find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Waseele Se Hm Inkaar Nahi Karte.

WASEELA SE HAM INKAR NAHI KAR SAKTE , QURAN ME WASEELA KA ZIQAR HAI

SURAH AL-MA'IDAH , AYAT NO- 35
SURAH AL-ISRAA/ BANI ISRAEL , AYAT NO- 57
    JAYEZ WASEELA
Waseele key meaning hain Allah ka takarrub (NAZDIKI) Haasil karna!
Allah ke nazdiki ke liye kyaa karna jayez hai ?
Allah ke ZAATI WA SHIF'ATI namo ke zariye Dua karna... Allah ka TAKARRUB hasil karne ke liye SHIRK se bachna aur Rasool Allah sallallahu alaihe wa sallam ke tareeke ( SUNNAH) per zindagi guzaar na , TAQWA ikhtiyar karna ! Allah ki raah mai JIHAAD Fee sabeel Allah karna ( MAAL KHARCH KARNA ) inke zariye Allah ka TAKARRUB hasil kiya jata hai, jisse Allah khush hota hai aur hamari DUWAYEN Qabool karta hai !
Yeh SHARAYEE aur JAYEZ WASEELA hai... !
Surah Al-Baqarah , Ayat - 153
يٰٓاَيُّهَا الَّذِيْنَ اٰمَنُوا اسْتَعِيْنُوْا بِالصَّبْرِ وَالصَّلٰوةِ ؕ اِنَّ اللّٰهَ مَعَ الصّٰبِرِيْنَ
اے ایمان والو! صبر اور نماز کے ذریعہ مدد چاہو، اللہ تعالی صبر والوں کا ساتھ دیتا ہے(153)
AY imaan walo! Shabr aur Namaz ke zariye madad chaho ,Allah Ta'ala shabr walon ka saath deta hai (153)
Waseela ki Dusri mishalen Faut shudaah bujurgo ki ,Duwa me waseela lagaana !
Aaj Ummat ki aksariyat ka kehna yeh hai ke kyonki hum Gunahgar log hain hamari pohuch Allah ke Darbaar tak kahan .??
Woh (ALLAH ) hamari dua Direct nahi sunta isliye hum buzurgo ke Waseele se Allah tak apni baat pohchate hain yeh log bahut pohche hue aur ba-asar hain inki baat tali nahi jati isliye hum in Buzurg logo ka Waseela apni Dua mai lagate hain..... . !.
Kuchh Musalmaan waseela ka Daleel aise pesh karte hai !
1. Baadshah se milne ke liye darban !
2. Afsar se milne ke liye Chaprasi !
3. Chhat per charne ke liye seerhi ki zaroorat hoti hai !
Aise hi Allah tak Apni Duwa ko Pahuchane ke liye Hame bujurgo ki waseela lena jaruri hota hai !
✔ Badshah se milne ke liye Darbaan ki jarurat hai , kyoki Badashah se hamari jaan- pahchan nahi hai, Afsar se milne ke liye chapraasi ki jarurat padegi kyoki us se mera pahchaan nahi , Badshah ,Afsar , ke paas security hai us se milne ke liye uske sath jab tak jayenge nahi us se baat nahi kr paayenge mera haal ko kaise janega ?
In Duniawi Badshahon aur afsaron ke liye Waseele ki Zaroorat isliye parhti hai ke ...
woh nahi jante ke ke jo shaks unke paas araha hai uski kya hajat hai kya zarooraat hai unhe uske haal ka kuch bhi ilm nahi hota isliye jab tak woh beech mai kisi ko Waseela na banaye unhe ane wale ka halat ka kuch malum na hoga ....
lekin zara scohiye jo Paak zaat logo ke dilon ke haal se bhi wakif hai kya use bhi Kisi Waseele ki zaroorat hai ?
Hamara Allah to woh hai jo har baat ka ilm rakhta hai
Allah to meri jaan se bhi jyadah kareeb hai !
Quran kahta hai:
Surah Qaf , Ayat -16
وَلَقَدْ خَلَقْنَا الْاِنْسَانَ وَنَعْلَمُ مَا تُوَسْوِسُ بِهٖ نَفْسُهٗ   ۖۚ وَنَحْنُ اَقْرَبُ  اِلَيْهِ مِنْ حَبْلِ الْوَرِيْدِ
ہم نے انسان کو پیدا کیا ہے اور اس کے دل میں جو خیاﻻت اٹھتے ہیں ان سے ہم واقف ہیں اور ہم اس کی رگ جان سے بھی زیاده اس سے قریب ہیں(16)
Hamne insaano ko paida kiyaa hai aur uske Dil me jo khayaalat uthte hai un se Ham Waaqif hai aur Ham uske Rag Jaan se bhi jyaadah Qareeb hain (16)
Surah Al-Mulk ,Ayat - 13
وَاَسِرُّوْا  قَوْلَـكُمْ اَوِ اجْهَرُوْا بِهٖؕ اِنَّهٗ عَلِيْمٌۢ بِذَاتِ الصُّدُوْرِ
تم اپنی باتوں کو چھپاؤ یا ﻇاہر کرو وه تو سینوں کی پوشیدگی کو بھی بخوبی جانتا ہے(13)
Tum Apni baaton ko chhupawo ya jaahir karo woh to Seeno ki poshidgi ko bhi bkhubi jaanta hai (13)
1. Badshah se milne ke liye darban !
2. Afsar se milne ke liye Chaprasi !
3. Chhat per charne ke liye seerhi ki zaroorat hoti hai !
4. Allah tak Baat pahuchane ke liye Duwa me Bujurgo ki waseela !
Is misaal or bahaana ke baare me Allah ka QURAN me aise farmaan hai ki tum Allah ke liye mesaale na banawo !
Surah An-Nahal , Ayat-74
فَلَا تَضْرِبُوْا  لِلّٰهِ الْاَمْثَالَ‌ؕ اِنَّ اللّٰهَ يَعْلَمُ وَاَنْـتُمْ لَا تَعْلَمُوْنَ
پس اللہ تعالیٰ کے لیے مثالیں مت بناؤ اللہ تعالیٰ خوب جانتا ہے اور تم نہیں جانتے(74)
Pas Allah Ta'ala ke liye mishaalen mat banaawo Allah Ta'ala khub jaanta hai aur Tum nahi jante (74)
WASEELA
Akhirat ki pahli manjil Qabar hai
Allah ta'ala ke taraf se Qabar me 4 sawalat kiye jayenge ,
Jis me hargiz yeh na puchha jayega ki tera mazhab kis IMAAM ka hai?
Aur tera IMAAM kaun hai ? BALKEH
Qabr mein puche jane wale char (4) sawal Aise honge !
.
Bara bin aazib Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki hum Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke sath Ansar ke 1 shakhs ke janaze mein nikle, hum qabar ke paas pahuche, woh abhi tak tayyar nahi thi, to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam baith gaye aur hum bhi aap ke ird gird is tarah baith gaye jaise hamare saron par chidiyan baithi hain (yani gaur se sunne lag gaye), Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke haath mein ek lakdi thi, jis se Aap Sallallahu Alaihi wasallam zameen kured rahe they, phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne apna sir Mubarak uthaya aur farmaya Qabr ke azaab se Allah subhanahu ki panah talab kiya karo , ye do baar ya teen baar farmaya.
.
Hannad Radi Allahu Anhu ki rivayet ke alfaz hain, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : (jab murdey ko dafan kar diya jata hai) phir is ke paas do farishte aate hain, usko bithate hain aur is se puchte hain :
.
1. Tumhara RAB ( mabood ) kon hai?
to woh kehta hai, mera RAB ( mabood ) Allah hai, phir woh dono isse puchte hain :
.
2. tumhara deen kya hai?
woh kehta hai : mera deen islam hai, phir puchte hain:.
.
3. Wo shakhs kaun hain jo tumhari taraf bheje gaye they ? woh kehta hai : wo Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam hain,Phir woh dono is se kehte hain :
.
4. tumhe ye kahan se maloom hua? wo kehta hai.: maine Allah ki kitaab padhi aur is par imaan laya aur is ko sach samjha.
Sunan Abu Dawud, Jild 3, Hadith-1325-(Sahih)
Is tarah Qabar ke sawalaat ke jawabaat se kamyabi hogi aur azaab e Qabar se nizaat milegi
Yeh sahi jawabaat usi ko nasheeb honge jisne Duniya ki jindagi me khalish ISLAM per Amal kiya ho or SHIRK naa kiya ho kyoki Allah ka farmaan hai Quran me SHIRK KARNEWALE PAR JANNAT HARAAM HAI
Al Quran , Surah Al-Ma'idah ,  Ayat - 72
........ ؕ اِنَّهٗ مَنْ يُّشْرِكْ بِاللّٰهِ فَقَدْ حَرَّمَ اللّٰهُ عَلَيْهِ الْجَـنَّةَ وَمَاْوٰٮهُ النَّارُ‌ ؕ وَمَا لِلظّٰلِمِيْنَ مِنْ اَنْصَارٍ
..........، یقین مانو کہ جو شخص اللہ کے ساتھ شریک کرتا ہے اللہ تعالیٰ نے اس پر جنت حرام کر دی ہے، اس کا ٹھکانہ جہنم ہی ہے اور گنہگاروں کی مدد کرنے واﻻ کوئی نہیں ہوگا(72)
Yaqeenan maano keh jo shakhs Allah ke sath sharik karta hai Allah Ta'ala ne is per JANNAT HARAAM kar di hai , uska thikaana JAHANNAM HAI aur GUNAHGAARON ki madad karnewala koi nahi hoga (72)
Sahih Muslim jild -1
Bab - Qufr ki Haalat me marnewale shakhs ko uska koi Amal kaam na ayegaa
Hadith No - 518
Imamul mominin Hazrat Aisha ra. ne kaha Yaa Rasoollallah- zud'Aan ka beta jaahiliyat ke zamaana me NATEN jorta tha ( yaani Naaten walo ke saath saluk karta tha ) Aur meeshkino ko khana khilata tha kyaa yeh kaam isko faidah denge ( Qayamat ke din) Aapne farmaya ki kuchh faidah Na denge- isne Kabhi yun Na kaha ke Ay Parwardeegar mere gunaahon ko bakhsh de Qayamat ke din !
 jisne kufr kiya aur Taubah na ki to uska koi Nek Amal kaam na ayega !
Aisi surat me azaab e Qabar kayamat tk hota rahega -
Iske baad ROZE MEHSHAR ayega to waha sab ke sab jama honge - Har ek Apne Apne Amal ke mutabiq shaza wa zaza'a payega -
log ye sochte hai ki mera peer, wali mera sifarish karenge to Quran ka farmaan bhi jaan len !
Surah AZ-Zumar, Ayat -3
اَلَا لِلّٰهِ الدِّيْنُ الْخَالِصُ‌  ؕ وَالَّذِيْنَ اتَّخَذُوْا مِنْ دُوْنِهٖۤ اَوْلِيَآءَ‌ ۘ مَا نَعْبُدُهُمْ اِلَّا لِيُقَرِّبُوْنَاۤ اِلَى اللّٰهِ زُلْفٰى  ؕ اِنَّ اللّٰهَ يَحْكُمُ بَيْنَهُمْ فِىْ مَا هُمْ فِيْهِ يَخْتَلِفُوْنَ ؕ اِنَّ اللّٰهَ لَا يَهْدِىْ مَنْ هُوَ كٰذِبٌ كَفَّارٌ
خبردار! اللہ تعالیٰ ہی کے لئے خالص عبادت کرنا ہے اور جن لوگوں نے اس کے سوا اولیا بنا رکھے ہیں (اور کہتے ہیں) کہ ہم ان کی عبادت صرف اس لئے کرتے ہیں کہ یہ (بزرگ) اللہ کی نزدیکی کے مرتبہ تک ہماری رسائی کرا دیں، یہ لوگ جس بارے میں اختلاف کر رہے ہیں اس کا (سچا) فیصلہ اللہ (خود) کرے گا۔ جھوٹے اور ناشکرے (لوگوں) کو اللہ تعالیٰ راه نہیں دکھاتا(3)
khabardar ! ALLAH ta'ala hi ke liye khalis ibaadat karna hai aur jin logo ne iske siwa Auliya bana rakhe hai ( aur kahte hai ke ) Ham unki ibaadat isliye karte hai ke yah (bujurg) Allah ki nazdiki ke martabah tak hamari risaayee kara den , yah log jin ke baare me ikhtalaf kar rahe hai uska faislah Allah karega - jhute aur nashukre ko Allah ta'ala Raah nahi dekhata (3)
WASEELA KA ZIKR QURAN ME⤵
Surah Al- Israa / Bani israil , Ayat - 57
اُولٰۤٮِٕكَ  الَّذِيْنَ يَدْعُوْنَ يَبْتَغُوْنَ اِلٰى رَبِّهِمُ الْوَسِيْلَةَ اَيُّهُمْ اَقْرَبُ وَيَرْجُوْنَ  رَحْمَتَهٗ وَيَخَافُوْنَ عَذَابَهٗؕ اِنَّ عَذَابَ رَبِّكَ كَانَ مَحْذُوْرًا
جنہیں یہ لوگ پکارتے ہیں خود وه اپنے رب کے تقرب کی جستجو میں رہتے ہیں کہ ان میں سے کون زیاده نزدیک ہوجائے وه خود اس کی رحمت کی امید رکھتے اور اس کے عذاب سے خوفزده رہتے ہیں، (بات بھی یہی ہے) کہ تیرے رب کا عذاب ڈرنے کی چیز ہی ہے(57)
Jinhe yeh Log ibaadat karte hai Khud wah Apne RAB ki takarrub ( waseela ) ki  jushtaju me rahte hai ke unme se kaun jyada nazdik ho jaaye wah khud uski rahmat ki ummid rakhte aur uske azaab se khaufzadah rahte hai, tere RAB ka azaab darne ki chiz hai (57)
Jin bujurgo ki ye waseela lagate hai unke baare me Allah ka farmaan hai ki wo khud Allah ki takarrub (nazdiki ) ke jushtazu me rahte hai, 
to fir wo Apne logo ki kya shifarish kar sakte hai ! Us Waqt koi kisi ke kaam nahi ayega , albatta A'mal-shaleh (Quran Hadith ) nizaat ka jariya hoga !
Surah Al-Ma'idah , Ayat no- 35
بِسْمِ اللّٰہ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیۡمِ
يٰۤاَيُّهَا الَّذِيْنَ اٰمَنُوا اتَّقُوا اللّٰهَ وَابْتَغُوْۤا اِلَيْهِ الْوَسِيْلَةَ وَجَاهِدُوْا فِىْ سَبِيْلِهٖ لَعَلَّـكُمْ تُفْلِحُوْنَ
اے ایمان والو اللہ تعالیٰ سے ڈرتے رہو اور اس کا قرب تلاش کرو اور اس کی راه میں جہاد کرو تاکہ تمہارا بھلا ہو(35)
tarjuma- (Kanjul imaan ) Ay Imaan walo Allah se daro aur uski taraf waseela dhundho aur uski raah me jihaad karo is umeed par ki falaah pawo !
Tarjuma-( juna garhi ) Ay imaan walo Allah Ta'ala se darte raho aur uska Qurb talaash karo aur uski raah me jihaad karo ta'key tumhara bhala ho !(35)
➡HADITH
Irshad e Nabuwi hai -Allah Rasoolullah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм roze mah'sher me Apne Hauz'e Kausher per sab se pahle pahuchunga jo mere paas se gujrega woh us Hauz ka paani piyega - aur jis ne pee liya woh kabhi pyaasa na hoga -
Kuchh log mere pas ayenge jinko mai pahchanta hunga or woh bhi mujhe pahchante honge , unko mere paas ane se rok diya jayega ( farishtey rokenge)
may kahunga yeh log mere ummati hai ! 
To mujhe kaha jayega " Aap nahi jantey ke Aapke baad in logo ne kya kya  nayee nayee baatey Deen me nikala tha "
To mai kahunga " Duri ho Duri ho - yani aise logo ko mai Apne paas se dhutkaar dunga " ( Bukhari , Muslim )
or ek Dusri rawayat ka khulasa yeh hai ke Hashr ke roz tamam log milkar Hajrat Aadam alaihissalam ke paas Hajir hokar kahenge keh "Aap Allah ta'ala ke paas hamaari shif'arish kijye - woh kahenge keh " mai Allah ta'ala ke samne jane se darta hu '"  tumhari shif'arish karne ko tayyar nahi hu "
Tum sab fala'n fala'n ke paas jawo - to fir tamam log Hajrat Nowh , Hajrat Ibrahim wa Hajrat mosa'a , Hajrat isa'a alaihissalam ke pas jayenge , woh sab ke sab yahi kahenge keh Allah ta'ala ke samne jane se darte hai or Ham is layk nahi hai ki tumhari shifa'rish kren -
tum sab Rasoolullah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм
Ke paas jaawo -
chunanche aakhir me sab Rasoolullah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ke paas Hajir honge to Aap shifa'arish karne par amaada hokar dobaara khudawandi ke mukaam mahmuud me sazdah rezz honge aur Duwa karenge -
Allah ki izajat se shafa'at kar ke jannat me pahucha yenge ( Bukhari)
 Jo logo ka ye gumaan hai ki unke peer , wali ,  bujurg,  un ka shifa'rish krenge to ye gaur kren ke jab Allah ta'ala ke makh'sush paighmbro me se kisi ko shifa'arish ka akhtiyar nahi to fir Allah ke kis bande me ye akhtiyaar hoga!
➡SHIFARISH KA IKHTIYAAR SIRF Rasoolullah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ko hai !
Surah Al-Israa/Bani Israel , Ayat - 79
وَمِنَ الَّيْلِ فَتَهَجَّدْ بِهٖ نَافِلَةً لَّكَ ‌ۖ عَسٰۤى اَنْ يَّبْعَـثَكَ رَبُّكَ مَقَامًا مَّحْمُوْدًا
رات کے کچھ حصے میں تہجد کی نماز میں قرآن کی تلاوت کریں یہ زیادتی آپ کے لئے ہے عنقریب آپ کا رب آپ کو مقام محمود میں کھڑا کرے گا(79)
Raat ke kuchh hisse me Tahajjud ki namaaz men Quran ki talawat karen yeh jyadati Aapke liye hai Ankareeb Apka Rab Aapko mukaam e Mahmoud me khada karega (79)
 Surah An- Nisa , Ayat -64
وَمَاۤ اَرْسَلْنَا مِنْ رَّسُوْلٍ اِلَّا لِـيُـطَاعَ بِاِذْنِ اللّٰهِ ‌ؕ وَلَوْ اَنَّهُمْ اِذْ ظَّلَمُوْۤا اَنْفُسَهُمْ جَآءُوْكَ فَاسْتَغْفَرُوا اللّٰهَ وَاسْتَغْفَرَ لَـهُمُ الرَّسُوْلُ لَوَجَدُوا اللّٰهَ تَوَّابًا رَّحِيْمًا
ہم نے ہر رسول کو صرف اسی لئے بھیجا کہ اللہ تعالیٰ کے حکم سے اس کی فرمانبرداری کی جائے اور اگر یہ لوگ جب انہوں نے اپنی جانوں پر ﻇلم کیا تھا، تیرے پاس آ جاتے اور اللہ تعالیٰ سے استغفار کرتے اور رسول بھی ان کے لئے استغفار کرتے، تو یقیناً یہ لوگ اللہ تعالیٰ کو معاف کرنے واﻻ مہربان پاتے(64)
(Kanjul Imaan ) Aur Hamne koi Rasool na bheja magar isliye ke Allah ki Huqm se uski ita'at ki jaye , aur agar woh Apni jaano par julm karen to Ay mahboob tumhare huzur Haazir ho aur fir Allah se maafi chahen aur Rasool unki shifa'at farmaye to jarur Allah ko bahut Taubah Qubool karne wala meharbaan paayen (64)
Hajrat Zabir bin Abdullah ra. se Riwayat hai Rasoolullah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya : jo shakhs Azaan sunte Waqt yah Duwa padhe [ Allahumma ..........]  - Ay Allah is kaamil pukaar aur Qaayam honewali namaaz ke RAB , Hajrat Mohammad ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ko waseela or bujurgi at'a farma aur unhe is mukaam par pahuchaa jiska tune unse wa'dah kiyaa hai- to use Qayamat ke din meri Shafa'at nasheeb hogi !
 Sahih Bukhari - jild 1
Bab- 8 Azaan ke waqt Duwa padhana !
Hadith no- 614
 Waseela ke muttallik khud Rasoolullah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ka farman hai : yeh (waseela) jannat me ek Darje ka naam hai jo Allah ke Bandonme se sirf ek Bande ke layek hai , aur mujhe ummid hai keh wah bandah mai hi hun - jisne mere liye Allah ta'ala se waseele ki Duwa ki uske liye meri shafa'at waajeeb hogi -
Sahih Muslim Assalaat Hadith No- 849(384)
JO SHAKHS BUJURGO KE CHAKKER ME RAHEGA USKA HASHAR
Al Qur'an , surah Bakrah , Ayat - 167
ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
وَقَالَ الَّذِيْنَ اتَّبَعُوْا لَوْ اَنَّ لَنَا كَرَّةً فَنَتَبَرَّاَ مِنْهُمْ كَمَا تَبَرَّءُوْا مِنَّا ؕ كَذٰلِكَ يُرِيْهِمُ اللّٰهُ اَعْمَالَهُمْ حَسَرٰتٍ عَلَيْهِمْؕ وَمَا هُمْ بِخٰرِجِيْنَ مِنَ النَّارِ
اور تابعدار لوگ کہنے لگیں گے، کاش ہم دنیا کی طرف دوباره جائیں تو ہم بھی ان سے ایسے ہی بیزار ہوجائیں جیسے یہ ہم سے ہیں، اسی طرح اللہ تعالیٰ انہیں ان کے اعمال دکھائے گا ان کو حسرت دﻻنے کو، یہ ہرگز جہنم سے نہ نکلیں گے(167)
Aur taabedar log kahne lagenge , kash ham duniya ki taraf dobaarah jayen to ham bhi un se aisey hi bedaar ho jayen jaise yah ham se hai , is tarah Allah ta'ala unhe unke Aamaal dikhayega un ko hasrat dilane ko , yah hargiz jahannum se na niklenge (167)
Quran me Allah ta'ala ka farmaan hai :
ki jab unke wali peer unse muh fer lenge to wo Hashrat krenge ki ham fir se dobara duniya me jaate or ham bi unse muh fer lete jaise yaha wo ham se hai , fir Allah ta'ala unko unke amaal ke badle me jahannam me dal dega or hamesha jahannam me rahenge !!
-------------------
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS