find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Allah ki khatir Mohabbat karne ke fawaid. (Part 2 last)

ALLAH KI KHATIR MOHABBAT KARNE KE FAWAID

Transliteration by:Bint e Iqbal
           Part-2 (Last)
 Ambiyah aur shohda unke rutbe ki tareef karenge:
Ameer- ul - Mumineen Umar faruq Razi Allahu  anhu ka farmaan hai ke Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne irshad farmaya" Beshak Allah ke bandon mein kuch aise log bhi honge, jo ambiyah mein se nahi aur na hi shaheedon mein se honge lekin qayamat wale din Allah ke paas unki rutbe ki ambiyah aur shaheed bhi tareef karenge.
Sahaba RaziAllahu anhu ajmaeen ne arz kiya " Ai Allah ke Rasool hamein bataiye ke woh log kaun hain ❓
to irshad farmaya "woh ( sirf ) Allah ki khatir mohabbat karne wale log honge, ( kyunke ) unke darmiyan na to ( imaan ke ilawa ) koi rishtedaari hogi aur na hi koi maal lene dene ka muaamla, pas Allah ki qasam unke chehre roshni hi roshni honge aur woh roshni par honge, jab ( qayamat wale din ) log dar rahe honge aur ghamzada honge to woh nahi darenge, aur na hi ghamzada honge aur phir Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne yeh aayat mubarikah tilawat farmaee  "Beshak Allah ke waliyon ( doston ) par na koi dar hoga aur na hi woh ghamzada honge.
Sunan Abu dawood  hadees 3527
______________________________ Qayamat wale din Allah ke arsh ka saaya pane ka asbaab hai : 
Abu Hurairah RaziAllahu anhu ne farmaya ke, Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne irshad farmaya : Beshak qayamat wale din Allah kahega ke mere jalal ki wajah ( ek doosre se ) mohabbat karne wale ( imaan wale ) kahan hain❓aaj, iss din mein jab ke mere ( arsh ke ) saaye ke ilawa koi aur saaya nahi, mein inhen apne ( arsh ) ke saaye mein jagah dunga.
Sahih Muslim hadees 2566
Abu Hurairah RaziAllahu anhu ki rivayat kardah saat qism ke logon ko arsh ke saaye mein jagah milne wali hadees mein hai ke " jis din Allah ke ( arsh ke ) saaye ke ilawa koi saya na hoga usdin Allah saat logon ko apne ( arsh ke ) saaye mein jagah dega ( 1 ) insaaf karne wala hukmaran, aur ( 2 ) woh naujawan jo Allah ki ibadat mein mashgool rehte hue bada ho, aur ( 3 ) woh shakhs jiss ka dil masjidon mein hi laga rahe, aur ( 4 ) woh do shakhs jo sirf Allah ke liye mohabbat karte hon isi mohabbat mein woh milte hon aur isi mohabbat mein woh Alag hote hon, aur ( 5) woh shakhs jِise kisi rutbey aur husn wali aurat ne ( buraiee ke liye ) dawat di ho aur woh shakhs ( uss aurat ki dawat thukrate hue ) kahe, "mein Allah se darta hun" , aur ( 6 ) woh shakhs jo is qadar chupaa kar sadqa karta ho ke uss ke baayein haath ko bhi pata na ho ke uske daayen haath ne kya sadqa kiya hai, aur ( 7 ) woh shakhs jiss ne tanhai mein Allah ko yaad kiya aur uski aankhon se ansoo rawan ho gaye.
Sahih Bukhari hadees 6806
Sahih Muslim, hadees 1031

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS