find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Islamic post pe Apna Naam Likhna ( Tahreer karne wale ka Nam)

Islami Post Par Apna Naam Likhna
= = = = = = = = = = = = = = =
Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah*
Romanized By: Umar Asari*
Social Media Itna Powerful Ho Gaya Hai Ke Us Ki Taaqat Se Har Koi Mutassir Ho Gaya Aur Har Qism Ke Log Is Se Jud Gaye.
Logon Ki Bheed Bhaad Aur Mukhtalif Qism Ki Ashya (Cheezein) Idhar Se Udhar Honay Ki Wajah Se Bohat Qism Ke Masail Bhi Paida Ho Gaye.
Un Mein Se Aik Masla Yeh Hai Ke Whatsapp Aur Facebook Waghera (Etc) Ki Post Par Jab Us Ke Likhnay Walay Ka Naam Hota Hai To Kuch Log Yeh Sawal Kartey Hain Key Is Par Naam Kiyun Likha Jata Hai?
Kuch Is Qism Ke Khayalat Ka Bhi Izhaar Kartey Hain Jo Mere Aik Qareebi Habib Ko Kisi Ne Mashwaratan (Advice Key Taur Par) Ya Tanzan (Satirize Key Taur Par) Kaha Hai. 
"Aik Shakhs Mujhe Kehta Hai Ke Quran o Hadees Tumhari Jageer Nahi Hai Is Liye Jab Mazmoon (Koi Topic) Likho To Us Par Apna Naam Likhna Zaroori Nahi Aur Woh Mera Naam Mere Mazmoon (Topic) Se Hata Deta Hai. Kehta Hai Key Tum Shohrat (Famous) Ke Liye Tableegh Kar Rahay Ho Ya Allah Ki Riza (Khushi) Ke Liye? ".
Yeh Jumla (Sentence) Tanz (Satirize) Ke Sath Apne Andar Sahib e Mazmoon (Artical Likhney Waley) Se Bugz o Adawat Bhi Rakhta Hai.
Yeh Sawal Social Media Ke Aaney Se Pehlay Nahi Tha. Aap Dekhtey Hongey, Akhbaarat (News Papers) Hon, Rasail Hon, Mazaameen (Articles) Hon, Kitaabein Hon Ya Kitabche  Koi Bhi Baghair Moharrir (Likhney Wale) Ke Naam Ke Nahi Hota, Yeh Sawal Yahan Nahi Kiya Jata Hai, Sirf Whatsapp Ya Facebook Waghera Jaisay Samaji (Social) Media Pay Kiya Jata Hai.
Is Silsilay Mein Kehna Chahta Hun Ke Koi Bhi Post Ya Mazmoon H Us Ke Likhnay Walay Ka Naam Khusoosan (Khaas Taur Se) Is Waqt Behad (Bohot) Zaroori Hai.
*Is Ki Kayi Wujohaat (Reasons) Hain Un Mein Do Sab Sey Zada Ahem (Important) Hain.*
1⃣ Koi Bhi Article, Article Likhney Waley Ki Haisiyat Se Jana Jayega Jo Kay Riwayet Aur Haq Hai.
2⃣ Bid’aat o Khurafaat Ke Daur Mein Mazmoon Nigaar (Artical Likhne Wale) Ke Naam Se Hi Mazmoon (Article) Ki Haisiyat Wazeh Ho Jayegi Jab Kay Us Ne Naam Ke Sath Izafi Sifat Laga Rakhi Ho.
Isi Wajah Sey Hum Dekhtey Hain Ke Jab Kisi Baat Ko Bawazan Karni Ho (Means Kisi Baat Mein Zor Paida Karna Ho) To Kisi Mo’tabar Aalim Ka Un Key Naam Key Saath Qaul Zikr Kiya Jata Hai.
 Social Media Mein Kisi Bhi Mazmoon Pay Naam Likhnay Ke Asraat:
▪Mazmoon (Article) Ka Maqsad Tableegh or Islaah Hota Hai, Is Liye Kuch Log Mazmoon (Article) Mein Us Ke Likhnay Walay Ka Naam Ho Ya Na Ho Woh Mazmoon (Article) Ko Waisay Hi Dosray Samaji (Social) Media Par Share Kartey Hain. Haqeeqat Mein Aisa Hi Hona Chahiye.
▪Mazmoon (Article) Kitna Achcha Hi Kiyun Na Ho, Kuch Log Mazmoon (Article) Likhney Waley Ka Naam Dekh Kar Jal Bhun Jatay Hain. Aisay Log Do (2) Qism Ke Hotay Hain. Aik To Woh Hain Jo Woh Mazmoon Kahin Share Hi Nahi Kartey, Aur Aik Woh Hain Jo Foran Naam Kaat Detey Hain Phir Usay Share Kartey Hain.
▪Kuch Aisay Bhi Miley Jo Dosron Ke Mazameen (Articles) Se Un Ka Naam Uda Kar Apna Ism e Giraami (Means Apna Name) Laga Detey Hain. Yeh Badtareen Qism Ka Jurm Hai.
▪Logon Ki Aksariyyat Aisi Hai (Means Aksar Log Aisey Hain) Jo Aisay Mazameen (Articles) Aur Posts Share Karti Hai Jin Pay Kisi Ka Naam Na Ho.
✅ Mein Aakhir Mein Sawal Karney Walay Aur Share Karney Walon Se Arz Karta Hun Ke Kaam Karney Walon Ko Kaam Karney Den, Un Ki Raah Mein Rukawat Paida Na Karen Aur Agar Kisi Post Par Mazmoon Nigaar (Article Likhney Waley) Ka Naam Hai Aur Aap Is Wajah Se Usay Share Nahi Karna Chahtay To Aap Khud Hi Mehnat Karkay Mazmoon (Article) Tayyar Karen Aur Apna Naam Likh Kar Share Karen Ya Na Likhein Jisa Ki Aap Ka Sawaal Hai.
✅Aur Isi Tarah Mazmoon (Article) Likhnay Walon Se Bhi Guzarish Karta Hun Ke Kisi Ka Mazmoon (Article) Leker Do (2) Char (4) Jumlay (Sentence) Idhar Se Udhar Karkay Apna Naam Na Likhein Balkay Apni Mehnat Se Khud Ki Kawish (Means Koi Mazmoon) Tayyar Karen Phir Apna Naam Likhein, Tarjuma Hai To Tarjumah Likhein.
Aur Yeh Dhiyaan Mein Rahay Ke Kisi Post Pay Naam Likhna Hi Hai Aisi Baat Nahi Hai. Balki Baghair Naam Ke Bhi Kaam Chal Sakta Hai Aur Chal Raha Hai, Lekin Mazmoon Par Moharrir (Likhney Waley) Ka Naam Ho Yeh Haq Bhi Hai Aur Behtar Bhi.
Pl
------------------
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS