ILm ki Daulat hai Aeisi be Jwala
Jiske Aage Gunj Karoon (گنج قارون) kya hai Maal
Umer bher Padhte padhate jaiye
Chahe Jitna Lutate Jaiye
Aeisi Daulat ki Sifat kya kijiye
Badhti jaye kharch jitna kijiye
Ye Wah Daulat hai kahi le jao Sath
Aa nahi Sakti kisi Rahjen ke Hath
Jan loge Padh ke Tum Paon (پاوں) ki Nakal
Janwer bhi kuchh n kuchh Rakhte Hai Akal
Ek jra Si Chij Hai Chinti (چیونٹی) Gareeb
Jisko Mushkil Se Hua Ek Dana Naseeb
Wah bhi kar leti hai Rozi ki Talash
Yeh Basaat Aur Uspe Ye Akal Maas
Akal hi par Naaj Ager Tujhko hai Bs
Dekh Tujhse Km Nahi Mor-O-Moogs
Ilm (علم) Se Insaan ka Aajaz Hai
Wah Ager cha (اگرچہ) khalaq me Mumtaj hai
Akal ko Har Nek O Bad ki bhi Tamij
Ilm se hoti Hai Hasil Aei Ajeez
Ilm se Bnta Hai Insaa Aadami
Ilm ki Daulat Hai kunji Akal ki
Ilm se Duniya me paida karke Nam
Aakhirat ke bhi Sawer (سنور) Jate Hai kam
Akal Tariki me Par jaye Ager
Ilm hi ki Raushani ho Rahber
Akal ko Milta nahi jiska Soorag
Dhoondhta hai Ilm Se Lekar Chirag
Ilm se jo chaho sb kuchh jan lo
Had ye hai Allah ko Pehchaan Ko
(Shafeeq Imadpuri)
No comments:
Post a Comment