Jume ke din Ek aisa waqt hai jisme Dua karne se Jarur qubool hoti hai.
*Bismillahirrahmanirrahim*
Mafhum-e-Hadith: juma ke din ek khas waqt hota jab jo bhi khair ki dua maango qubul hoti.
-----------------
*✦ Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Abu Al-Qasim (Yani Rasool-Allah) Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya , juma mein ek ghadi aisee aati hai ki jo bhi musalman us waqt khada namaz padhe aur Allah se koi khair maange to Allah usko zarur dega.
Sahih Bukhari, Jild 6, 5294
*✦ Jabir Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya juma ke din mein 12 ghadiyan hain jisme (ek ghadi aisee hai ki) koi momeen banda Allah subhanahu se kuch mange to Allah usko zarur ata farmate hai, tum log usko asar ke baad aakhri waqt mein talas karo*
Sunan Nasaii, Vol 1,1392-Sahih
*✦ Anas bin malik Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Juma ke din (dua qubul hone ki) wo mubarak ghadi ko Asar aur gurub e aaftab (yani magrab ) ke darmiyan talash karo*
Jamia Tirmidhi , Jild 1, 471-Sahih
*Jumma Khutba e Masnuna
Hazrat Ibn Abbas raziyallahu anhuma ne kaha ke :*
Nabi (ﷺ) ne (khutbe me) farmaya :*
*الْحَمْدُ لِلَّهِ نَحْمَدُهُ وَنَسْتَعِينُهُ، وَنَعُوذُ بِاللَّهِ مِنْ شُرُورِ أَنْفُسِنَا، وَمِنْ سَيِّئَاتِ أَعْمَالِنَا، مَنْ يَهْدِهِ اللَّهُ فَلَا مُضِلَّ لَهُ، وَمَنْ يُضْلِلْ فَلَا هَادِيَ لَهُ، وَأَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ، وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ أَمَّا بَعْدُ .
*Beshak tamaam tarifen Allah ke liye hain, ham usi ki tariif bayaan karte hain, ham usi se madad talab karte hain, usi se magfirat chahate hain, aur ham apne nafson ki shararaton, aur apne aamaal ki buraiyon se Allah ki panaah chahate hain, Allah jise raah dikhaye use koyi gumrah nahi kar sakta, aur jise gumrah kar de use koyi raah nahi dikha sakta, aur mai is baat ki gawaahi deta hon ke Allah ke ilawah koyi mabood e barhaq nahi, wo tanha (akela) hai, uska koyi saajhi (shariik) nahi aur mai is baat ki gawaahi deta hon ke Muhammad (ﷺ) uske bañde aur Rasool hain -
*[ Sunan Ibn Majah: 1893 ]*
Musalman bhaiyon se gujarish hai jume ke din Jarur dua kare, Allah hamari dua jarur qubool karega. Allah Hame Zalim hukaram se Nijat dila, Hamari ibadatgahon ki hifajat farma, Hame Kafiron aur Mushriqo ki Buraiyo se Bacha, Ya Allah Ummat-E-Muslema Ko fahashi aur Zina se Bacha, Musalmano ke dilo me apne bhaiyon ke liye Muhabbat raushan kar. Aamin summa aamin
Agar Sacche dil se dua kijaye aur Niyat saf ho to Dua jarur Qubool hogi. In Sha Allah
ReplyDelete