📮 *ISLAM ME AQIDAH KI AHMIAT (MUKTASAR)*
✏Islam me aqidah ki ahmiat wazeh hai. Quran ke mutaley se yahi malum hota hai ke Makki daor me jo aaayaat nazil huin, aksar aqaid se taalluq rakhti hain. Aqidah deen ki bunyad hai. Ye bunyad jitni hi mazbut ho deen utna hi mustahkam aur payedar hoga. Aqidah e tawheed hi najaat ka zariya hai. Allah tamaam gunahon ko muaf kar sakta hai lekin shirk ko nahi muaf karega. Yahi wajah hai ke tamam anbiya aqida tawheed lekar aaye. Khatimun Nabiyeen ne bhi puri zindagi aqida tawheed hi ki dawat di. Islam ka pehla rukn tawheed hai aur dawat ki ibteda bhi tawheed hi se ki jaegi.
🖊Prepared By Ustaadh Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi
📤$hare
No comments:
Post a Comment