Jisne Hamko Paida kiya hame usi ki Ibadat karna chahiye.
Aaj insan Murtiyu ki, Dargah ki, Awliya ki, Ma-Baap ki ,Buzrugo ki aur Peer-Murshid ki ibadat kar raha hai. Kya in logo ne hame paida kiya hai? Agar nahi kiya to ye log hamare Ibadat ke Haqdar bhi nahi hai.
◼Fir hamare Ibadat ka asal Haqdar kaun hai? Hamare Ibadato ka asal Haqdar Allah Sub'han Wa Ta'ala hai jisne saare Insano ko paida. Ma-Baap to sirf hamare paida hone ka zariya hai.
◼Jaisa ke Allah ne khud is bat ka Elan kiya ke:
يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ ٱعْبُدُوا۟ رَبَّكُمُ ٱلَّذِى خَلَقَكُمْ وَٱلَّذِينَ مِن قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ
*"Aaye Logo! apne is Rab ki ibaadat karo jisne tumhe aur tum se pahle ke logo ko paida kiya, taake tumhaara (jahannam se) bachao ho."
(Al Qur'an, Surah 2, Baqrah : Ayat 21)
◼Aur ek dusri jagah Allah ne Jinn wa Insan ki Paidaeesh ka Maqsad wazeh kiya hai, jaisa ke :
وَمَا خَلَقْتُ ٱلْجِنَّ وَٱلْإِنسَ إِلَّا لِيَعْبُدُونِ
*"Maine Jinn aur Insaano ko sirf isiliye paida kiya hai ke wo sirf Meri ibaadat karen"
(Al Qur'an, Surah 51, Zariyat : Ayat 56)
No comments:
Post a Comment