find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Salatul Tasbeeh Kya hai? Salatul Tasbeeh Ki Namaj Padhne Ki Fazilat.

Salatul Tasbeeh Kaise Padhe Iske Padhne Ki fazilat.

SalaTul Tasbeeh Ye Namaz Zindagi me Ek Baar To Zarur Padhe Agle Pichle Chote Bade Sab Gunah Muaf Ho Jayenge in shaa Allah
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم
Hazrat Ibn Abbas Razi  Allahu Anhuma se rivayat hai ki
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hazrat Abbas se farmaya
Mere chacha kya main aapko ek atiya na karu ? kya Ek hadiya na du ? kya ek Tohfa pesh na karu ?
kya main aapko aisa amal na bataun ki jab aap isko karenge to aapko 10 fayde hasil honge
Yani Allah ta"ala aapke Agle , pichle , purane , naye, galti se kiye huve , jaan bujh kar kiye huve, chote, bade, chup kar kiye huve aur khullam khullah kiye huve sab gunaah maaf farma denge.
Wo Amal ye hain ki Aap 4 rakaat "Salatul Tasbeeh" padhe aur har rakaat me surah fatiha aur dusri koi surat padhe jab aap pahli Rakaat me Qirat se farig ho jaye to rukun se pahle 15 baar ye pad le
سبحان الله والحمد لله ولا اله الا الله والله أكب
Subhnallahi Walhamdulillahi Wa la ilaha illallahu wallahu Akbar
Phir ruku kare aur ruku me bhi yahi kalmaat 10 baar padhe
Phir ruku se uth kar qoma me bhi 10 baar yahi kalmaat padhe
Phir sazde me jaye aur 10 baar yahi kalmat padhe Phir sazde me uth kar jalse me 10 baar yahi kalmaat kahe.
Phir dusre sazde me bhi yahi kalmaat 10 martaba kahe Phir dusre sazde ke baad bhi khade hone se pahle 10 martaba yahi kalmaat kahe
Charon rakaat isi tarah padhe aur is tarah se har rakaat me ye kalmaat 75 "15+10+10+10+10+10+10" baar kahe
Mere chacha Agar aapse ho sake to rozana ye namaz ek martaba padha kare ,Agar rozana na pad sako to Juma ke din pad liya karo
Agar aap ye bhi na kar sako to Mahine me ek baar pad liye karo
Agar aap ye bhi na kar sako to Saal me ek baar pad liye karo
Agar ye bhi na ho sake to zindagi me ek baar padh liya karo
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1284 - Sahih,
Sunan Ibn majha - Vol 1 , 1387 - Hasan,
Arabic English text: (Sahi Sanad )
Tehqeeq:
Is Hadees ki sanad ka Tehqeeqi Jayeza
Sunan Abu Daood jild-1 safa-184 kitab al salat hadees no-1105,1297,
Jamai Tirmizi jild-1 safa-63 kitab Al salat hadees no-443,479,
Sunan Ibn Maza jild-1 safa-100 kitab Ikamat Al salat hadees no-1387,1386,1376,3177 "ASanad sahi"
Is Hadees ko “Sahii” Kehne wale  Muhaddaseen hai
1 . Abu Dawood,,
2  .Ibne Hajr Asqlani (Anukat vol.2 pg.848-850,
3  Al-Aajari,
4  As-Sum’aani,
5. al-Madini,
6. al-Mundthiri,
7. Abul-Hasan al-Mundthiri,
8. Ibn As-Salaah,
9. Ad-Dailami,
10. Al-Haakim,
11. Al-A’laali,
12. Az-Zurkashi,
13.Al-Muhaamili,
14. Abul-Hasan al-Muqdasi,
15. al-Juwaini,
16. Al-Baghawi,
17. Ar-Ra’fiee’,
18. Al-Haitami,
19. As-Su’youti,20. Al-Luknawwi,
Aaj ke dour ke Bade Muhaddaseen ne bhi is Hadees ko “Hasan” kaha
1. Muhaddase Shiek Nasruddin Albani ne is hadees ko Hasan kaha "sahih al taghrib wa tarhib"
2. Muhaddis SHAKIR ne bhi is hadees ko sahii kaha,
3. SHEIK MUBARAKPURI Ne is hadees ko Hasan kaha "Mura’at al mufa teh Sareh Miskat Al musabiya jild-4 safa-374 .,
4. Muhaddis Shieik Zubair Ali zai bhi Is hadees ko Hasan kaha ”Sunnan Abu Dawud,Published by Dar us Salam, Volume No.2, Page No. 96"
Muhaddaseen ke view ye hai salatul Tasbeeh ke bareme,
1. Imam Tirmizi kehte hai Zyada se Ulama me aur Unme se Abdullah Bin Mubarak Is salatul Tasbeeh ki namaz ke kayal the "Tirmidhi vol.2 pg.348; Hadith 481.*
2. Imam Baihqi kehte hai ke ye Salatul tasbeeh ki Namaz "Muhaddis" Abdullah Bin Mubarak ka amal tha aur salaf me bhi ye amal tha "Shu’ubul Imaam vol.1 pg.427; Ilmiyyah,
3. Allaamah Munzhiri (RA) kehte Bahut sare Muhaddaseen is Qayal the wo ye log hai
1. Imaam Abu-bakr al-Ajurriy,
2, Imaam Abu Muhammad al-Misriy "Ustaadh of Allaamah Munzhiri"
3, Hafiz Abul-Hasan Maqdisi "Ustaadh of Allaamah Munzhiri",
4, Imaam Abu-Dawud,
5. Imaam Haakim. "Targheeb vol.1 pg.468"
Imam Muslim ne farmaya: Is mamle me Rawiyon ke sahih sanad ke saath isse "yani Ibn Abbas ki riwayat se" behtar koi hadees nahi hai
Imam Suyuti kehte hai 20 jalilul Qadr Muhaddaseen ne bhi Is hadees ko sahii kaha wo ye log hai
6.Hafiz Abu-Sa’eed al-Sam’aaniy,
7. Hafiz Khateeb al-Baghdaadiy,
8, Hafiz ibn-Mandah,
9, Imaam Bayhaqi,
10, Imaam al-Subkiy,
11, Imaam al-Nawawiy,
12, Haafiz ibn al-Salat,
13, Hafiz Abu-Musa al-Madiniy,
14, Hafiz al-Alaaeiy,
15, Imaam Siraaj-ud-Deen al-Bulqiniy,
16, Hafiz al-Zarkashiy and a few others. ,al-Laalil Masnoo’ah vol.2 pg.42-44,
6.Ibne Hajr Asqlani kehte hai Ahmed Bin Hambal ne Unke Ray "Opinioun" Ko Baad me Ruju karliye the Futuhaat al-Rabbaaniyyah vol.4 pg.318, 320,
Share:

3 comments:

  1. sach a nice information saltu tasbih i m reading this post and i m enjoying thanks for the sharing
    dua-e-qunoot-in-hindi

    ReplyDelete
  2. Such A Really Valuable Post. Thanks you for sharing this article 😊

    Surah Mulk In Hindi | Tabarakal lazi (सूरह मुल्क) | eQuran Read Online | PDF

    ReplyDelete
  3. Jazakallahu khair
    Allah Aap sabko Nek Hidayat de Har Musalman ko Firqa Parasti se door krde saari Ummat Sirf aur Sirf Khudko Musalman Bole Aameen Ya ArHamarRahimeen

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS