find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Namaj ki Qaza kaise ada kare.

*📮SALAAT(NAMAZ) KI QAZA KAISE ADA KARE❓*

______________________________________

            *🍃بسم اللہ الرحمٰن الرحیم🍃*

_Musalman shaksh ke liye ye jayez nahi ke wo baghair kisi shara'ee uzr(wajah) ke yani kaahili aur laparwahi ki wajah se namaz ke waqt me takheer(der) kare hatta ke uska waqt hi nikal jaye kyunki Allah Ta’ala ne har namaz ke ada karne ka alag alag waqt muqarrar kar diya hai aur hamare liye unhi tay kiye gaye waqton me namaze ada karna farz kiya gaya hai. Jaisa ke Allah Ta’ala ka farman hai._

_*▫▫🍃 “Beshak momino par tay shuda waqto pe namaz ada karna farz hai”*_
_📖An-Nisa,ayah :103_

_Namaz ke qaza hone ki do suratein islam me batai gayin hain._
_*1.Nind*_
_*2.Bhool*_

_Anas bin Malik Radiallahu anhu se riwayat hai ke_ _*Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya “jo koi namaz ada karna bhool jaye,usko chahiye ke jaise hi usey yaad aye ,wo namaz ada karle.Isliye ki iska koi aur kaffara nahi.”*_
_📗Sahih Bukhari,572_

_Anas bin Malik Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:_
_*“Jab tumme se kisi ki namaz, bhool ya nind ki wajah se Qaza ho jaye to usey chahiye ke jab yaad aye tab ada karle isliye ke Allah Ta’ala farmata hai ” Namaz qayem karo meri yaad ke liye”(Surah Taha, Ayah: 14)*_
_📘Sahih Muslim, 684_
______________________________________

_*🛑Ibn Hazm Rahimullah ne kaha:*_
_” Jisne bhi baghair kisi sharaee uzr ke namaz ada na ki yaha tak ki us namaz ka waqt hi nikal jaye wo kabi uski qaza nahi ada kar sakta kyunki baghair kisi uzr ke namaz zaya karne ke baad qazayein kuch faida nahi dengi. Use chahiye ke sachhi tauba kare aur dobara aisa naa karne ka ahed karle. Lehaza usey kasrat se nafil ada karni chahiye, ho sakta hai ke un nafilo ki bina par uske farayez ki kami aur nuqs puri ho jaye aur akhirat ke din uski neki ka wazan zyada ho jaye._
_📒Al-Muhalla 2/235_
______________________________________

_*🗒🗞Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah me ulema farmate hain :*_
_Jo koi bhi farz namazo ko bina kisi sharaee uzr ke qaza karta hai chahe wo ek namaz ho ya kai hon usey Allah Ta’ala se sachhi tauba karni chahiye. Aur usey in namazon ki qaza nahin ada karni hai aur naahi koi kaffara ada karna hai,Kyunki janbujh ke namaz qaza karna ek kufr hai jaisa ke Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :_

_Buraidah Radiallahu anhu kahte hai ke Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :_
_*“Hamare aur munafiqeen ke darmiyan namaz ka muahida(agreement) hai to jisne namaz chhod di usne kufr kiya”*_
_📘Tirmizi , 2621(Sahih-Darussalam)_

_Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya :_
_*“Admi aur kufr aur shirk ke darmiyan tark e namaz hai(yani namaz ko chhodna). ”*_
_📗Sahih Muslim, 242_

_Isliye Allah se sachhi tauba karne ke alawa namaz qaza karne ka koi aur kaffara nahi._
_*📔Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah 6/50*_
🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸
             

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS