find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Allah Ko Razi KAre Ya Duniya Badshaho Ki?

Allah ko Raazi Karo

is Qaynaat ka ek hee baadshah hai, yaha kisi ki saltnat nahi Allah ke Siva,
⇨Aaj musalmano pe Jo musibate aa rahi hai use koi nahi la raha,
Allah la raha hai,
→aaj batil ne science pe tarakki nahi ki, Allah ne tarakki karwayi hai, Allah todna chahta to tod Sakta, girana chahta to gira deta,
→ magar Allah ne dheel di hui hai, halaat per bhi kabza hai, chahe to logo me mohabbate paida kare ya nafrate,,
★ Nooh alaihissalam se Allah ne farmaya” kashti me joda joda {Yani Har Cheez ka doda nar, aur maada} dal lo,
” arz kiya ya Allah! Ek taraf sher hoga doosri taraf bakri, bhed,, ek taraf billi hogi or doosri taraf kabutar,, aap hee batade ke inhe kaise ikatthe bitha du,,
Allah ta’ala ne farmaya, aye Nooh! inme nafrate kisne dali hai?
Aapne kaha,
” beshak aapne ”
” to fir me hee inme mohabbat daal dunga,,
★Nabi paak Sallallahu alaihivasallam ke zamane me saanp (snake ) aur bachche ikatthe khelte the,,
⇨Umar bin Abdul Aziz r.a ke zamane me bhediya Aur bakri ek ghaant me paani pite the,
koi kisi ko nahi Maarta tha,
★ Allah Ta’ala mohabbat daal deta hai to jaanwar bhi taabe ho jaate hai,,
yun Allah ta’ala aaj bhi mohabbate daalne per Qadir hai,
★ Mere dosto,! Saare halaat Allah ke hath me hai, agar Allah halaat bana de to koi bigaad nahi sakta, bigaad de to koi bana nahi sakta,,
⇨us Allah ko raaZi karne ki zaroorat hai,
us Allah ko apna banane ki zaroorat hai,
us Allah ko pukarne ki zaroorat hai,
uski taraf dodne ki zaroorat hai Jo saare kaam banane wala hai,
☆ *Allah mujhe bhi, aapko bhi Aur tamàam momino ko amal ki tofeeq ataa kare,
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo*
  JazakAllah  Khaira Kaseera
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS