find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Safer Me Roza Rakhne Ke Masail.

Safer ke Dauran Ya Bimari me Roza Rakhna.
حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ نُمَيْرٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ هِشَامِ بْنِ عُرْوَةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِيهِ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَائِشَةَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَتْ:‏‏‏‏ سَأَلَ حَمْزَةُ الْأَسْلَمِيُّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏فَقَالَ:‏‏‏‏ إِنِّي أَصُومُ أَفَأَصُومُ فِي السَّفَرِ؟، ‏‏‏‏‏‏فَقَالَ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏  إِنْ شِئْتَ فَصُمْ، ‏‏‏‏‏‏وَإِنْ شِئْتَ فَأَفْطِرْ .

हमज़ा असलमी रज़ि अल्लाह अन्हु ने रसूल अल्लाह ﷺ से पूछा: मैं रोज़ा रखता हूँ तो क्या मैं सफ़र मैं भी रोज़ा रखू? तो आप ﷺ ने फ़रमाया: अगर चाहो तो रखो, और चाहो तो ना रखो।

Hamza Aslami razi Allah anho ne rasool Allah ﷺ se poocha: main roza rakhta hon to kya main safar mein bhi roza rakhu? to aap ﷺ ne farmaya: agar chaho to rakho, aur chaho to nah rakho.

حمزہ اسلمی رضی اللہ عنہ نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے پوچھا: میں روزہ رکھتا ہوں تو کیا میں سفر میں بھی روزہ رکھوں؟ تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اگر چاہو تو رکھو، اور چاہو تو نہ رکھو ۔

“Hamzah Al-Aslami ra asked the Messenger of Allah (ﷺ): ‘I am fasting, should I fast while traveling?’ The Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘you may fast if you wish, and you may not fast if you wish".

wazahat:* pata chal ki safar mein roze naa rakhna ya chhod dena jayez hai, khwah woh roza rakhne ki taaqat rakhta ho ya nahi, roza rakhna iske liye asaan ho ya mushkil, ( yani agarche safar asaan ho aur saari sahulaten mayassar hon ) agarche saaye aur pani mein safar kar raha ho, iske sath khadim bhi ho, phir bhi iske liye roza chhorna aur qasr karna jayez hai haan agar in sab ke bawajood agar koi dauran e safar mein roza rakhna chahe to rakh sakta hai, safar ke dauraan chhute hue roze ki ginti ramadan baad dusre dino mein pura karna chahiye, jaisa ke Allah Subhanahu Tala ne Quran mein farmaya ...jo beemar ho ya musafir ho ussay dusray dinon mein yeh ginti poori karni chahaiye Allah Taala ka irada tumhare sath Aasani ka hai sakhti ka nahi woh chahata hai kay tum ginti poori kar lo aur Allah Taala ki di hui hidayat par uss ki baraiyan bayan karo aur uska shukar karo._ [📖Quran 2:185].
Sunan ibne majah: jild-1, Kitab Al-Siyam 7, hadith no. 1662. Grade: Sahih
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

1 comment:

  1. your post is best but I believe this is best book to understand to
    Roza k masail

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS