find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Rooh Ki Kitni Qisme Hai? Aalam-E-Barzakh (Part 17)

Kitne Qism Ki Rooh HAi?

AALAM E BARZAKH - Part 17
WO LOG JO GOUR O FIKR KARTE HAI UNKE LIYE IS BAAT ME NISHANIYA HAI KI ALLAH TABARAK WA TA'ALA ROOHO KO KABZ KAR LETA HAI UNKI MOUT KE WAKT AUR JO MARE NAHI UNKI ROOHO KO NIND ME NIKAL LETA HAI.
_*[SURAH ZUMAR]
➡ IS AAYAT SE KAI BAATE MALOOM HUI
1KI ALLAH JAB TAK ROOH KO KABZ NAA KARE BANDE KO MOUT NAHI AATI.
2 JISKE BAAREME MOUT KA FAISALA HO CHUKA HOTA UNKO ROK LETA HAI AUR JINKA FAISALA NAHI HUA UNKO CHODH DETA HAI.
3 ISSE PATA CHALTA HAI KI ROOH KI 2 KISME HAI. 
1⃣ EK ROOH INSAN KE BADAN ME REHTI HAI AUR
 2⃣ EK KHWAB ME INSAN KE BADAN SE NIKAL JATI HAI.
AAIYE ISKO AUR WAJEH KAR LETE HAI. 1 ROOH E HAIWAANI AUR 2 ROOH E NAFSANI.
*ROOH E HAIWAANI* ISKA TALLUK GARDISHE KHOON SE HAI, JAB TAK KHOON KI GARDISH MOJUD HAI TAB TAK YE ROOH MOJUD HAI. AUR AGAR KHOON KI GARDISH RUK JAYE TO YE BHI NIKAL JATI HAI. ISI LIYE AGAR KISI KE JISM SE KHOON NIKAAL LIYA JAYE TO WO MAR JATA HAI CHAHE WO INSAN HO YA JANWAR.
*ROOH E NAFSANI* YE HI WO ROOH HAI JO KHWAB ME BAHAR NIKAL JATI HAI JISM SE.
➡ LEKIN IN DONO KE BICH ME BAHUT GEHRAA TALLUK HAI, JAISE SIKKE(COIN) KI DO SIDE KI AGAR SIKKE KI SIRF EK SIDE HO TO WO KISI KAAM KA NAHI.
➡ DONO KE BICH ME KAISA TALLUK HAI ZARA DEKHTE HAI. EK EXAMPLE SE SAMAJHTE HAI KI EK AADMI SO RAHA HAI USKE JISM SE ROOH E NAFSANI BAHAR GHOOM RAHI HAI, AB EK AUR AADMI AATA HAI AUR TALWAAR SE USKO MAAR DETA HAI, JISSE KHOON BEHKAR WO MAR JATA HAI AUR KHOON BEH JANE KI WAJAH SE ROOH E HAIWAANI BHI BAHAR NIKAL JATI HAI JIS WAJAH SE ROOH E NAFSANI BHI LOUT KAR WAPAS NAHI AATI JISM ME, ISLIYE KI ROOH E HAIWAANI JISM SE JAA CHUKI HAI TO ROOH E NAFSAANI BHI WAPAS NAHI AATI JISM ME. AISE HI AGAR DONO AADMI KE ANDAR MOJUD HO AUR KOI AADMI KO MAAR DE TO DONO BAHAR NIKAL JATI HAI.
KHULASA YE NIKLA KE DONO ME SE EK KA HAZIR HONA YA DONO KA HAZIR NA HONA DONO SURTO ME ZINDAGI BAKI NAHI REHTI AADMI MAR JATA HAI.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS