Aaj Musalman ko Haq pahechan ne me Mushkil kyun horahi hai?
BismillahirRahmanNirRaheem
◼Ek Aam Musalman ko Haq pahechan ne me isliye Mushkil horahi hai kyunke Batil ne Haq ka Sahara liya hai (yaani Gumrahi ko Haq ki Polish laga kar chamkaya jaraha hai).
◼Dusre alfaaz me, Ahle Shirk wa Bidat itne Shaatir hai ke apne Shirk aur Bid'at ko bechne ke liye apne Gumrahiyo ko Haq ke sath mila diya hai. Ek Kafir ka Kufr to jaldi pata chal jata hai kyunke Kafir ki Gumrahiya 100℅ wazeh hai lekin Ahle Shirk aur Bid'at ki Gumrahiya logo ko nazar nahi aati kyunki Unone Islam ka Chola (libaz) pahen rakha hai.
◼Isika fayda utha kar aaj BARELWI, DEOBANDI, TABLIGHI, JAMATE ISLAMI, TANZIM E ISLAMI, DAWATE ISLAMI, GIO, SIO, QADIYANI, SUFI aur in jaisi dusri Jamatein logo ko Islam ke naam par bewakhoob bana rahi hai.
*Inhone kis tarah Baatil ko Haq ka sahara lekar becha hai:*
ℹMisal ke taur par,
◼◼Jitne bhi HANAFI hai, ye log Imam Abu Hanifa (Rahamahullah) ka sahara lekar Apne aap ko Ahle Sunnat batakar, Hanafiyat ke pichhe se ...
1. Muturidiyat
2. Sufiyat
ko faila rahe hai.
◼◼Inhone Allah ka inkar nahi kiya lekin Allah ke sath apne Awliya ko sharik kar diya.
◼◼Inhone Rasuloollah (SallallahuA'laihiWaSallam) ko nahi chhoda lekin apne Imamo ko Nabi ka darja dediya. (Yani Imamo har baat ko Pathar ki lakir samaj liya aur unki Taqleed karne lag gaye).
◼◼Inone Tawheed ko puri tarah se nahi chhoda lekin Tawheed me Shirk ki milawat ki.
◼◼Inhone Allah ki "Aswa wa Sifat" ka Inkar nahi kiya lekin Allah ki "Asma wa Sifat" me TAAWIL (galat tafseer ki) ki.
◼◼Inhone Itteba e Rasool se inkar nahi kiya lekin unhone Bida'at ko Sunnat ke sath mila dala.
◼◼Inhone Salat(Namaz) ki Rakato ko nahi badla lekin Salat ka Tariqa badal dala.
◼Inhone Masjid se apna Rishta nahi toda lekin Dargaho ko bhi apni Ibadat-gaah bana li.
◼◼Khas karke, Jamate Islami, SIO, GIO, aur Tanzime Islami ne Islami Khilafat ka Inkar nahi kiya lekin Islami Khilafat ke naam par *Khawarij aur Shi'a ka Tariqa apnaya.*
◼Allah meri aur ham sab ki inke Gumrahiyo se hifazat kare.
鹿 *_Allahu Aalam Bis-Sawab._
No comments:
Post a Comment