find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Allah Ke Nabi Par Jab Yahoodiyon Ne Jadu Kar Diya Tha.

Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne kaha ke
Nabi  ko Bani Zuraiq ke yahodiyon me se Labid bin A’sam naami ek yahodi ne jaadu kardiya,to Aap ko aisa lagta ke Aap koch kar rahe hain jabke Aap koch bhi nahi kar rahe hote the,yahi surat haal thi ke ek din ya ek raat Aap (ﷺ) ne dua farmayi,phir dua farmayi aur phir dua farmayi,phir kaha: Ayesha (raziyallahu anha) Kya tumeh maloom hai ke Allah ta ala ne muhje wo baat bata di jo maine us se puuchi thi,mere paas do shaksh aaye,ek mere sarhane (sar ke paas) aur dosra paitane (pairon ke paas) baith gaya,sarhane wale ne paitane wale se kaha,ya paitane wale ne sarhane wale se kaha: is shaksh ko kya biimari hai?dosre ne kaha: is par jaadu kiya gaya hai,usne sawaal kiya: kis ne jaadu kiya hai? Dosre ne jawaab diya: Labid bin A’sam ne,usne puucha: kis cheez me jaadu kiya hai? Jawaab diya: kanghi me aur unke balon me jo kanghi karte waqt girte hain,aur nar (male) khajoor ke khose ke gilaaf me,pehle ne puucha: ye cheezen kaha hain? Dosre ne jawaab diya: Dhu Arwan ke kunwen me - ummulmonineen Ayesha raziyallahu anha kehti hain ke Nabi (ﷺ) apne chand (koch) sahaba ke saath us kunwen par tashriif laye, phir wapis aaye to farmaya: Aye Ayesha! Allah ta ala ki qasam! Uska pani mehndi ke pani ki tarah (rangeen) tha, aur waha ke khajoor ke darakht goya shetaan ke sar the - ummulmonineen Ayesha raziyallahu anha kehti hain ke maine kaha: Allah ke Rasool! Kya aap ne ose jalaya nahi? Farmya: nahi, muhje to Allah ta ala ne tan durust kardiya hai, ab mai ne na pasañd kiya ke mai logo par iske shar (burai) ko paihlaun,phir Aap (ﷺ) ne hukm diya to wo sab cheezen dafan kardi gai.

English
It was narrated that ‘Aishah said:
“A Jew from among the Jews of Bani Zuraiq, whose name was Labid bin A’sam, cast a spell on the Prophet (ﷺ), and the Prophet (ﷺ) began to imagine that he had done something when he had not. One day, or one night, the Messenger of Allah (ﷺ) supplicated, and then supplicated again. Then he said: ‘O ‘Aishah, do you know that Allah has instructed me concerning the matter I asked Him about? Two men came to me, and one of them sat at my head and the other at my feet. The one at my head said to the one at my feet, or the one at my feet said to the one at my head "what is ailing this man ?" He said: “He has been affected by a spell.” He said: “Who cast the spell on him?” He said: “Labid bin A’sam.” He said: “With what?” He said: “With a comb and the hairs stuck to it, and the spathe of a male date palm.” He said: “Where is that?” He said: “In the well of Dhu Arwan.” She said: “So the Prophet (ﷺ) went to it, with a group of his Companions, then he came and said: ‘By Allah. O ‘Aishah. It was as if its water was infused with henna and its date palms were like the heads of devils.’” She said: “I said: ‘O Messenger of Allah, why don’t you burn them?’ He said: ‘As for me, Allah has healed me, and I do not like to let evil spread among the people.’ Then he issued orders that the well be filled up with earth.”
Grade: Sahih (Darussalam)
[ Sunan Ibn Majah: 3545 ]
--------------------------------------------

Share:

4 comments:

  1. Musalman ka sabse bada dushman agar koi hai to wah Yahudi hai aur bahut jald hi Nasaraniyo ko paoge

    ReplyDelete
  2. Yah log shuru se hi Musalmano ke khilaf sajish karte aaye hai, magar Haqur par rahne wala Kabhi shikasht nahi khata.

    ReplyDelete
  3. Ya Allah israel ko tabah o barbad kar de, Masjid e aksaa ko aazad kara, Palestinian ki madad frma. Aameen

    ReplyDelete
  4. Ya Allah Destroye Israel, USA,uk,Nato,EU,France

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS