find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Islam me Bhi Ek Dusre Se Chhowa Chhat (छूआ-छात) Hai?

Kya Safar ka Mahina ya koi Din ya Koi Tarikh Manhoos (अशुभ) hai?
अंधविश्वास वालो के साथ किस तरह रहे जो दूसरो से छूआ - छात करते हो।
क्या इस्लाम में भी छूआ छात जैसे कोई महीना, कोई दिन, कोई आदमी काला गोरा, अमीर - गरीब, कोई खास समूह या तबका, कोई जानवर या अगर कहीं जाते वक़्त बिल्ली आगे से गुजर जाए या फिर कोई अगर इस तरह की अंधविश्वास को मानता है तो उसके साथ कैसे रहे?
   ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
        السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ
       ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬✒
🌹وَقَالَ عَفَّانُ ، حَدَّثَنَا سَلِيمُ بْنُ حَيَّانَ ، حَدَّثَنَا سَعِيدُ بْنُ مِينَاءَ ، قَالَ : سَمِعْتُ أَبَا هُرَيْرَةَ يَقُولُ ، قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ :    لَا عَدْوَى وَلَا طِيَرَةَ ، وَلَا هَامَةَ وَلَا صَفَرَ ، وَفِرَّ مِنَ الْمَجْذُومِ كَمَا تَفِرُّ مِنَ الْأَسَدِ

🌺नबी करीम ﷺ  ने फ़रमाया कि छूत लगना, बदशगुनी लेना, उल्लू का मनहूस होना, सफर (महीने) का मनहूस होना ये सब लुगवी खयालात (बातें) हैं अलबत्ता जज़ामी (अंधविश्वास) शख्स से ऐसे भागता रह जैसे के शेर से भागता है।

Nabi-E-kareem ﷺ ne farmaya ke chhoot lagna, badshaguni lena, ullu ka manhoos hona aur safar (mahine) ka manhoos hona yeh sab lughwi khayalat (baten) hain Albatta jazami (andhvishwas) shakhs se aise bhagta reh jaise ke sher se bhagta hai.

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ چھوت لگنا، بدشگونی لینا، الو کا منحوس ہونا اور صفر کا منحوس ہونا یہ سب لغو خیالات ہیں البتہ جذامی شخص سے ایسے بھاگتا رہ جیسے کہ شیر سے بھاگتا ہے۔

🌺The Prophet ﷺ said, '(There is) no 'Adwa (no contagious disease is conveyed without Allah's permission). nor is there any bad omen (from birds), nor is there any Hamah, nor is there any bad omen in the month of Safar, and one should run away from the leper as one runs away from a lion.''

wazahat: chhoot chhaat yaani bimari khud se lagti nahi hai, balke ye sab Allah taala ke hukm se aur uski banayi hui takdeer se hoti hai, albatta bimariyon se bachne ke liye Allah taala par tawakkal karte hue asbaab ko apnana mustahab hai, ullu ko din mein dikhayi nahi deta hai, toh woh raat ko nikalta hai, aur aksar viranon mein rehta hai, Arab log isko manhoos jaante the, aur baaz ye samajhte the ke fout logo ki rooh ullu ban kar pukaarti firti hai, jab iska badla le liya jata hai toh woh udd jata hai, Rasool Allah ﷺ ne iss khayal ko baatil (Invalid) qarar diya,
Isi tarah safar ke mahine ko awaam ab tak manhoos jaante hain, safar ke mahine ke pehle 13 din jisme rasool Allah ﷺ bimaar hue the inn ayyaam ko 13 tezi kehte hain, inn mein Auratein koi bada kaam jaise shaadi biyah waghera karne nahi deti, ye sab fizool jehalat behaqiqat baatein hain, safar ka mahina aur baako mahino ki tarah hai, kuch fark nahi. Allah taala ne farmaya _Aur tumhen jo koi museebat phonchti hai, woh tumhare apne haathon kiye hue kamon ki wajeh se phonchti hai, aur woh toh bohot si baaton se darguzar farma deta hai [📖Quran 42:30].

📚 Bukhari sharif: jild 7, kitab Al Tibi 76, hadith no. 5707
     ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo.

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹
   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS