Aaj ke Mushrik, Makka ke Nabi ke Daur ke Mushriko se bhi Nichle Darje ke hai:*
BismillahirRahmanNirRaheem
◼Makka ke Mushrik, Musibat ke waqt Allah ki Madad Talab karte the, aur jab Musibat hat jaati thi to fir se apne Awliya ko pukarne lag jaate the.
◼Kam se kam wo log Musibat me Allah ko pukarte the lekin aajke Mushrik jo Dargah-Parst hai, Musibat aur Khush'hali me Nabi (SallallahuA'layhiWaSallam) aur apne Awliya ko pukarte hai.
◼Aaj ke Mushrik musibat ke waqt ....
Ya Rasoolullah Al Madad,
Ya Gaus Al Madad,
Ya Maula Ali Al Madad,
Ya Chisti Al Madad,
wagaira ke Nare lagate.
◼Gayrullah ko madad ke pukarna SHIRK E AKBAR hai aur SHIRK E AKBAR ki saza hamesha wali Jahannam hai.
◼Shirk ki saza malum karne ke liye padhiye (Surah 04 Nisa ayat 48 & 116, Surah 05 Maydah Ayat 72)
Allah ne Makka ke Mushriko ka ek Naksha khicha hai:
فَإِذَا رَكِبُوا۟ فِى ٱلْفُلْكِ دَعَوُا۟ ٱللَّهَ مُخْلِصِينَ لَهُ ٱلدِّينَ فَلَمَّا نَجَّىٰهُمْ إِلَى ٱلْبَرِّ إِذَا هُمْ يُشْرِكُونَ
*"Pas ye log jab kashtiyo (ships) me sawaar hote hai to Allah Ta'ala hi ko pukaarte hai uske liye ibaadat ko khaalis karke, phir jab Wo (yani Allah) unhe khushki (zameen) ki taraf bacha laata hai, to usi waqt shirk karne lagte hai".*
(Al Qur'an, Surah 29, Ankaboot : Ayat 65)
No comments:
Post a Comment