find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Shab-E-Barat Mnana Sunnat ya Biddat (Part 4)

"SHAB-E-BARAAT" manana Sunnat ya Biddat

Part-4
Rasoolullah ko OVERTAKE karnewalo ka ANJAAM:
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ لَا تُقَدِّمُوا۟ بَيْنَ يَدَىِ ٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ ۖ وَٱتَّقُوا۟ ٱللَّهَ ۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَمِيعٌ عَلِيمٌۭ
_"Aye Imaan waale logo! Allah aur uske Rasool ke aage na bado aur Allah se darte raha karo, yaqinan Allah ta'ala sunne waala jaanne waala hai"._
(Surah 49 Hujuraat : Ayat 01)*
2.
: قُلْ أَطِيعُوا۟ ٱللَّهَ وَٱلرَّسُولَ ۖ فَإِن تَوَلَّوْا۟ فَإِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ ٱلْكَٰفِرِينَ
_"(Aye Rasool) kahe dijiye! ke Allah ta'ala aur Rasool ki ita'at (farmadari) karo agar ye muh pher le to beshak Allah ta'ala kaafiro se muhabbat nahi karta"._
*(Surah 03 Ale Imran : Ayat 32)*
3.
وَمَن يُشَاقِقِ ٱلرَّسُولَ مِنۢ بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُ ٱلْهُدَىٰ وَيَتَّبِعْ غَيْرَ سَبِيلِ ٱلْمُؤْمِنِينَ نُوَلِّهِۦ مَا تَوَلَّىوَنُصْلِهِۦ جَهَنَّمَ ۖ وَسَآءَتْ مَصِيرًا
_"Jo shakhs ba-wajoodh Raah hidaayat ke waazeh ho jaane ke bhi Rasool ke khilaaf kare aur tamaam Momino ki Raah chhod kar chale, hum use udhar hi mutawajje kar denge jidhar wo khud mutawajje ho aur JAHANNAM mein daal denge,wo pahonchne ki bahuth hee buri jagah hai."_
*(Surah 04 Nisaa’a : Ayat 115)*
4.
: يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ لَا تَرْفَعُوٓا۟ أَصْوَٰتَكُمْ فَوْقَ صَوْتِ ٱلنَّبِىِّ وَلَا تَجْهَرُوا۟ لَهُۥ بِٱلْقَوْلِ كَجَهْرِ بَعْضِكُمْ لِبَعْضٍ أَن تَحْبَطَ أَعْمَٰلُكُمْ وَأَنتُمْ لَا تَشْعُرُون
_"Aye Imaan waalo! apni awaaze Nabi ki awaaz se upar na karo aur na unse oonchi awaaz se baath karo, jaise aapas me ek dusre se karte ho, kahi (aisa na ho ke) tumhaare amaal akaarat jaaye aur tumhe qabar bhi na ho"._
*(Surah 49 Hujuraat : Ayat 02)*
* Khulasa:*
"15wi Shaaban" ki Raat ki Fazilat to sahih Hadees se sabit hai lekin is raat sawab ki niyyat se saari raat ibaadatein karna biddat hai kyunki is Raat ki fazilat ke baawood Rasoolullah ne kisi Sahih Hadees me is Ummat ko is raat khaas ibaadatein karne ka hukm nahi diya._
Ham sab jante hai ke Rasoolullah Ramadhan me "Layl-tul Qadr" ko paane ke liye apne Biwiyo ko pure 10 raatein jagaate aur ibadaatein karne ka hukm dete lekin "15 Shaaban" ki raat ko apne aisa nahi kiya warna Ayesha (R) isi Hadees me ya kisi aur dusri Hadees me kaheti ke Rasoolullah HAR SAAL "15wi Shabaan ki Raat" ko Qabarstan jaaye karte the aur hamko ibaadat ke liye uthaate the. Samajdaar ko ishara kaafi hai.
*Allah Se dua hai hum Musalmano ko Sahi Hadees per Amal kerne ki Taufeek ata kare or Shir or biddat se mahfooz rakhe.    Aameen

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS