BismillahirRahmanNirRaheem
___________________
APNI BIWIYON KE SAATH ACCHA SULOOK (व्यवहार) KAREN
Allah (سُبحانه وتعالى) ne Qur'an me farmaya:
"Aur un ke (apni biwiyon ke) saath acche se raho. Agar aap un ko na pasand karte hain to, ho sakta hai ke aap kisi cheez ko napasand karen aur Allah Ta'ala us me bohot bhalai paida kar dein."
📚: Qur'an 4:19
Aur Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
•• "Tum me sab se behtar wo hai jo Akhlaaq me apni aurton ke haque me sab se behtar ho."
📚: Tirmidhi 1162 | Hasan
•• "Momin mard ko kisi momin aurat se (apni biwi se) nafrat nahi karna chahiye. Agar wo uski ek adat ko na pasand karta hai to wo kisi aur adat se khush ho jayega."
📚: Sahih Muslim 1468
••"Aurton ke baare me meri wasiyat ka hamesha khayal rakhna kyunke aurat pasli se paida ki gayi hai. Pasli me bhi sab se zyada tedha upar ka hissa hota hai. Agar koi shakhs usey bilkul seedhi karne ki koshish kare to wo toot jayegi aur agar usey wo yunhi chod dega to phir hamesha tedhi hi rahegi. Isliye aurton ke baare me meri Naseehat maano, aurton se accha sulook (व्यवहार) karo."
📚: Sahih Bukhari 3331
___________________
No comments:
Post a Comment