find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Jadu ka Bachao kaise kare,kya iski jagah Taweez Latkaana Jayez Hai

TAWEEZ LATKANA (PEHNA)  Islam Me JAYEZ  HAi Ya Nahi

 Jadu Ke Bachaou Ya Ilaaj Ki Garz Se Taweez Latkana.
By: Hafiz Imran Ayub Lahori
Hafidahullah.
Romanised By: Syed Ibraheem Salafi.
بسم هللا الرحمن الرحيم
 Farmaan E Nabawi صلى الله عليه وسلم Hai Ke
"Jisney Taweez Latkaya Usne Shirk Kiya."
(Sahih: As-Silsilahtus Saheeha (496)
Sahih Jamia Al-Sagheer (6394)
Musnad Ahmed (4/156)
Shoaib Arnoot Ne iski Sanad Ko Qawi Kaha Hai.
  (Al-Mausuaatul Hadees (17422)
Ek Dusra Farmaan You Hai Ke:
"(Shirkiya) Mantar, Taweez Aur Muhabbat Paidaa Karne Ke Amliyaat Shirk hai."
 (Sahih: As-Silsilahtus Saheeha (331)
  Sahih At-Targheeb (3457)
   Abu Dawood (3883)
   Haakim (4/241)
  Hazrat Abu Basheer Ansari (Radhi Allahu Anhu) ka bayaan Hai KeMain Ek Safar Mein Nabi ( )صلى الله عليه وسلم Ke Saath tha, Aap ( )صلى الله عليه وسلم ney ek Qasid Ke Zariye Hukm Bhijwaya Ke "Kisi Oount Ke Galey Mein Taa'nt Ka Koi Haar Rehne Na Diya Jaye" Ya Aap ( )صلى الله عليه وسلم ney Farmaya Ke "Jahan kisi ount ke Galey Mein Kisi Qisam Ka Haar Nazar Aaye Usey Kaat Diya Jaye."
Bukhaari : 3005
Muslim : Kitab ul Libaas,
Musnad Ahmed (5/216
Abu Dawood : 2552
 Kuch Ahle ilm Qur'aani Taweez Ko Jayiz Qarar Detey Hain Lekin Darj Zail Woojohaat Ki Bina Par is Se Bhi Bachna Hi Behtar Hai:*
●Taweez Latkaney Ki Mumaniyat Umoomi Hai, is Mein Kisi Cheez Ki
Khususiyat Ki Koi Daleel Nahi Hai.
*●Qur'aani Taweez Kal Ko Ghair Qur'aani Taweez Pehanney Ka Bhi Zariya Ban Saktey Hain.*
●Bait ul' Khala (Mubashirat, Ahtelaam Aur Janabat Aur Haiz Wa Nifaas) Wagera Mein Bhi Qur'aani Aayaat Ke Taweez Saath Hi Honge (Jis Se Yaqeenan Quran Ki Be-Hurmati Hogi)
*●Quran Se Shifa Hasil Karne Ka Ek Khaas Tariqa Hai Aur Wo Yeh Hai Ke Usey Padh Kar Mareez Par Dum Kiya Jaye, Lihaza is Aamal Se Tajawuz Nahi Karna Chahiye.*
*(Usool Ul Emaan Fee Zu'a Al-Kitaab Wa Al-Sunnah (Safa : 47)*
(Ibrahim Nakhayi Rahimahullah) Bayaan Farmatey Hain Ke Sahaba e Kiraam (Radhi Allahu Anhum)
Qur'aani Aur ghair Qur'aani Har Qism Ke Taweez Ko Na Pasand
Farmatey They.
*Musannaf Ibne Abi Shaiba (23933), (7/374)*
(Allamah Shamsh Ul Haq Azeem Aabadi Rahimahullah) inhune Naql Farmaya Hai Ke Qazi Abu Bakr Al-Arabi Rahimahullah Jamia Tirmidhi Ki Sharah Mein Farmatey Hain:
"Quran Ko (Taweez Ki Surat Mein) Latkana Sunnat Tariqa Nahin, Balke Latkaney Ke Bajaye Sunnat Yeh Hai Ke Usey Padh Kar Nasihat Hasil Kijaaye."
*(Awn Al-Mabood (10/250)*
(Shaykh Ibne Baaz Rahimahullah) Qur'an E Kareem Ya Jayiz Duaon
Ke Taweez Ke Mutalliq Ahle ilm Ka Akhtilaaf Hai, Lekin Sahih baat Yeh Hai Ke Yeh Taweez Bhi Do Wajeh Se Na-jayiz Hai, Ek Yeh Ke Mumaaniyat
Ki Ahadees Mein Umoom Hai Jo Qur'an Aur Ghair Qur'an Dono Tarha Ke Taweez Ke Liye Aam Hain, Dusrey
Yeh Ke Zariya e Shirk Ki Rok Thaam (bhi zaroori hai) Kyun Ke Agar Qur'aani Taweez Ki ijaazat Dey Di Jaye Tou Nateeja Yeh Nikleyga Ke Is Mein Dusrey Taweez Bhi Mil Jayengey Aur You Shirk Ka Darwaaza Khul Jayega, Aur Yeh Baat Maloom Hi Hai Ke Shirk Aur Gunhaa Ke Tamaam Zariye Ko Rokna Shariat
Ke Ahem qawaaid Mein Se Hai.
*(Kitaab Ad-Dawah (Safa : 20)*
(Shaykh Ibne Uthaymeen Rahimahullah) Qur'aani Taweez Se Rokney Waalon Ki Baat Hi Haq Se
Ziyada Qareeb Aur Sahih Hai Kyun Ke Aisa Karna Nabi صلى الله عليه وسلم Se Sabit Nahi,
Jab Ke Sabit Yeh Hai Ke Mareez Par (Qur'aani Aayaat Aur Masnoon Wazayif Ke Saath) Dum Kiya Jaye, Lekin Agar Aayaat Aur Duaaon Ko Mareez Ki Gardan Mein Latkaya Jaye, Ya Bazu Par Bandha Jaye Ya Takiye Ke Neechey Rakhwaya Jaye Tou Yeh Tamam Kaam Na-Jayiz Hain Kyun Ke Inka Koi Saboot Maujood Nahi. (Majmu Fatawa Ibne Uthaymeen (1/139)
(Shaykh Saleh Al-Fauzaan Hafidahullah) Sahih Rai Yeh Hai Ke
Qur'aani Taweez Latkana Bhi Mana Hai, Shaykh Abdur Rahman Bin Hasan Aur Un Se Pehley Shaykh Sulaimaan Bin Abdullah Ne Bhi is Rai Ko Tarjee Di Hai.
(Laanat ul Mustafeed Sharah Kitabut Tahweed 1/142)
 Yahan Yeh Bhi Yaad Rahe Ke Qur'aani Taweez Latkaney Ka Mazeed Jukhsaan Yeh Hoga Ke:
●Allah( )جل جلاله ko Masaib Wa Takleef Door Karney Waala Samhjney Ke Bajaye Taweez Ko Sab Kuch Samhj Liya Jayega,
 ●Bimaari Mein Allah ( )جل جلاله Se Dua Mangney Ya Tabi Eilaaj Maalij Karney Ke Bajaye Mehz Taweez Hi Par Aitemaad Kar Liya Jayega,
Halanke Shariat Mein Bimaar Ko Allah( )جل جلالهSe Duayen Mangney Aur Tabi ilaaj Maalij Karney Ki Targheeb Dilaayi Gayi Hai,
●Taqdeer Par Emaan Ke Bajaye Yeh Yaqeen Kar Liya Jayega Ke Taweez
Taqdeer Bhi Badal Sakta Hai.
 Yeh Mehz imkanaat Hi Nahi Balke Jahan Bhi Taweez Latkaney Ki ijaazat Di Gayi Hai Wahan Par Yehi Surat e Haal Hai Ke Log Allah( )جل جلاله Se Dua Mangney Aur Masnoon Azkaar o Wazayif Ki Paabandi Karney Ki Bajaye Mehz Takiye Ke Neeche Taweez Rakh Leyna Ya Usey Paani Mein Ghol Kar Pei Leyna Ya Usey Bazu Par Bandha Leyney Ko Tarjeeh Deyte Hain,
Aur is Tarha Dua Jaisi Azeem ibadaat Aur Haqiqi Wa Sharayi Tareeqa e ilaaj Se Bhi Mehroom Ho Jaate Hain, is liye Bila-shubah Jadu Ya Kisi Bhi Marz Se Bachao Ya ilaaj Ke Liye Taweez Latkaney Ki ijaazat Deyna durust Nahi Balke is ke Baraks Logon Ko Taweez Utaar Ne Ki Dawat Deyni Chahiye.
Kitaab: Jadu Jinnaat Sey Bachao Ki Kitaab. Taleef : Hafiz Imran Ayub Lahori (Hafidahullah) Safa 73-75|

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS