri] ---------------------------------
Hazaar Baar Zamana Idhar Se Guzra Hai, Nai Nai Si Hai Teri Rah-Guzar Phir Bhi. [Firaq Gorakhpuri] ---------------------------------
Mohabbat Mein Meri Tanhaaiyon Ke Hain Kai Unwaan, Tera Aanaa, Tera Milnaa, Tera Uthnaa, Tera Jaanaa. [Firaq Gorakhpuri] ---------------------------------
Too Ishq Hi Ki Pashemaaniyon Ko Rotaa Hai Tujhe Khabar Hi Nahin Husn Bhi To Pachhtaaya [Firaq Gorakhpuri] -------------------------------
Nashaat-E-Ishq Ke Khulte Hi Bhed, Aankh Bhar Aayi Abhi To Hanste They, Yeh Haal Kyon Achaanak Hai [Firaq Gorakhpuri] -------------------------------
Yaksar Jahaan-E-Husn Bhi Badla Hua Sa Hai Duniya-E-Ishq Aur Nazar Aa Rahi Hai Aaj [Firaq Gorakhpuri] -------------------------------
Agar Bakhshe Zahe-Rahmat, Na Bakhshe To Shikayat Kya, Sar-E-Tasleem Kham Hai Jo Mizaaj-E-Yaar Mein Aaey. [Aatish] ---------------------------------
Apne Milne Se Mana Mat Kar Is Mein Be-Ikhtiar Hain Hum Bhi. [Meer Dard] ---------------------------------
Aashiqi Qaid-E-Shareeyat Mein Jab Aa Jaati Hai, Jalwa-E-Kasrat-E-Aulaad Dikha Jaati Hai. [Akbar Allahabadi] ---------------------------------
Azeeyat, Museebat, Malaamat, Balaayen, Tere Ishq Mein Hum Ne Kya Na Dekha! [Meer Dard] ---------------------------------
Sab Khoon-E-Dil Tapak Hi Gaya Boond-Boond Kar Ai ‘Dard’ Bas Ke Ishq Se Main Tha Shikast-E-Dil [Meer Dard] -------------------------------
Tum Mere Paas Hote Ho Goya, Jab Koi Doosra Nahin Hota. [Momin] ---------------------------------
Ishq-Baazi Ki Tamnna Agar Rakhta Hai ‘Ameer‘ Dil Agar Ek Diya Hai, Laakh Jigar Paida Kar [Ameer Minaai] -------------------------------
Jise Ishq Ka Teer Kaari Lage, Usey Zindagi Kyon Na Bhaari Lage. [Wali] ---------------------------------
Main Rah-E-Ishq Ka Tanha Musaafir Kise Aawaaz Doon, Koi Nahin Hai [Shamim Jaipuri] -------------------------------
Kyon Hijr Ke Shikwe Karta Hai, Kyon Dard Ke Rone Rota Hai Ab Ishq Kiya Hai To Sabr Bhi Kar Is Mein To Yahi Kuchh Hota Hai [Hafeez Jalandhri] -------------------------------
Tere Ladne Pe Khula Mujh Pe Tere Ishq Ka Haal Tujhe Itni Thi Muhabbat Mujhe Maloom Na Tha [Munavvar Lukhnavi] -------------------------------
Waaqif Hai Josh-E-Ishq Se Apne Tamaam Shahar Aur Hum Yeh Jaante Hain, Koi Jaantaa Nahin [Josh Malihabadi] -------------------------------
Waqt Na Dekhe Umr Na Dekhe Jab Chaahe Majaboor Kare Maut Aur Ishq Ke Aage To Koi Chale Na Bahaana Ji [Ganesh Bihari Tarz] -------------------------------
Ishq Se Ghabara Rahi Hai Un Ki Yaad Rukte Rukte Aa Rahi Hai Un Ki Yaad [Shakeel Badayuni] -------------------------------
Gham-E-Aashiqi Sey Kah Do Rah-E-Aam Tak Na Pahunche Mujhe Khauf Hai Yeh Tohmat Mere Naam Tak Na Pahunche [Shakeel Badayuni] -------------------------------
Mere Hum-Nafas, Mere Huam-Navaa, Mujhe Dost Ban Ke Dagha Na De Main Hoon Dard-E-Ishq Se Jaan-Balab, Mujhe Zindagi Ki Duaa Na De [Shakeel Badayuni] -------------------------------
Jahaan-E-Ishq Mein Sohani Kahin Dikhaai De Ham Apni Aankh Mein Kitne Chenaab Rakhte Hain [Hasrat Jaipuri] -------------------------------
Aql Ayyaar Hai Sau Bhes Badal Leti Hai Ishq Bechara Na Soofi Hai Na Mulla Na Imaam [Aarzoo Lackhnavi] -------------------------------
Ai Hazrat-E-Dil Ishq Mein Gham Bhi Hain Sitam Bhi Aakhir Isé Sahiyé Usé Sahiyé Kisé Sahiyé [Nooh Naarvi] -------------------------------
Go Ishq Bahot Mushklil Tha Magar Aasaan Na Tha Yun Jeena Bhi Iss Ishq Ne Zinda Rehne Ka Mujhey Dars Diya Pindaar Diya [Ubaid Ullah Aleem] -------------------------------
Chalne Ka Hausla Nahin Rukna Muhaal Kar Diya Ishq Ke Is Safar Ne To Mujh Ko Nidhaal Kar Diya [Parveen Shakir] ------------------------------
- Maut Ka Khauf Ho Kya Ishq Ke Deewaane Ko Maut Khud Kaanpti Hai Ishq Ke Deewaane Se [Sahir Hoshiarpuri] -------------------------------
Jab Sooraj Bhi Kho Jaaye Ga Aur Chaand Kahin So Jaaye Ga Tum Bhi Ghar Der Se Aao Ge Jab Ishq Tumhen Ho Jaaye Ga [Saeed Rahi] -------------------------------
Dekhnaa Bhi To Unhen Door Se Dekha Karna Sheva-E-Ishq Nahin Husn Ko Rusavaa Karna [Hasrat Mohani] -------------------------------
Daulat-E-Dil Bhi Gayi Jaan Bhi Hai Mushkil Mein Kya Yahi Ishq Mein Inaam-E- Wfaa Hota Hai [Abdullah Nazir] -----------------------------
-- Iss Shahar Mein Aainda Na Dekhen Ge Wo Hum Ko Kya Kya Na Kiya Ishq Mein, Kya Kya Na Karen Ge [Ibne Insha] -------------------------------
Dil Ishq Mein Be-Paayaan Sauda Ho To Aisa Ho Darya Ho To Aisa Ho, Sahra Ho To Aisa Ho [Ibne Insha] ------------------------------
- Hai Husn-O-Ishq Ki Fitrat Mein Farq Bas Itna Woh Hans Rahe Hain Hum Aansoo Bahaaye Jaate Hain [Ehsaan Danish] -------------------------------
Ishq Nahin Jo Zeest Ko Daulat-E-Aagahi Na De Mehr Nahin Jo Khaak Ko Khila’t-E-Raushni Na De [Zakia Sultana] ---------------------------------
Kya Kahoon Tum Se Main Ke Kya Hai Ishq Jaan Ka Rog Hai, Balaa Hai Ishq Ishq Hi Ishq Hai Jahaan Dekho Saare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq Ishq Ma’shooq, Ishq Aashiq Hai Ya’ni Apna Hi Mubtala Hai Ishq Ishq Hai Tarz-O-Taur Ishq Ke Tayin Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq Kaun Maqsad Ko Ishq Bin Pahuncha Aarzoo Ishq Waa Mudda’a Hai Ishq Koi Khwaahaan Nahin Mohabbat Ka Too Kahe Jins-E-Naarawaa Hai Ishq ‘Meerji’ Zard Hote Jaate Hain Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq [Mir Taqi Mir] -------------------------------
Ishq Baqaa-E-Rooh Hai, Ishq Ghizaa-E-Rooh Hai Yeh Jo Nahin To Dahar Mein, Lutf-E-Hayaat Hi Nahin -------------------------------
Ishq Aawaara Kahan Qaid Dar-O-Baam Kahan Be-Nawaaon Ke Liye Saaya- E-Deewaar Bahot -------------------------------
Ishq Ruswaa Terey Har Zakhm-E-Farozaan Ki Qasam Merey Seeney Mein Kayi Harey Aur Bhi Hain -------------------------------
Ishq Ka Ek Jast Ne Tai Kar Diya Qissa Tamaam Is Zameen-O-Aasmaan Ko Be-Karaan Samjha Tha Main -------------------------------
Ishq Ka Jurm Sahel Kaam Nahin Ke Har Ek Laayaq-E-Saza Thahrey -------------------------------
Ishq Ka Khel Bhi Hai Doosrey Khelon Jaisa Maat Ka Jin Mein Nahin Hausla Kheley Kyon Hai -------------------------------
Ishq Karta Hai To Phir Ishq Ki Tauheen Na Kar Yaa To Behosh Na Ho, Ho To Phir Hosh Mein Na Aa ------------------------------
- Ishq Karne Ke Siwa Hum Ne Kiya Hi Kya Hai Baais-E-Fakhr Hai Jo Wajh-E- Pareshaani Hai -------------------------------
Ishq Ko Poochhta Nahin Koi Husn Ka Ehteraam Hota Hai -------------------------------
Ishq Ko Jurm Samajhtey Hain Zamaane Waale Jo Yahan Pyar Kare Ga Who Saza Paaye Ga -------------------------------
Ishq Ko Husn Sey Khali Na Samjho Naala-E-Ahl-E-Wafa Ghaur Sey Sun -------------------------------
Ishq Ki Chot To Lagti Hai Hare Ke Dil Par Zarf Ke Farq Sey Awaaz Badal Jaati Hai -------------------------------
Ishq Mein Jis Key Yeh Ahwaal Bana Rakha Hai Ab Wahi Kahta Hai Is Waza’a Mein Kya Rakha Hai ------------------------------
- Ishq Mein Zaat Kya Anaa Kaisi In Muqaamaat Sey Guzar Jaao -------------------------------
Ishq Mein Sar Phorna Bhi Kya Key Yeh Be-Mehr Log Joo-E-Khoon Ko Naam Dey Detey Hain Joo-E-Sher Ka -------------------------------
Ishq Mein Manzil-E-Aaraam Bhi Thi Hum Sar Kooch-E-Wahshat Thahrey -------------------------------
Ishq Ne Seekh Hi Li Waqt Ki Taqseem Ke Ab Who Mujhe Yaad To Aata Hai Magar Kaam Ke Baad -------------------------------
Ishq Who Arsa-E-Pur-Khaar Hai Humdum Ke Jahaan Zindagi Raas Na Aaye To Qaza Bhi Na Mile -------------------------------
Yeh Raaz-E-Ishq Chhupaane Se Chhup Nahin Sakta Zabaan Jo Kah Na Saki Aankh Se Ayaan Bhi To Hai -------------------------------
Woh Shokh To Masroof-E- Muhabbat Tha Kahin Aur Ham Ishq Jo Karte Bhi To Bekaar Hi Karte ------------------------------
- Ila Ya Ayyuhas Saaqi Asa Kaasa Wa Navil Ha Ke Ishq Aasaan Namood Awwal Valey Uftaad Mushkil Ha      [Hafiz Shirazi] -------------------------------

Share:

Musalmano ke Bich Aapasi Rahem Dili Aur Mohabbat Ka Misal Kaisa Hai?

Ek Musalman Dusre Musalman Se Aapas Me Kaise Mohabbat Se Rahte Hai,Ek Dusre Ke sath Rahem Dili Ka Misal Kaisa Hai?

ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

‏‏‏‏حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ نُمَيْرٍ حَدَّثَنَا أَبِي حَدَّثَنَا زَكَرِيَّاءُ عَنْ الشَّعْبِيِّ عَنْ النُّعْمَانِ بْنِ بَشِيرٍ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مَثَلُ الْمُؤْمِنِينَ فِي تَوَادِّهِمْ وَتَرَاحُمِهِمْ وَتَعَاطُفِهِمْ مَثَلُ الْجَسَدِ إِذَا اشْتَكَى مِنْهُ عُضْوٌ تَدَاعَى لَهُ سَائِرُ الْجَسَدِ بِالسَّهَرِ وَالْحُمَّى
 Rasool Allah ﷺ ne farmaya: Musalmano ki ek dosray se mohabbat, ek dosray ke sath reham dili aur aik dosray ki taraf iltifaat o taawun(pyar aur madad) ki misaal ek jism ki tarah hai, jab is ke ek hisse ko takleef hoti hai to baqi ja sara jism bechaini aur bukhar ke zariye se (sab aaza ko aik dosray ke sath mila kar) iss ka sath deta hai.
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: مسلمانوں کی ایک دوسرے سے محبت، ایک دوسرے کے ساتھ رحم دلی اور ایک دوسرے کی طرف التفات و تعاون کی مثال ایک جسم کی طرح ہے، جب اس کے ایک عضو کو تکلیف ہوتی ہے تو باقی سارا جسم بیداری اور بخار کے ذریعے سے (سب اعضاء کو ایک دوسرے کے ساتھ ملا کر) اس کا ساتھ دیتا ہے۔
 Allah's Messenger ﷺ said: The similitude of believers in regard to mutual love, affection, fellow-feeling is that of one body; when any limb of it aches, the whole body aches, because of sleeplessness and fever.
  wazahat: iss se irshad Mubarak se Musalmano ke bahami jod wa talluk, Mohabbat wa bhai chargi, reham dili aur shafqat aur Meharbani ke haqayiq Maloom hote hain. lekin ba-hesiyat majmuye ek jism se tashbi di gayi hai aur is ke zareye se wazeh farmaya gaya ke jis tarha badan ka ek hissa bimaar ho jaye to saare jism par iska asar parta hai, deegar azaye badan bhi bemari ke iss asar ko qubool karte hue Bachaini aur be araami mehsoos karne lagte hain, qaum Muslim ka yeh hi haal hai agar koi ek Musalman takleef mein Mubtela ho jaye to puri Qaum (Ummat-E-Mulema) is ka dard Mehsoos karti hai, yeh dar haqeeqat unke aapsi reham wa hamdardi, aapsi Mohabbat aur Meharbani ka laazmi aur fitri nateeja hai.
Share:

Insaan jisse Mohabbat Karta Hai Qyamat ke Din O Uske Sath Hoga.

 Jo Jisse Mohabbat KArta Hai wo Qyamat Ke Din Usi Ke Sath Uthaya Jayega.

Hazrat Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya , "Insaan (Qayamat ke din) uskey Saath rahega jis sey wo Mohabbat karta hai".
 Sahih Bukhari, Vol7 ,6168
 Hazrat Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek dehaati Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke pass aaya aur kaha ki Qayamat kab aayegi To Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya,"Afsos ! tumney us Qayamat ke liye kya tayyyari ki hai"?*
*Usney kaha Mainey uskey liye to koi Tayyari nahi ki hai lekin Main Allah aur*
*uskey Rasool se Mohabbat rakhta hun".*
*To Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya,"phir Tum Qayamat ke din unkey saath rahogey jin se Mohabbat kartey ho".
Sahih Bukhari, Vol7 , 6167
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
  JazakAllah  Khaira Kaseera
   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Share:

Tum Log Ek Dusre ko Tohfa Diya karo Ek Dusre se Muhabbat karne Lagoge.

Aapas Me Mohabbat KArene KA JAriya

حَدَّثَنَا عَمْرُو بْنُ خَالِدٍ، قَالَ‏:‏ حَدَّثَنَا ضِمَامُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ قَالَ‏:‏ سَمِعْتُ مُوسَى بْنَ وَرْدَانَ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ‏:‏ تَهَادُوا تَحَابُّوا‏.‏

Nabi kareem ﷺ ne farmaya: tum log ek dosray ko tohfa diya karo, ek dosray se muhabbat karne lagoge.
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، ”تم لوگ ایک دوسرے کو تحفہ دیا کرو، ایک دوسرے سے محبت کرنے لگوگے" ۔
Allah's Apostle ﷺ said, "Give gifts and you will love one another."
 *wazahat:* tohfa dene se mohabbat paida hoti hai aur bhai chaargi mehfooz rehti hai, is hadees mein do ahem nukton ki janib ishara kiya gaya hai ek to yeh ke tohfe ke zariye aapas mein mohabbat paida hoti hai aur dosre dosti mohakam aur mazboot hoti hai, tohfa dilon se kinay ko duur karta hai aur aapas mein mohabbat ko paida karta hai aur usay mazboot karta hai, jab tohfa dene ki itni saari barkaten hain to hum sab ko chahiye ke hum is naik sunnat ko aam karen taake hamare dilon se keena duur ho aur aapas mein pyar aur mohabbat paida ho jo barqarar rahe.
 _*Al adab Al mufrad: kitab Al adab 30, hadith no. 594
*Grade: Sahih
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
Share:

Muhabbat ke liye Nikaah jaisi koi Chij Nahi.

ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
‏‏‏‏ حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ يَحْيَى، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا سَعِيدُ بْنُ سُلَيْمَانَ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ مُسْلِمٍ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا إِبْرَاهِيمُ بْنُ مَيْسَرَةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ طَاوُسٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏  لَمْ نَرَ لِلْمُتَحَابَّيْنِ مِثْلَ النِّكَاحِ .
रसूल अल्लाह ﷺ ने फरमाया: दो शख्स के दरमयान मुहब्बत के लिए निकाह जैसी कोई चीज़ नहीं देखी गई।
 Rasool Allah ﷺ ne farmaya: do shakhs ke darmiyan mohabbat ke liye nikah jaisi koi cheez nahi dekhi gayi.
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: دو شخص کے درمیان محبت کے لیے نکاح جیسی کوئی چیز نہیں دیکھی گئی ۔
Allah's Messenger ﷺ said: “There is nothing like marriage, for two who love one another.”
 *wazahat:* asal mein mohabbat naam hai achhe amal ke majmoye ka jo ek shakhs apne mehboob ke liye karta hai jiske natije mein mehboob ke dil mein bhi iske liye mohabbat paida hoti hai. dono miya biwi ko chahiye ke ek dosre ke sath pyar mohabbat jataye, biwi un kamon ki justuju kare jo iska shohar pasand karta hai khana pina, zahir waze qata, chaal dhaal waghera mein uski pasand ko tarjeeh de bashart e ke aisa karne mein Allah ki nafarmani na ho rahi ho, aur thore arsay mein usay koi aisa surprise tohfe ki shakal mein de jo iske liye khushi wa musarrat ka baais bane.
Ek moqam pe Allah swt ne Quran mein farmaya _*"Aur uss ki nishaniyon mein se hai ke tumhari hi jins se biwiyan peda ki takay tum inn se aaram pao uss ney tumharay darmiyan mohabbat aur humdardi qaeem kardi yaqeenan ghor-o-fiker kerney walon kay liye iss mein boht si nishaniyan hain."*_ [ Quran 30:21].
 _*Sunan ibne majah: jild 3, kitab Al nikah 9, hadith no. 1847*_
*Grade sahih*
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
Share:

Ahl-E-Bait Se Mohabbat. (Khulasa-E-Dars)

Ahl-e-Bait se mohabbat (khulasa-e-dars) 

By: Shaikh Abu Kaleem Faizi Hafizahullah
Romanised By: Umar Asari

 Hazrat Zaid bin Arqam Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke ek din Rasoolullah ﷺ hamein Makkah aur Madinah ke darmiyaan Khum naami ek chashme par khutbah dene khade huwe, sab se pehle Aap ne Allah ﷻ ki hamd-o-sana bayan ki aur wa’z-o-naseehat ki phir farmaaya: Amma Ba’d! Suno aye logon! Main bhi ek bashar (insaan) hun, qareeb hai ke mere Rabb ka qaasid [Malak-ul-Maut] mere paas aaye aur main us ki da’wat qabool kar lun [yani meri wafaat ho jaaye] main tumhaare paas do bhaari cheezein [nihayat azeem aur ahem cheezein] chhod raha hun, un mein se pehli cheez kitaab-e-ilaahi hai jis mein hidaayat aur roshni hai, is liye tum Allah ﷻ ki kitaab ko lo aur use mazbooti se thaam lo, chunanche Aap ﷺ ne Allah ki kitaab ki targheeb di aur us ke mutabiq amal par ubhaara, phir farmaaya: [Doosri azeem cheez] mere Ahl-e-Bait hain, main tumhein Ahl-e-Bait ke baare mein Allah ﷻ ki yaad dihaani karaata hun, main tumhein apne Ahl-e-Bait ke baare mein Allah ﷻ ki yaad dihaani karaata hun, main tumhein apne Ahl-e-Bait ke baare mein Allah ﷻ ki yaad dihaani karaata hun.
*{Sahih Muslim: 2408, Musnad Ahmad: 19265}*
*⁕Tashreeh:⁕* Nabi-e-Kareem ﷺ Hajjat-ul-Wadaa’ se waapas ho rahe the ke Rabigh ke paas Khum naami ek chashme par qiyaam farmaaya, choonki Arafah ke maidaan mein yeh Aayat naazil ho chuki thi “Aaj main ne tumhare liye deen ko kaamil kar diya aur tum par apna in’aam bharpoor kar diya aur tumhare liye Islam ke deen hone par razamand ho gaya” Is liye Aap ﷺ ko mehsoos huwa ke ab Aap ki maut qareeb hai aur bahut mumkin hai ke jald hi Allah ﷻ ki taraf se bulaawa aa jaaye aur main is duniya se rukhsat ho jaaun, is liye Sahaba-e-Kiraam ke us azeem ijtimaa’ ko ghanimat samjhte huwe unhein chand naseehati kalmaat se nawaaza, *min-jumla (kul mila kar) un naseehati kalmaat ki do ahem baatein is Hadees mein bayan hui hain.*
*➊ Kitaab-e-ilaahi ka ihtimaam:*
Aap ﷺ ne Sahaba-e-Kiraam ko pehle to is kitaab ki ahmiyat batlaayi ke yeh kitaab saraapa hidaayat aur roshni hai, jis tarah agar koyi shakhs saaf aur seedhe raaste par chal raha hai aur use kaafi roshni bhi mil rahi hai to woh na bhatkega aur na hi thokar khaayega, isi tarah kitaab-e-ilaahi ko apne liye hidaayat ki kitaab samajhne waala aur use mash’al-e-raah bana kar amali maidaan mein utarne waala shakhs kabhi bhi gumraah na hoga isi liye Aap ﷺ ne is kitaab ko mazbooti se thaame rahne aur us se jude rehne ka hukm diya aur us ke mutabiq amal karne par ubhaara. 
*➋ Ahl-e-Bait ki ri’aayat:*
Choonki Aap ﷺ apne peeche ilmi meeraas ke alawah koyi maaddi meeraas chhod kar nahi jaa rahe the aur Aap ke peeche Aap ke ahl-o-ayaal ka ek bada silsila tha is liye un ke huqooq ke baare mein bhi Sahaba ko mutanabbeh kiya ke un ke huqooq ka khusoosi khayaal rakhna, un ka ehtraam karna, un se mohabbat rakhna, un ki achchi ri’aayat karna aur har woh cheez jis se unhein takleef ho us se bachna.
Aap ﷺ ki isi naseehat par amal karte huwe Hazrat Abu Bakr Radhiallahu Anhu ne bhi farmaaya tha “Us zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai mere nazdeek Allah ke Rasool ﷺ ke ahl-e-qarabat ke saath husn-e-sulook karna mere apne ahl-e-qarabat ke saath husn-e-sulook se ziyadah mehboob hai.”
*{Sahih-ul-Bukhari: 3712}*
Is Hadees mein Quran-e-Kareem aur Ahl-e-Bait ko “Thaqalain” yani do bhaari cheezon se ta’beer kiya gaya hai jis ka matlab hai ke un par amal karna, un ke huqooq ka paas-o-lihaaz rakhna aur un ke baare mein sahih hadd par baaqi rehna bhaari aur mushkil kaam hai, jaisa ke aaj is ka mushaahadah hai ke Quran-e-Kareem aur Ahl-e-Bait ke baare mein log ifraat-o-tafreet aur ghulu ke shikaar hain.
Wazeh rahe ke is Hadees mein Ahl-e-Bait se muraad us mafhoom se bahut aam hai jo shia hazraat lete hain aur Ahl-e-Sunnat Wal-Jama’at ke nazdeek un ke huqooq ki ri’aayat ka mafhoom bhi shia hazraat ke mafhoom se mukhtalif hai chunanche Ahl-e-Tashayyu’ Ahl-e-Bait se muraad sirf aulaad-e-Fatima ko lete hain jab ke Ahl-e-Sunnat Wal-Jama’at ke nazdeek Ahl-e-Bait mein pehla darja azwaaj-e-mutahharaat ko haasil hai aur Quraish ke khaandaan ka har woh fard daakhil hai jis par sadqa haraam hai jaisa ke is Hadees ke aakhir mein is ki saraahat maujood hai ke Rawi-e-Hadees Hazrat Hussain ne Hazrat Zaid bin Arqam Radhiallahu Anhu se sawaal kiya ke Aap ke Ahl-e-Bait kaun hain? Kya Aap ki azwaaj-e-mutahharaat aap ke Ahl-e-Bait mein se nahi hain? Hazrat Zaid Radhiallahu Anhu ne jawaab diya yaqeenan Aap ﷺ ki biwiyaan aap ke Ahl-e-Bait mein se hain, lekin yahan is se muraad Aap ke woh Ahl-e-Bait hain jin par Aap ke baad sadqa haraam hai, jaise Aal-e-Ali, Aal-e-Aqeel, Aal-e-Ja’far aur Aal-e-Abbas.
Isi tarah un ke huqooq ki ri’aayat ka yeh matlab nahi hai ke unhein ma’soom maana jaaye, un ki shaan mein ifraat-o-ghulu se kaam liya jaaye jaisa ke Ahl-e-Tashayyu’ ka rawayyah hai balki un ke saare deen ki bunyaad hi ifraat-o-ghulu aur Aimaa-e-Ahl-e-Bait ki ma’soomiyat par hai halaanki Ahl-e-Bait se mohabbat-o-ta’zeem ka matlab un ki seerat-o-kirdaar ke roshan nuqoosh ko apnaana aur un ki saalihiyyat aur taqwa-e-ilaahi ki wajah se un ki mohabbat-o-azmat ko apne dil main rakhna, un ki ta’zeem karna hai balki taqreeban woh saare kaam hain jo Nabi-e-Kareem ﷺ ki ta’zeem-o-takreem mein daakhil hain, jaisa ke Hazrat Abu Bakr Radhiallahu Anhu ne farmaaya: Tum log Muhammed ﷺ ka un ke Ahl-e-Bait ke baare mein khayaal rakho.
*{Sahih-ul-Bukhari: 3751}*
*⁕Fawaid:⁕* Allah ke Rasool ﷺ bhi ek insaan hain, aur tamaam insaanon ki tarah Aap par bhi maut aayi hai.
Quran-e-Majeed ke saath tamassuk (means Quran ko mazbooti se pakadna) hi gumraahi se najaat hai.
Ahl-e-Bait ke baare mein Ahl-e-Sunnat Wal-Jama’at ka tasawwur Ahl-e-Tashayyu’ se mukhtalif hai.
Nabi-e-Kareem ﷺ ki azwaaj-e-mutahharaat ki tauheen Nabi ﷺ ki mohabbat ke mukhalif hai.

Please Share with Our Muslims Brother and Sister.

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS