find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Jhoot Gunaho Ki Taraf Le Jata Hai. Jhoot Ka Islam Se wasta

ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
   السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ

    Jhoot bolne wale par ALLAH TA’ALA ki laanat hoti hai

[Al Imran, Aayat 61]
Aap SALALLAHU ALLAIHI WA SALLAM Ne Irshaad Farmaya :
Jhoot Se Bachte Raho, Is Liye ke Jhoot Gunah kii Taraf Le Jaata hai, aur Gunah Jahannam mey Pahuncha Deta hai, aur Aadmii Barabar Jhoot BoLta Rehta hei, Yaha Tak ke ALLaah Ta’aaLa ke Yahan Us ka Naam Jhooto’n mey Likh Diya Jaata hai.
MusLim- 6804.
 Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Irshaad Farmaya:
Kisi Bande ka Imaan MukammaL Nahi ho Sakta Jab Tak ke Hansee Mazaaq mei bhi Jhoot ko Na Chhode.
Musnade Ahmad- 8630.
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Irshaad Farmaaya :
Jo Logo’n ko Hansane ke Liye Jhoot boLe Us ke Liye HaLaakat hai, Us ke liye HaLaakat hai, Us ke Liye HaLaakat hai.
Tirmizee- 2315.
Rasool Allah ﷺ ne farmaya: mein is shakhs ke liye jannat ke andar ek ghar ka zamin hon jo larai jhagra tark kar de, agarchay woh haq par ho, aur jannat ke bichon beech ek ghar ka is shakhs ke liye *jo jhoot bolna chore de agarchay woh hansi mazaaq hi mein ho,* aur jannat ki bulandi mein ek ghar ka is shakhs ke liye jo khush Khalq (achhe akhlaq wala) ho.
Sunan Abi Dawud: kitab Al-Adab 43, hadith no. 4800
*Grade sahih*
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Irshaad Farmaya :
Jab Banda Jhoot BoLta hai to Farishta Us ke Jhoot kii Bad-boo kii Wajah Se Ek MeeL Door ChaLa Jaata hai.
 Tirmizee- 1972.
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasLLam Ne Irshaad Farmaya Aadmii ke Jhoota hone ke Liye Yahii Kaafii hai ke Wo har Sunii Sunaai Baat ko Bayaan Karta firey.
 MusLim- 8
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo.
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
  JazakAllah  Khaira Kaseera
   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Share:

4 comments:

  1. हज़रत हकीम बिन हिज़ाम रदियल्लाहु तआला अन्हु से रिवायत है कि हुज़ूरे अकरम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया: फरोख़्त करने वाले और ख़रीदार को इख़्तियार है जब तक वह मजलिस से जुदा ना हों। अगर दोनों ने हक़ीक़त को ना छुपाया और सच बोला तो उनकी ख़रीद व फरोख़्त में बरकत डाल दी जायेगी और अगर हक़ीक़त को छुपाया और झूठ बोला तो ख़रीद व फरोख़्त की बरकत ख़त्म हो जायेगी।

    ReplyDelete
  2. https://mysunnihanfiaddress.blogspot.com/?m=1

    ReplyDelete
  3. https://mysunnihanfiaddress.blogspot.com/?m=1

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS