find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Jahannum ki Haulnakiyan.

📮JAHANNUM KI HAULNAKIYAN

                     📋Part-1

🖋Tehreer : Shaykh Abdul Ghaffar Salfi,Banaras
🖊Transliteration by : Binte Iqbal
__________________________________

                🍃بسم اللہ الرحمٰن الرحیم🍃

Jahannum ka zikr aate hi dil me khauf aur dehshat ki laher daud jati h,Allah ne gunahgaron aur nafarmanon ke liye Jahannum ki shakl me ek aisa aqubat khana tayyar kar rakha hai jiski sakhtiyan aur haulnakiyan hamare tasawwur se bhi bala tar hain. Ye ek aisa qaidkhana hai jahan mujrim maut ko tarsega. Lekin usey maut bhi naseeb na hogi, wo til til marega. Charon taraf maut hi maut hi naach rahi hogi lekin phir bhi wo maut se do chaar nahi hoga. Pyaas se behaal jahannumi ko jab jahannumiyon ke zakhmon se risne wali badboo daar peep aur mawad pilaai jayegi to uski jo kaifiyat hogi usey lafzon me bayan nahi kiya ja sakta._
_*Allah Ta'ala jahannum ki haulnakiyo ka naksha kheenchte hue farmata hai.
▫🍃"Uske saamne dozakh hai jaha wo peep ka pani pilaya jayega. Jahan wo bamushkil ghunt ghunt piyega, phir bhi wo usey gale se utaar na sakega aur usey har jagah se maut aate dikhai degi lekin wo marne wala nahin, phir uske piche bhi sakht azaab hai."
📖Surah Ibraheem :16-17
__________________________________

_Ham duniya ki aag me jhulsi hui laashe dekhte hain to laraz jate hain kamzor dil wa dimagh ke log to jali hui laash ko dekh hi nhi pate, zara sochiye jahannum ki aag me jalne wale ka anjaam kya hoga us aag ki shiddat ka ye aalam hoga ki Nabi sallallahu walaihi wasalam farmate hain : *"Tumhari (duniya ki) aag jahannum ki aag ke muqable me (apni garmi aur halakat khezi me)sattarwan(70) hissa hai."
Kisi ne poocha Ya Rasool Allah(kuffar aur gunahgaron ke azaab ke liye)ye hamari duniya ki aag bhi bahut thi, Aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya
" Duniya ki aag ke muqabile me jahnnum ki aag unhattar(69) guna badh kar hai. "
📘Sahih Bukhari :3265
__________________________________

Jahannum kitni ameeq aur gahri hai iska andaza is hadees se lagaiye.Abu Huraira Razi Allahu anhu se riwayat hai ke ham Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ke saath the, ek ghadhghadahat ki awaz sunai di to Nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya tum jante ho ke ye kya hai❓
Ravi kahte hain ke hamne arz kiya Allah aur uske Rasool hi zyada jante hain aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya "ye ek patthar hai jo ke 70 saal pahle dozakh me pheka gaya tha aur wo lagataar dozakh me gir raha tha yahan tak ke wo patthar ab apni tah tak pahucha hai."*
📕Sahih Muslim :2844
__________________________________

Bhook wa pyaas se behaal jahannumiyon ko khane ke liye zaqoom ka darakht diya jayega.Ye kaisa hoga Allah Ta'ala farmata hai
▫🍃"Beshak zaqoom(thuhar) ka darakht. Gunahgar ka khana hai. Jo misl talchahht ke hai aur pet mein khaulta rahta hai. Misl tez garm pani ke."
📖Surah Dukhaan : 43-46
__________________________________

Surah kahf me jahannumiyon ka haal zara kuch yun bayan kiya gaya hai
▫🍃"Zalimon ke liye hamne wo aag tayyar kar rakhi hai jiski qanaatein unhen gher lengi agar wo fariyad rasi chahenge to unki fariyad rasi us pani se kee jayegi jo tel ki talchhat jaisa hoga jo chehre bhoon dega, bada hi bura pani aur badi buri araamgaah (dozakh) hai. "
📗Surah Al- Kahf :29

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS