find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Haque Bat ki Tashdeek Shaitan ke Taraf Se Bhi.

✨💖اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه ✨💖

H͓̽A͓̽Q͓̽ B͓̽A͓̽A͓̽T͓̽ K͓̽I͓̽ T͓̽A͓̽S͓̽H͓̽D͓̽E͓̽E͓̽K͓̽ –͓̽ S͓̽H͓̽A͓̽I͓̽T͓̽A͓̽N͓̽ K͓̽E͓̽ T͓̽A͓̽R͓̽A͓̽F͓̽ S͓̽E͓̽ B͓̽H͓̽I͓̽!͓̽💖✨

💖✨ ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ💖✨

Aj Ke Firqa Parasti Ke Daur Me Log Ek Dusre Ko Samajhna To Dur Ki Baat Sunne Tak Ko Nahi Pasand Karte. Wo Bhi Sirf Isliye Kyuki Wo Kahte Ki Fula Shaks Hamare Firqe Ya Jamaat Ka Nahi Hai😕

Ye Is Tarha Ki Shiddat Pasandi Pe Log Aa Gaye Hai. Ek Wo 1400 Saal Pahle Ka Zamana Tha Jaha Par Ek Shaks Rasoolallah ﷺ  Ne Do Groh Ke Logo Ko (Ansaar Aur Muhajireen) Is Tarha Se Ek Kar Diya Tha Jaise Lagta Tha Ki Wo Dono Apas Me Khoon Ke Talluk Se Bhi Badh Kar Talluk Rakhte Ho Aur Ek Aj 1400 Saal Baad Ke Log Hai Jo Rasoolallah Ko Manne Ka Dawa Toh Karte Hai Lekin Fir Bhi Apas Me Ek Dusre Ko Samajhna Yaha Tak Ke Sunna Bhi Gawara Nahi Karte. Ab Dekhte Hai Ki Hamare Rasool ﷺ  Ka Tarika Kya Tha💖✨

Usmaan Bin Haitham Ne Kaha, Unho Ne Muhammad Bin Sireen Se, Unho Ne Abu Hurairah Ra. Se, Unho Ne Kaha,” Rasool ﷺ . Ne Mujh Ko Sadqa E Fitr Ki Nigehbaani Par Muqarrar Farmaya. Itne Me Ek Shakhs Aaya Wo Lap Bhar Bhar Kar Us Me Se (Khajure) Lene Laga. Main Ne Usko Pakad Liya, Main Ne Kaha, Main Tujh Ko Rasool Allah ﷺ  Ke Paas Lejaunga(Chodhunga Nahi). Phir Pura Qissa Bayaan Kiya. Us Ne Kaha, Abu Hurairah! Jab Tu ( Sone Ke Liye) Bichone Par Jaaye To Ayat Al Kursi Padh Le. Subah Tak _اَللّٰہُ  Taala Ki Taraf Se Tujh Par Ek Nigehbaan Farishta Muqarrar Rahega Aur Tere Paas Shaitaan Na Phatakne Payega Aur Abu Hurairah Ra. Ne Ye Baat Rasool ﷺ  Bayan Farmaai💖✨

Aap ﷺ  Ne Farmaya,” Go Wo Bada Jhutaa Hai Magar Ye Baat Us Ne Sach Kahi. Wo Shaitaan Tha💖✨

Sahih Al Bukhari, Kitab Fazail Al Quran, Hadith- 5010📚

Ye Tha Hamare  RasoolAllah ﷺ  Ka Tarika Jo Shaitan Ke Haq Ki Baat Ko Bhi Tashdeek Karte The Aur Ek Aj Ke Daur Ke Kuch Log Hai Ki Agar Kisi Shaks Se Zara Si Galti Ho Jaye To Use Zero Se Multiply Kar Dete Hai. Ye Hadees Un Par Bhi Radd Hai Jo Kahte Hai Ki Sirf Apne Jamaat Ki Baat Sunni Chaiye. Is Hadith Se Hame Pata Chala Ki Haq Baat Ki Tashdeed Karni Chaiye Wo Kyu Na Shaitan Ke Taraf Se Ho. Kuch Zyada Hi Aqalmand Log Kahte Hai Ke Is Hadith Par Ab Amal Nahi Kar Sakte Kyuki Ab Haq Baat Par Mohar Lagane Ke Liye RasoolAllah  ﷺ Nahi Hai, To Mere Wo Bhai, Rasoolallah ﷺ  Nahi Hai To Kya Hua Unki Hadeese To Hai Na Ummat Me, Aap ﷺ  Ki Hadeeso Ke Zarye Haq Baat Par Mohar Lagaya Jayega Aur Mere Bhai RasoolAllah ﷺ  Ke Zamane Ke Farmaan Me Aur Ap ﷺ  Ke Farmaan Wali Hadeeso Me Koi Fark Nahi Hota Jaise Allah Ke Farman Me Aur Quran Me Koi Fark Nahi Hai💖✨

Wallahu Alam........

*Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul alameen*

🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹

🇦​🇱​~ 🇮​🇸​🇱​🇦​🇭​

🅦🅐🅢🅢🅐🅛🅐🅐🅜

🅙🅐🅩🅐🅚🅐🅛🅛🅐🅗 
🅚🅗🅐🅘🅡

🅢🅗🅐🅡🅔  🅦🅘🅣🅗 🅨🅞🅤🅡 🅕🅐🅜🅘🅛🅨 🅐🅝🅓 🅕🅡🅘🅔🅝🅓🅢
 

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS