find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Tanhai me Gunah karne walon ka Qayamat ke din kaisa Anjam hoga?

Tanhai me Gunah karne ka anjam.
Tanhaai Me Gunah Karne Walon Ka Qayamat  Ke Din Anjaam*
---------------------------
👉 *Ye hoga ki Allah unke Amal ko fiza me udte hue zarre ki tarah bana dega,*.
--------------------------------------------------
👉Nabiﷺ ne farmaya : Main apni ummat me se aise logon ko janta hun jo *qayamat ke din tahamah ke pahadon (पहाड़ो) ke barabar nekiyan lekar ayenge, Allah Ta'ala unko fiza me udte hue zarre ki tarah bana dega*, Sawban Radiallahu anhu ne arz kiya : Allah ke Rasool!! Un logon ka haal hamse bayan farmayen aur khol kar bayan farmayen take la-ilmi aur jihalat ki wajah se ham un me se na ho jayen, Aap ﷺ ne farmaya : Jaan lo ke wo tumhare bhaiyon me se hi hain, aur tumhari qaum me se hain, wo bhi raaton ko usi tarah ibadat karenge, jaise tum ibadat karte ho lekin wo aise log hain ke jab tanhaai me honge to haram kamo ka irtekaab karenge.( transgress tha sacred limits of Allah.)
📚 *[ Ibn Majah : 4245]
( *हर बात दलील के साथ)*

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS