find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Allah ke Nabi ki Zindagi me Sabse Mushkil Tareen Din kaun Sa Tha?

Aap ki Zindagi me Sabse Mushkil waqt kaun Sa tha?
Hazrat Aisha ne Ek din Nabi ﷺ se poocha: Aapki zindagi ka mushkil tareen din konsa tha?

Hazrat Aisha RadiAllah anha se riwayat hai, unhone RasoolAllah sallallahu alyhi wasallam se Arz kiya: Aye Allah ke Rasool! Kya Aap par koi Aisa din bhi aaya jo uhad ke din se bhi zyada sakht ho? Aap saw ne farmaya: mujhe tumhaari qoum se bahut takleef pahunchi, jab mai khud ko (taaif me) ibn Abd yalail bin Abd kalaal ke saamne le gaya (yaani usko islam ki dawat di) lekin jo mai chaahta tha, usne meri baat na maani (balke taaif ke logon ne aap par patthar barsaaye jisse aap saw lahu luhaab hogaye), mai gham zada hokar chal para aur qarn sa'alib par pahunch kar hi meri haalat behtar hui (ek riwayat me Aap saw ne farmaya mai woh din kabhi nahi bhool sakta), Maine sar uthaaya to mujhe ek badal nazar aaya, usne mujh par saaya kiya hua tha, Maine dekha to usme Jibraeel Alyhissalm the, unhone mujhe aawaaz dekar kaha: jo kuch aap ne apni qoum se kaha aur unhone jo aapko jawab diya, Allah ne wo sab sun liya, Allha ne pahaadon ka farishta aapki taraf bheja hai, taake aap unn kuffar ke mutalliq jo chahen hukm den, Aap saw ne farmaya: phir mujhe pahaaron ke farishte ne aawaz di aur salam kiya, phir kaha: Aye Muhammad (saw)! Allah ne aapki qoum ki taraf se aapko diya gaya jawab sun liya, Mai pahaadon ka farishta hun, aur mujhe aapke rabb ne aapki taraf bheja hai ke aap mujhe jo chaahen hukm den! Agar aap chaahen to main inn do sanglaakh pahaadon ko utha kar unke upar rakh dun (aur woh halaak ho jaayen) to Nabi saw ne farmaya: (nahi!) Balke mai yeh ummid karta hun ke Allah inke pashton se aisey log nikaale ga jo sirf Allah ki ibadat karenge aur uske saath kisi ko shareek na thaharaaye ge.  (Sahih Muslim: 4653)

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS