find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Aaj ki Pyari Hadeeth

*    ﷽    *
  *Aaj ki pyari hadees !*  
   *☀*
Abu zar raziyallahu anhu ne kaha ke Nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya : Tiin  shaksh aise hain jinse Allah qeyaamat ke din na baat karega,na hi uneh rehmat ki nazar se deykhe ga,aur na unko (gunahon) se paak karega aur unke liye dardnaak azaab hoga maine puucha : wo koun loog hain ? Allah ke Rasool ! Jo namuraad howe aur ghate aur khasare me rahe,phir aap ne yahi baat tiin baar dhorayi,maine kaha : wo koun loog hain ? Allah ke Rasool ! Jo namuraad howe aur ghate aur khasare me rahe,aap (ﷺ) ne farmaya : takhne se niche tehbandh (lungi,paijama) latkane wala,aur ehsaan jatlane wala,aur jhuuti qasam khakar apna samaan beychne wala -
English
Narrated Abu Dharr:
The Prophet (ﷺ) as saying: There are three to whom Allah will not speak and at whom He will not look on the Day of Resurrection, and whom He will not declare pure, and they will have a painful punishment. I asked: Who are they, Messenger of Allah, they are losers and disappointed ? He repeated it three times. I asked: Who are they. Messenger of Allah, they are losers and disappointed ? He replied: The one who wears a trailing robe, the one who takes account of what he gives, and the one who produces a ready sale of a commodity by false swearing.
Grade: Sahih (Al-Albani)
[ Sunan Abi Dawud : 4087 ]
----------------------------------------
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS