find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Allah ke khatir mohabbat karne ke fawaid. ( Part 1 )

ALLAH KI KHATIR MOHABBAT KARNE KE FAWAID

Transliteration by : Bint Iqbal
PArt 1
  Imaan ke mukammal hone ka asbaab(zariya) hai : :
Abi Umamah RaziAllahu anhu se rivayet hai ke Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne irshaad farmaya "jisne Allah ki khatir mohabbat kee, aur Allah ki khatir nafrat kee, aur Allah ki khatir hi( kisi ko kuch ) diِya, aur Allah hi ki khatir ( kisi ko kuch ) dene se ruka raha, to yaqeenan usne apna imaan mukammal kar liya."
Sunan abu Dawood Hadees : 4681 , Allamah Albani Rahimahullah ne isey sahih qarar dِiya hai.
__________________________________
: Imaan ki mazbooti ka asbaab hai : :
Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne abu Zar Al Ghaffari RaziAllah anhu se farmaya : Ai abu Zar kya tum jante ho ke imaan ki sab se ziyada mazboot girah kaun si hai❓
Abu Zar RaziAllah anhu ne arz kiya :-"Allah aur uske Rasool hi sab se ziyada ilm rakhte hain",to Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne irshad farmaya "Allah ke liye dosti rakhna, aur Allah ke liye dushmani rakhna, aur Allah ke liye mohabbat karna, aur Allah ke liye nafrat karna.
Sahih Al Jame As Sagheer wa Ziyaadatuh Hadees 2539 .
__________________________________
 Allah Sub'hana o Ta'ala ki mohabbat pane ka asbaab hai
Muaz Ibn Jabal RaziAllah anhu ka kehna hai ke maine Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ko irshad farmate hue suna " Allah Tabarak o Ta'ala ka farman hai ke mere liye aapas mein mohabbat karne walon, ek doosre ke sath mil baithne walon, aur ek doosre ko ja kar milne walon, aur (ek doosre ki khair ke liye ) apni quwatein sarf karne walon ke liye meri mohabbat wajib ho gayi."
Sahih Ibn Habban Hadees: 575,
Muwatta maalik Hadees 1748, Musnad Ahmad, hadees 22680,
Sahih Al Jame As Sagheer wa Ziyaadatuh hadees 4331.
 
Qayamat wale din bhi yeh muhabbaten qayem rahegi 
Allah Ta'ala quran me farmata h :-
Us din (gahre) dost bhi ek dusre ke dushman ban jayenge siwaye parhezgaron ke."
Surah Zukhruf, Ayah :67
Taqwe walon ki dostiyan sirf Allah ke liye hoti hain, kisi Duniyawi maqsad ke liye nahi, pas yeh log jo ek doosre se sirf Allah ke liye mohabbat aur dosti karne wale honge qayamat wale din bhi unki dosti barqarar rahegi, aur jo log Duniyawi maqasid ke liye, Allah ke ilawa kisi aur ke liye dostiyan rakhne wale honge woh ek doosre ke dushman ban jayen ge .
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS