find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Jannati Aurat Aur Dozakhi Aurat Ka Misaal.

   ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ*
   
✦ Jannati aur Dozakhi Aurat ki misal
----------
✦ Abu Hurairah Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ ke samne ek shaksh ne ek aurat ka zikr kiya ki Ya Rasool-Allah ﷺ falah aurat raat ko qayam karti hai aur din ko roza rakhti hai aur (ghar ka) kaam bhi karti hai aur sadqa bhi deti hai lekin apni zuban se padosiyo ko takleef deti hai to Aap ﷺ ne farmaya usmein koi khair nahi wo dozakh walon mein se hai.
Phir us shakhs ne dusri aurat ke bare mein kaha ki falah aurat sirf farz namazein padhti hai aur (paneer ke tukde) sadqa karti hai lekin apni zuban se kisi bhi shakhs ko takleef nahi pahuchati to Rasool-Allah ﷺ ne faraya ye jannat walo mein se hai
Al-Silsila As-Sahiha - 449
Masnad Ahmed 2/440 -Sahih
Hadith: Momeen Apne Aala Akhlaq se sare din ke rozedar aur sari raat ke tahajudguzar ka darja hasil kar leta hai
-----------
✦ Aisha radi Allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya momeen Apne aala akhlaq se sare din ke rozedar aur sari raat ke tahajudguzar ka darja hasil kar leta hai
Sunan Abu dawud, Jild 3, 1370-sahih
✦ Abu Darda radi Allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Meezan e aamal mein achche Akhlaq se bhari koi cheez nahi
Sunan Abu dawud, Jild 3, 1371-sahih
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya main us shakhs ke liye aala Jannat mein ek ghar ki zamanat deta hu jiska akhlaq aala (bahut achcha) ho
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1372-Hasan
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alalhi wasallam ne farmaya Imaan ke aitbar se Kamil Momeen wo hain jinke Akhlaq behatreen hain
Sunan Abu Dawud, Jild 3 ,1257-Sahih
     ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo*
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
  JazakAllah  Khaira Kaseera
   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS