find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Maiyyat Par Aurat ka Sog Mnana.

Kisi Ke Inteqal Me Matam KArna KAisa HAi?

Hazrat Umme Atiya r.a Se Riwayat Hai Ki Rasullah ﷺ   Ne Farmaya Koi Aurat Kisi Mayyat Par 3 Din Se zyada Sog (matam) Na Manaye Siwaye Apne Shauhar Ke Us Par 4 Mah 10 Din Sog Manaye
Zamana Sog Me Rungdar Libas Na Pahne Lekin Runge Huwe Soot Ka Kapda Pahan Sakti hain
Surma Na Lagaye, Khushbu Ka Istemal Na Kare Magar Jab Haiz Ke Dino Se Pak Ho Tab Thodi Si Ood (ek khushbu wali lakdi) Ya Mushk Istemal Kar Sakti Hai
Sunan Abi Dawood Aur Sunan Nasai Me Ye Alfaz Aur Hai Ki Mehandi Bhi Na Lagaye Aur Nasai Me Hai Kanghi Bhi Na Kare
Sahi Al Bukhari Hadith 5341, Sahi Muslim 938, Abi Dawood 2302, Sunan Nasai 3536, 3534
Malum Hua Ki Aurat Ke Liye Haraam hai  Ki Wah 3 Din Se Jyda Sog Manaye Chahe Uske Ma Bap Hi Kyo Na Inteqal Ho Jaye Albatta Apne Shauhar Ka 4 Mahine 10 Din Sog Manana Us Par Lazim Aur Sajana Sawarna Bhi Jaiz Nahi Magar Yah Bat Zahan Me Rakhe Agar Koi Hamla (pet se) Hogi To Bcha Hone Tak Sog Hai(matlab jab Hamal zaahir ho jaye tabhi iddat bhi khatm)
Wallahu Alam............
Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul Alameen
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS