Juma ke Din "2 Azaan" dena kaisa hai?
-------------------------------------------------
Tafseeli Jayza👇👇👇👇
-------------------------------------------------
👉Hazrat Saaib Bin Yazid r.a Se Marwi Hai Ki Nabi e Akram s.a.w, Hazrat Abu Bakar r.a Aur Hazrat Umar r.a Ke Zamane Mein Juma Ki Pehli Adhan Uss Waqt Di Jati Thi jab Imam Khutbe Ke Liyen Mimbar Par Bethte.
Lekin Hazrat Usman r.a Ke Zamane Mein Jab Logon Ki Tadaat Zyada Ho Gayi To Zaura Ki Jagah Ek Aur Adhan Dilwane Lage
📚[Sahi Bukhari Kitabul Juma 912, Abu Dawud 1087]
👉Bukhari rh. Byan Karte Hai Ki Zaura Madina Ke Bazaar Mein Ek Jagah Hai
📚[Bukhari ,912]
👉Maloom Hua Ki Nabi e Karim s.a.w , Hazrat Abu Bakar r.a , Aur Hazrat Umar r.a, Ke Zamane Mein Juma Ke Liye Sirf Ek Adhan Di Jati Thi Lekin Phr Hazrat Usman r.a Ne Logon Ki Tadaat zyada Hone Ki Wajah Se Bazaar Mein Ek Unche Makam Yaani Zaura Par Ek Adhan Aur Badha Di Isliye Ki Taki Logo Ko Asani Se Khabrdar Kiya Ja Sake Aur Sahaba Kiram r.a Ne Phir Isi Ko Ikhtiyar Kar Liya
Yaqinan Agar Aaj Bhi Aisi Soorat Ho To Yeh Amal Muba’h Hoga Lekin Agar Aisa Na Ho To Jesa Ki Aaj Ke Daur Mein Takriban Har Masjid Mein Loud Speaker Maujood Hota Hai Jis Ke zariye Door-Door Ke Ilaqon Tak Aazan Ki Awaaz Pahunchana Koi Masla Nahi Raha Isliyen Aisi Kisi Adhan Ki zaroorat Baaki Nahi Rehti❌
Iss Soorat Mein Pehli Adhan Ka Jawaaz Nikalna Poori Tarha Se Sahi Nahi Iske Alawa Sirf Masjid Mein Dono Adhane, Jaisa Ki Hamare Yaha kuch logo Ka Riwaaj Hai, Hazrat Usman r.a Ki Bhi Sunnat Nahin Isliyen *Agar Ye Sunnat Usmani Par Waqai Agar Amal Karna Chahte Hai To Unhe Chahiye Ki Bazaar Mein Ja kar Kisi Unchi Jagah Ja kar Kisi Unchi Jagah Khade Ho kar Pehli Adhan De* Apne Iss Nazariye Ke Liye un logo Ka Wazahat Ke Liyen Yeh Daleel Paish Karna Ki Meri Aur Hidayat Paye Charo Khalifa Ki Sunnat Ko Lazim Pakdo Bhi Sahi Nahi Kyo Ki In Khalifo Ki Wahi Sunnat Ikhtiyar Ki Ja Sakti Hai Jo Asal Me Nabi e Karim s.a.w Se Sabit Ho
📚[Tohftul Ahwazi 3/69]
Iske Alawa Yeh Dawa Karna, Ki Is Adhan Par Sahaba Ka Ijma’h Khamoshi Hai Taqmil Hone Ko Nahi Pahunchta Kyon Ki Hazrat Ibn e Umar r.a Se Marwi Hai Ki Juma Ke Din Pehli Adhan Kehna Biddat Hai
📚[Ibne Abi Shiba 5437]
Ibne Hajar rh Kehte Hain Iss mein Shak Hai Ki Hazrat Ibne Umar r.a Ne Yeh Bat Ala Sabeelil Inkaar Yaani Tajjub Karte Hue Kahi Ho Ya Iss mein Bhi Shak Hai Ki Unhone Ise Se Yeh Matlab Liya Ho Ki Nabi e Karim s.a.w Ke Zamane Mein Yeh Adhan Nahi Thi Aur Har Aisi Cheez Jo Nabi e Karim s.a.w Ke Zamane Mein Na Ho Uska Naam Biddat Ho.
📚[Fathul Bari 3/55]
Yaad Rahe Ki Hum Ise Biddat Nahi Keh Sakte Kyon Ki Hazrat Usman r.a Ne Yeh Adhan Doosri Namazo Par Qayas Karte Huwme Shuru Ki Thi, Woh Is Tarhan Ki Kisi Bhi Namaz Ke Liye Adhan Isliye Di Jati Hai Taaki Logo Ko Namaz Ke Waqt Se Khabrdar Kiya Ja Sake Ab Chunki Logo Ki Tadaat Ki Zyadati Ki Wajah Se Juma Ki Din Aisa Mumkin Na Tha Ki Ek Adhan Se Sab Ko Khabr Ho Jaye Aur Yaqeenan Hi Dar Se Aane Ki Wajah Se Badi Tadaat Ke Jume Ka Sawab Bhi Barbaad Hone Ka Darr Tha Isliyen Unhone Ye Adhan Shuru Karwa Di zyada Maloomat Ke Liye.
Naylul Autaar 2/552 Aur Fathul Bar 3/55 Dekhein, To Maloom Hua Ki Usmaan r.a Ne Ye Adhan Zaura Jo Ek Jagah Masjid Se Ek Mile Door Waha Dilwayi, Yeh Adhan Itne Pehle Di Jati Ki Log Adhan Sunkar, Saman Samet Kar Ghar Jate The Aur Naha Dho Kar Masjid Mein Khutba Shuru Hone se Pamehle Pahunch Jate, Agar Is Tarhan Kahenge Tab To Yeh Usmani Adhan Kehlayegi Warna *Aaj Kuch Minute Pehle Imam Ke Mooh Ke Samane Khade Hokar Adahan Kehne Ko Usmani Tarika Nahi Kahenge* Zaura Madina Se Ek Mile Ki Duri Par Bazaar Lagta Tha Log Waha Jama Hote Isliye Waha Adhan Dilwaee Baherhaal Aaj Kal Logon Ke Haath Mein Ghariyaan Hain, Isliyen Iss Adhan Ki Bilkul zaroorat Baaki Nahi Rahi Afzal Yeh hai Ki Nabi e Karim s.a.w Ke Tarike Ko Apnaya Jaye Lekin Agar Kisi Sabab Ke Chalte Jaisa Ki Hz Usman r.a Ke Waqt Tha To Usman r.a Ka Tarika Apna Lene Mein Koi Harj Nahi.
Wallahu A'lam
( *हर बात दलील के साथ*)
No comments:
Post a Comment