🌹Ramazan k Akhri Ashre mai zyada se zyada ibadat🌹
Hadees : Ummul momineen Hazrath *Ayesha Siddiqa (Raziallahu anha* ne farmaya) :
*HUZOOR NABI KAREEM (Sallallahu alahi wasaalam*) Aakhir ashre me ibadat ka itna zyada ehtemaam farmate jo dusre mauqe par nahi farmate..
(--Sahih Muslim, hadith no : 2845)
❣ *LAILATUL QADR* (Shab e Qadr)❣
Part2⃣
*۞ Lailatul qadr me ki jane wali ibadat*
*۩ Lailatul Qadr me ibadat guzishta gunaho ki magfirat ka baaes hai:*
Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya “Jisne Lailatul Qadr mein Imaan ke saath Sawaab ki Niyyat se Qiyaam kiya, Uske Guzishta Gunah Muaaf kardiye Jaate hai”
Sahih al-Bukhari, hadith 2014.
Lailatul Qadr me saari neki ya ibadat ham karte hai us me se behtreen hai Taweel qayam. Lekin jo ye na kar sake wo baith kar zikr aur azkaar kare.
*۩ Lailatul Qadr me ki jane wali dua:*
Hazrat Aisha r.a. se riwayat hai, maine pucha ya RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм agar mai Lailatul Qadr palu to kaun si dua padhu. Nabi ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, Kaho,” Ya Allah tu Muaf farmane wala hai, muaf karna pasand karta hai, Lihaza mujhe muaf farma”.
Dua in arabic:
” اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي “
Dua in Roman English:
‘Allahumma innaka ‘afuwwun tuhibbul-‘afwa, fa’fu ‘anni ‘
Sunan Ibn Majah, hadith-3850.( Sahih)
* ۩ Quran Padhna*
Hajrat Abdullah bin Abbas r.a. farmate hai, “RasoolALlah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм logo ke sath bhalai karne me boht sakhi the lekin Ramzaan me jab Hajrat jibreel a.s. ap se milte to ap aur bhi zyada sakhi ho jate. Ramzaan me jibreel a.s. har raat apse mila karte aur Nabi ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ramzaan guzarne tak unhe Quran majeed sunate the. Jab jibreel a.s. apse milte to apki sakhawat tez hawao se zyada badh jati.
Sahih al-Bukhari, hadith- 3554.
*۞ Haiza aurto ki Lailatul Qadr me ibadat:*
Haiza aurte saari ibadat kar sakti hai siwae namaaz, roza, Tawaf e Kaba, aur Itikaaf baithne ke. In char chizo ko chor kar Haiza aurte saari ibadate kar sakti hai.
Hazrat Ayesha r.a. farmati hai ki ek hajj me mai haiza ho gai, toh RasoolALlah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, “Baitullah ke tawaf ke alawa baaki har wo kaam karo jo haji karta hai.
Sahih al-Bukhari, hadith- 293.
Umm Atiyya r.a. farmati hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Haiz wali aurto ko bhi Eid ke roz Eidgah jane ka hukm diya taaki wo logo ke takbiro ke sath takbire kahe aur un ki duae ke sath duae kare lekin namaz na padhe.
Sahih al Bukhari, hadith- 324.
*۞ Lailatul Qadr ki nishania:*
1. Jis raat lailatul Qadr hoga us ke agle din suraj bina kiran(rays) ke niklega. [Sahih Muslim, hadith-2633]
2. Jis raat lailatul Qadr hoga us raat ko chand ek plate ke piece ke tarha niklega. [Sahih Muslim, hadith-2635]
3. Lailatul Qadr ki raat ko na zyada garmi hogi aur na zyada thandi hogi lekin wo shakhawat ki raat hogi aur agle subah suraj kamzor aur laal rang ka niklega(rise). [Tabrani, Ibn Khuzaima].
4. Laitalul Qadr wale din ko ya Raat ko barish ho sakti hai. [Sahih Muslim, Hadith 2631].
No comments:
Post a Comment