find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Waseela Lagana Sahee Hai?Jayez Hai? Zaruri Hai? Iske Bare Me Tafseel.

Waseela Lagana sahee hai, Jayz hai, Zaruri hai. Iske Barmein Tafseel

ALLAH ne QURAN mein kaha,
  يَاأَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ وَابْتَغُوا إِلَيْهِ الْوَسِيلَةَ وَجَاهِدُوا فِي سَبِيلِهِ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ
Tarjuma:
Aye imaan walo, daro ALLAH se aur uss takk pahoonchane ka WASEELA ikhteyar karo. Aur uss ki rah mein jihad karo taake tum kamyab ho jao.
{{Sure Mayda :- 35}}
Waseele ke maane zariye ke hai. Agar zariya sahee hoga to jayz hai aur agar zariya galat hoga to na jayaz hai.
Waseele 2 tarah ke istemaal kiye jaate hain,
1. Ma tahtul-asbaab waseela yani jo asbab ke tahat ho
2. Ma fauqul asbaab waseela yani jo asbab ko chore kar ho.
Dunyawi eatebaar se sirf aur sirf ma tahtul asbab waseela hi jayaz hai.
Deeni eatebaar se ma tahtul asbab to jayaz hai hi, magar ma fauqul asbab waseele mein sirf wahi waseela jayaz hai jiss ki daleel maujood ho.
Ab na jayaz waseela wo huwa jo dunyawi eatebaar se ma fauqul asbab ho aur deeni eatebaar se bila daleel ho.
Maslann, Ilaj karna sunnat hai. Magar ilaj ka zariya bhi sahee ho tab jaa kar wo sunnat kehlayega.
Agar ilaj kisi haram cheez se kiya jaye to wo na sirf na jayz balke haram bhi ho jayega, jaise sharab aur peshab se ilaj karna.
Shariyat mein sirf 3 qisam ke waseele jayaz aur sahee hain, in ke alawa baaqi sab na jayz aur gair sharyi hain.
1⃣ Allaah ke Naam aur uss ki sifat ka waseela lena:
Iss ki ye daleel hai,
▶ Ayyub Alaihi Sallam  ne ALLAH ke ARHAMUR RAHIMEEN hone ka waseela liya tha,
⬅ *وَأَيُّوبَ إِذْ نَادَى رَبَّهُ أَنِّي مَسَّنِيَ الضُّرُّ وَأَنْتَ أَرْحَمُ الرَّاحِمِينَ*
Tarjuma:
Aur AYYUB Alaihi Sallam jab keh unhaun ne apne rabb ko pukara, (aye mere rabb) muzhe ye bimari lag gayi hai aur tu raham karne walaun se ziyada raham karne wala hai.
{{Sure Anbiya :- 83}}
Ism-e-Aazam se dua radd nahee hoti,
⬅ *عَنْ أَبِي أُمَامَةَ الْبَاهِلِيِّ – رضي الله عنه – قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ – صلى اللهُ عليه وسلَّم -: (” اسْمُ اللهِ الْأَعْظَمُ الَّذِي إِذَا دُعِيَ بِهِ أَجَابَ , فِي سُوَرٍ ثَلَاثٍ: الْبَقَرَةِ وَآلِ عِمْرَانَ , وَطه “)*
Tarjuma:
Abu Umamah Radhi Allaah Anhu kehte hain, Nabi s.a.w. ne farmaya,
Ism-e-Aazam ke waseele se mangi gayi duwa qubul hoti hai. Aur wo ism-e-Aazam 3 surataun mein hai, 1. Sure Baqrah 2. Sure Aal-e-Imran 3. Sure Taha.
{{Sunan Ibn-e-Maaja : 3856}}
{{Sunan Darmi : 3436, Al-Mustadrak lil Hakim : 1865}}
2⃣ Apne Neik Aamal ka waseela lena:
Iss ki ye daleel hai,
Sahi Bukhari mein ek mutawwal hadith hai jinn mein '3' Ashkhas ka tazkira hai. Teenaun ek gaar mein phas jaate hain. Phir har ek apne apne nake aamal ka waseela le kar dua karta hai, aur Allaaah Unki dua Qubul kar ke unn ko uss Museebat se najaat deta hai.
Dekhiye –
{{Sahee Bukhari : 5974}}
3⃣ Kisi nake aur buzrug shaks ka waseela lena jo zinda ho aur samane maujood ho.
Iss ki ye daleel hai,
⬅ *عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ، أَنَّ عُمَرَ بْنَ الخَطَّابِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، كَانَ إِذَا قَحَطُوا اسْتَسْقَى بِالعَبَّاسِ بْنِ عَبْدِ المُطَّلِبِ، فَقَالَ: «اللَّهُمَّ إِنَّا كُنَّا نَتَوَسَّلُ إِلَيْكَ بِنَبِيِّنَا فَتَسْقِينَا، وَإِنَّا نَتَوَسَّلُ إِلَيْكَ بِعَمِّ نَبِيِّنَا فَاسْقِنَا»، قَالَ: فَيُسْقَوْنَ*
Tarjuma:
Ans Bin Malik Radhi Allaah Anhu kehte hain,:-
Jab kabhi Hazrat Umar Radhi Allaah Anhu ke zamane mein qahat padata to Umar Radhi Allaah Anhu Hazrat Abbas Radhi Allaah Anhu ke waseele se dua karte aur farmate keh,
Aye ALLAH pehle hum tere paas apne nabi s.a.w. ka waseela laya karte the, to tu paani barsaata tha. Ab hum apne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke chacha ka waseela banate hain to tu hum par paani barsa.
Anas Radhi Allaah Anhu   kehte hai keh chunancha phir barish khoob hoti.
{{Sahee Bukhari :- 1010}}
In waseelaun mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke naam ka waseela lene ka zikar nahee hai. Iss liye hum nabi s.a.w. ka waseela nahee le sakte.
Aur iss ka jawab issi aakhari hadith mein bhi maujood hai.
Hazrat Umar bin Khattab Radhi Allaah Anhu ne Aap Sallallahu Alaihi WaSallam  ki wafaat ke baad aap ka waseela lena jayz nahee samazha balke jo hasti zinda aur samane maujood thi, yani hzrt Abbas r.a., unn ka waseela liya.
Inn sahee dalail ke alawa jin ahadith mein nabi s.a.w. ka waseela lene ka zikar milta hai wo ya to sakht zaeef hain ya poori tarah mauzoo’a yani manghadat hain.
Ab jo hadithein sahee hai hi nahee main unn ki tafseel kyun bayan karoon.?
Hamare liye sahee daleel ko manana, uss ko samazhana aur uss par amal karna hi kaafi hai.
Wa Allaahu Alam
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS